aek maAmooli si taazah ghazal: Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aek maAmooli si taazah ghazal: Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apni aek taazah mukhtaSar ghazal pesh karne ki saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

seenah agar hei chalni tou hei daagh daagh dil
jaur o sitam se unke nah paayaa faraagh dil

pesh-e-nazar hei tuHfa-e-gul uz rah-e-wafaa
houjaaye kiyuN nah aisi ghaRi baagh baagh dil

deewaanagi-e-shauq ne kyaa Haal kardiyaa
dil hougayaa dimaagh, houaa hei dimaagh dil

ghayib nahiN nazar se tiraa musHaf-e-jameel
teerah-shabi meiN jaise hou raushan charaagh dil

Nazir maiN rind-e-baadah-e-jaam-e-alast hooN
Ilhaam-e-shaayeri ke liye hei ayaagh dil.
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.

Attachments
a_na_18_plus.JPG
a_na_18_plus.JPG (57.06 KiB) Viewed 59 times
Last edited by Abdullah Nazir on Thu Jun 15, 2006 2:49 am, edited 1 time in total.
Image
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

janaab mohtaram Ustaad Nazir saaHib: Aadab !

hazrat aap ka kalaam aur voh maamuuli, bhalaa yeh kaise mumkiin hai? Ghazal Chaahe mukhtasar ho magar phir bhii mujhe jaise kaYee naYe likhaaRiyoN ko aap ke har kalaam se kuCh na kuCh ilm-e-sukhan zaruur haasil hotaa hai. :-)

ba.har.haal GHazal ke tamaam hii ash'aar dil-kash aur umdah heiN, lihaaza eik aur kaamyaab kalaam par naachiiz kii jaanib se dilee mubaarak baad qubuul keejiYe. :rose


Talib-e-Dua'a


~ Hassan ~
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

bohut Khoob !!!!!!!!!!!!!111

moHtarami Nazir SaaHib,

munfarid zameen maiN aap ki ye KhoobSoorat Ghgazal dil ko chhoo gayee ! mazaameen, andaaz sab pasaNd aaye ! daad qabool kejeye ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Post Reply