Ahl-e-bazm
aadaab
aik adna si ghazal aap ki khidmat maiN pesh kar rahi hoN aap ki aaraa ka intizaar rahe ga
regards
zmufti
1. khata se kuch na hua aur Saza se kuch na hua
Qadam Behak hi gayye Itteqa se kuch na hua
2. Bhanwar the pair maiN gardaab maiN thii hasti mirri
Ajab hai kyaa keh mirre Nakhuda se kuch na hua
3. RafaqatoN maiN bhee teri muhabatieN na milliN
hathailioN pe saji is hina se kuch na hua
4. Talash karti rahi Khawab raastoN pe tujhe
Khizar se kuch na hua Rahnuma se kuch na hua
5. athaa andheray rahe meray dil ki duniya maiN
Tirre jamal ki seemeeN zia se kuch na hua
6. zamane bhar maiN hai charcha mirre maseeha ka
Mujhe Shifa hui na mujhe aur dawa se kuch na hua
7. Attab ban ke vo aaya garaj baras ke gaya
Sitam gari ke siwa Kaj ada se kuch na hua
8. gale laga ke shikasta khayal-o-khawab jiyye
Sitam ki dhoop, ghamoN ki hawa se kuch na hua
9. Na jaane uski nazar kis jahaan maiN gum hai
Ada se kuch na hua aur wafa se kuch na hua
10. Yeh jaaN laboN pe machalti rahi tarapti rahi
Mirri rayaztoN ki inteha se kuch na hua
aik ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarama
Zarqa Mufti SaaHiba,
Tasleemaat,
Aapki ghazal nazar navaaz houi aur pasand aayi, jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Khair andesh,
Nazir.
- yasir shah
- -
- Posts: 191
- Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: aik ghazal
assalamOa'laikuM
Zarqa behn !
aap ki Ghazal peh tabSireh ki jurrat kar rahaa hooN ,,Ghor farmaaiye gaa-

zmufti wrote:Ahl-e-bazm
aadaab
aik adna si ghazal aap ki khidmat maiN pesh kar rahi hoN aap ki aaraa ka intizaar rahe ga
regards
zmufti
1. khata se kuch na hua aur Saza se kuch na hua
Qadam Behak hi gayye Itteqa se kuch na hua
pehle miSre' meN lafz "khataa" bema'niy-o-be.maqSad lag rahaa hay jabkeh aagay "qadam behek" rahay hoN-
2. Bhanwar the pair maiN gardaab maiN thii hasti mirri
Ajab hai kyaa keh mirre Nakhuda se kuch na hua
"bhanwar pair meN" ,"gardaab meN hastee" aik saath kehnaa kyaa ma'nee rakhtaa hay jaisay "sar peh Topee","Topee meN sar" aik saath kehnaa be.ma'nee hay -
3. RafaqatoN maiN bhee teri muhabatieN na milliN
hathailioN pe saji is hina se kuch na hua
waah -khoob kahaa !
4. Talash karti rahi Khawab raastoN pe tujhe
Khizar se kuch na hua Rahnuma se kuch na hua
yeh bhi khoob hay -
5. athaa andheray rahe meray dil ki duniya maiN
Tirre jamal ki seemeeN zia se kuch na hua
waah
6. zamane bhar maiN hai charcha mirre maseeha ka
Mujhe Shifa hui na mujhe aur dawa se kuch na hua
typo durust kar leN ,, she'r aChChaa hay
7. Attab ban ke vo aaya garaj baras ke gaya
Sitam gari ke siwa Kaj ada se kuch na hua
khoob hay
8. gale laga ke shikasta khayal-o-khawab jiyye
Sitam ki dhoop, ghamoN ki hawa se kuch na hua
pehlaa miSra' Ghair.faSeeH hay,,she'r bhee sach pooChiye to eNwa.eeN hay
9. Na jaane uski nazar kis jahaan maiN gum hai
Ada se kuch na hua aur wafa se kuch na hua
she' r Dheelaa Dhaalaa saa hay-
10. Yeh jaaN laboN pe machalti rahi tarapti rahi
Mirri rayaztoN ki inteha se kuch na hua
waah
behen !
