Page 1 of 1
Kya Ghazal "Jawaid" ki achchee nahiN? (Guz 19)
Posted: Tue Jul 04, 2006 10:43 am
by jawaid badauni
Cheez bus shaayad yehee achchee nahiN
aaj fikr.e aadmee achchee nahiN
Shaeikh! gar badakashee achchee nahiN
tou mai’e irfaan bhi achchee nahiN
sone chaandee meN nah tolo mera pyaar
ishq meN saudagaree achchee nahiN
YooN nah pal men hosh duniya ke uRaao
dekho yeh jadoogaree achchee nahiN
mere ghar ki teergee se usko bair
ChaNd teree chaandnee achchee nahiN
jo bhi kahna hai saleeqe se kaho
besuroN ki baansuree achchee nahiN
Zahn ki pabundeeyaaN lazim magar
“apne dil se dushmanee achchee nahiN”
kuch to rakhiye ishq ke Gham ka bharam
bazm meN afsoordgee achchee nahiN
sunke kyooN ashaar haiN Khaamosh aap
kya Ghazal “Jawaid” kee achchee nahiN
Jawaid Badauni
Muscat-Oman
Bahut khoob, waah waah
Posted: Tue Jul 04, 2006 11:59 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Jawaid Badauni SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
Cheez bus shaayad yehee achchee nahiN
aaj fikr.e aadmee achchee nahiN
Bahut achchaa MaTlaA hei, waah waah.
Shaeikh! gar badakashee achchee nahiN
tou mai’e irfaan bhi achchee nahiN
Husn-e-MaTlaA achcha hei, waah waah.
sone chaandee meN nah tolo mera pyaar
ishq meN saudagaree achchee nahiN
Bahut khoob, waah waah, khaaSkar Hindustani laRkiyaoN kee Himaayat meiN.
YooN nah pal men hosh duniya ke uRaao
dekho yeh jadoogaree achchee nahiN
Khoob taghazzul hei. Bahut achchaa mood hei. Waah waah.
mere ghar ki teergee se usko bair
ChaNd teree chaandnee achchee nahiN
Waah waah, bahut khoob.
jo bhi kahna hai saleeqe se kaho
besuroN ki baansuree achchee nahiN
Waah waah, kyaa kehne.
Zehn ki pabundeeyaaN lazim magar
“apne dil se dushmanee achchee nahiN”
Bahut khoob, waah waah.
kuch to rakhiye ishq ke Gham ka bharam
bazm meN afoordgee achchee nahiN
Ghaliban doosre miSreA meiN typo ki vajh se afsurdagi kee ghalaT TibaaAat hougayi hei.
SheAr bahut achchaa hei, waah waah.
sunke kyooN ashaar haiN Khaamosh aap
kya Ghazal “Jawaid” kee achchee nahiN
Ghazal tou bahut achchi hei lekin is baar yooN maAloom houtaa hei ke aap India se waapusi meiN apne saath taghazzul lekar aaye heiN. Bahut khoob, waah waah.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Tue Jul 04, 2006 1:03 pm
by jawaid badauni
Mohtarmee wa maKhdoomee Nazir SaHib, aadaab
Himmat afzaai ka bohat bohat shukriya. "Typo" ki Ghalti thik kar lee hai.
Waise mujhe choTee zameen meN sher kahne ka bohat shauq tha magar kabhi kabhi aisee zameenoN meN baat Caaf nahiN ho paati hai. MaiN samjha tha is baar Ghazal nahiN ho sakegee aur aap se shamindagee hogee. Bus qalam ne saath diya aur kuch nah kuch ho hi gaya.
Aapki wa deegar membraan ki GhazaloN ka intezaar hai.
Ahqar
Jawaid
(Muscat)
bahut khoob
Posted: Tue Jul 25, 2006 6:29 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
mere azeez bhai jawaid saahib
bahut hi acchee ghazal hai
hame.n bahut pasand aayee
aapki ghazal acchee nah ho yeh kabhie ho sakta hai?
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaye.n
aapka apna
haamidbaaqri
Re: bahut khoob
Posted: Tue Jul 25, 2006 3:19 pm
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
mere azeez bhai jawaid saahib
bahut hi acchee ghazal hai
hame.n bahut pasand aayee
aapki ghazal acchee nah ho yeh kabhie ho sakta hai?
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaye.n
aapka apna
haamidbaaqri
MoHibbee Haamidbaaqree SaHinb
Aadaab
Bohat bohat shukriya. Aap ki puKhuloos daad meri himmat afzaaii ka baayiS banee.
Ummid hai aap ke mizaaj baKhair hoNge.
MuKhliS
Jawaid
Re: Kya Ghazal "Jawaid" ki achchee nahiN? (Guz 19)
Posted: Fri Aug 04, 2006 3:45 pm
by jawaid badauni