aik ghazal
Posted: Wed Aug 09, 2006 2:48 pm
Ahl-e-bazm
aadaab
aik adna si ghazal aap ki khidmat maiN pesh kar rahi hoN aap ki aaraa ka intizaar rahe ga
regards
zmufti
1. khata se kuch na hua aur Saza se kuch na hua
Qadam Behak hi gayye Itteqa se kuch na hua
2. Bhanwar the pair maiN gardaab maiN thii hasti mirri
Ajab hai kyaa keh mirre Nakhuda se kuch na hua
3. RafaqatoN maiN bhee teri muhabatieN na milliN
hathailioN pe saji is hina se kuch na hua
4. Talash karti rahi Khawab raastoN pe tujhe
Khizar se kuch na hua Rahnuma se kuch na hua
5. athaa andheray rahe meray dil ki duniya maiN
Tirre jamal ki seemeeN zia se kuch na hua
6. zamane bhar maiN hai charcha mirre maseeha ka
Mujhe Shifa hui na mujhe aur dawa se kuch na hua
7. Attab ban ke vo aaya garaj baras ke gaya
Sitam gari ke siwa Kaj ada se kuch na hua
8. gale laga ke shikasta khayal-o-khawab jiyye
Sitam ki dhoop, ghamoN ki hawa se kuch na hua
9. Na jaane uski nazar kis jahaan maiN gum hai
Ada se kuch na hua aur wafa se kuch na hua
10. Yeh jaaN laboN pe machalti rahi tarapti rahi
Mirri rayaztoN ki inteha se kuch na hua