ek Ghazal...by Ali Zaheer Usmani

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

ek Ghazal...by Ali Zaheer Usmani

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

ek Ghazal aapkii Khidmat emN pesh karne kii jurrat kar rahaa huN...mulaaHizah farmaaiye:


1.
'ishq ko maHv-e-jamaal-e-yaar honaa chaahiye
daar kia! haaN, saamne dil_daar honaa chaahiye

2.
'ishq raaz-e-Husn hai, to jurm hai afshaa-e-raaz
varna, rusvaa bar sar-e-bazaar honaa chaahiye

3.
masjid_o_maiKhaana kiuN dast_o_gariibaaN haiN baham
ShaiKh ko gum, rind ko hoshiyaar honaa chaahiye

4.
Khanda-e-gul, soHbat-e-Ghaafil, rah_o_rasm-e-chaman
sochtaa huuN kis jagah be-zaar honaa chaahiye

5.
bach ke chalne se nahiiN hotaa chaman kaa haq adaa
gul_oarastoN ko Hareef-e-Khaar honaa chaahiye

6.
naala bulbul ne kiyaa, kaliyoN ne aaNkheN khol diiN
so rahaa hai TU, jise be-daar honaa chaahiye!

7.
jaam-e-nai sarmaaya-e-hangaama-e-mai'Hfil nahiiN
is jahaan-e-aab_o_gil se paar honaa chaahiye

8.
masjid o maktab ke hangaame nahiiN kaafii, "Zaheer!"
aadmii ko mai'Hram-e-asraar honaa chaahiye


shukria. aapkii aaraa kaa shiddat se intezaar rahegaa.
Image
Post Reply