Ghazal seedhee saadee hay ,, mazeed behtaree kee gunjaaish hay ,,mazkoorah takhleeq aap ki takhleeqee u'mr ni nisbat kam.u'mr hay-behar.Haal daad qubool keejiye -
khush rahye
du'aago
yasir
Re: Bahut khoob, waah waah
Mohtaram Nazir sahebWEBMASTER wrote:
MuHtarama
Zarqa Mufti SaaHiba,
Tasleemaat,
Aapki ghazal nazar navaaz houi aur pasand aayi, jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Khair andesh,
Nazir.
Tasleemaat
ghazal pasand farmane ke liye aap ki mamnoon hoN
wasalaam
zmufti
Re: aik ghazal
Yasir bhaiyasir shah wrote:assalamOa'laikuM
Zarqa behn !
aap ki Ghazal peh tabSireh ki jurrat kar rahaa hooN ,,Ghor farmaaiye gaa-
zmufti wrote:
1. khata se kuch na hua aur Saza se kuch na hua
Qadam Behak hi gayye Itteqa se kuch na hua
pehle miSre' meN lafz "khataa" bema'niy-o-be.maqSad lag rahaa hay jabkeh aagay "qadam behek" rahay hoN-
2. Bhanwar the pair maiN gardaab maiN thii hasti mirri
Ajab hai kyaa keh mirre Nakhuda se kuch na hua
"bhanwar pair meN" ,"gardaab meN hastee" aik saath kehnaa kyaa ma'nee rakhtaa hay jaisay "sar peh Topee","Topee meN sar" aik saath kehnaa be.ma'nee hay -
3. RafaqatoN maiN bhee teri muhabatieN na milliN
hathailioN pe saji is hina se kuch na hua
waah -khoob kahaa !
4. Talash karti rahi Khawab raastoN pe tujhe
Khizar se kuch na hua Rahnuma se kuch na hua
yeh bhi khoob hay -
5. athaa andheray rahe meray dil ki duniya maiN
Tirre jamal ki seemeeN zia se kuch na hua
waah
6. zamane bhar maiN hai charcha mirre maseeha ka
Mujhe Shifa hui na mujhe aur dawa se kuch na hua
typo durust kar leN ,, she'r aChChaa hay
7. Attab ban ke vo aaya garaj baras ke gaya
Sitam gari ke siwa Kaj ada se kuch na hua
khoob hay
8. gale laga ke shikasta khayal-o-khawab jiyye
Sitam ki dhoop, ghamoN ki hawa se kuch na hua
pehlaa miSra' Ghair.faSeeH hay,,she'r bhee sach pooChiye to eNwa.eeN hay
9. Na jaane uski nazar kis jahaan maiN gum hai
Ada se kuch na hua aur wafa se kuch na hua
she' r Dheelaa Dhaalaa saa hay-
10. Yeh jaaN laboN pe machalti rahi tarapti rahi
Mirri rayaztoN ki inteha se kuch na hua
waah
behen !
Ghazal seedhee saadee hay ,, mazeed behtaree kee gunjaaish hay ,,mazkoorah takhleeq aap ki takhleeqee u'mr ni nisbat kam.u'mr hay-behar.Haal daad qubool keejiye -
khush rahye
du'aago
yasir
aap ka shukria
pehlay sher maiN ishara insaan ki taraf hai jis ne janaat maiN kahta ki aur jannat badar hone ki saza paayii aur zameen per "iteqa" per karband hone ke bawajood behakta raha
sher no 2 ke misre aap ka aitraaz mujhe samajh nahiN aayaa agar pair maiN bhanwar hoN ge to hasti kahaN hogi
sher no.3 se 7 tak aap ne pasand farmaaye jis ke liye maiN aap ki mamnoon hoN
sher no 8. ka pehla misra mujhe zaati tor per pasand hai
sher no.9 ko aap ne dheela qarar diyya shayad koi khaatoon isse behtar samajh sake
sher no 10 pasand karne ke liye shukria
khush rahiye
zmufti