Page 1 of 1

Ek Ghazal Aur Sahi....

Posted: Mon Jul 24, 2006 11:38 am
by munir-armaan-nasimi
Dear Friends in Urdubandhan,

Ek Ghazal aap sab ke liye... ummed hai pasand aayegi.

armaan

Bahut khoob

Posted: Mon Jul 24, 2006 5:04 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Munir arman Nasimi SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal Aam Taur per pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Tue Jul 25, 2006 11:13 am
by munir-armaan-nasimi
Beradaram Nazir Saheb,

Ye aap ki pur-kholoos hausla afzai hai ke main nayi nayi ghazal kehne ki 'inspiration' pata hoon. Mujhe yaqeen hai ke koi padhe ya na padhe aap jaroor meri ghazal ko padhenge aur islaah se nawazeinge.

aap ka apna

Munir Armaan Nasimi

Re: Ek Ghazal Aur Sahi....

Posted: Sat Jul 29, 2006 5:02 pm
by jawaid badauni
munir-armaan-nasimi wrote:Dear Friends in Urdubandhan,

Ek Ghazal aap sab ke liye... ummed hai pasand aayegi.

armaan
Azeezi Arman SaHab!
Aadaab

Aapki Gazal pasaNd aaii KhuSoosan aaKhree sher ne bohat mutAssir kiya. Daad qubool kijiye.

Sirf itna arz karne ki ijazat chahooNga keh matley meN misra.e Caane kuch cafaai chaahta hai. Is misrey meN alfaz ki tarteeb kuch munasib nahiN hai. Kuch aur kar ke dekhiye; masla" ghar meN bachche agar nahiN hotey...aise ghar m'otabar nahiN hotey.

Mera mashwarah Galat bhi ho sakta hai aap ka is se ittefaaq karna lazim nahiN.

MuKhlis
Jawaid

Posted: Sun Jul 30, 2006 5:33 am
by Ibn-e-siddique
Armaan saHib

aap ki ghazal pasand aayee, ache mazaameen nikaale haiN.

matle per Jawaid bhai ki tajveez pasand aayee.

ghazal per daad Haazir hai qubool farmaaiN

amjad

Posted: Wed Aug 02, 2006 6:22 am
by munir-armaan-nasimi
Jawed Bhai aur Amjad Bhai,

Shukriyaa!! Aap logon ki aara se main bilkul muttafeeq hoon aur aap ko ye jaan ka hairat hogi ke main bhi wahi kaha tha par ek ustaad-e-fan ne usko islah kiya to unhon ne.......... aisa kiya aur main unka ehtaraam karta hoon. warna main kya aur meri shaayeri kya.......... mujhe to shaayeri ki abjad bhi nahin maaloom.

Duaon main yaad rakhein.

aap ka

armaan