Page 1 of 2
"misr'a lagaaiye"
Posted: Fri Aug 25, 2006 5:39 am
by Daanish
aaiye ek naye silsilay ka aaGhaaz karte haiN. ek ma'aruuf shayr ka ek misr'a diya jayega--uula ya caani-- aur doosra misr'a joR kar shayr ko mukammal kiya jayega. masla" agar koi yeh misr'a pesh kare:
'kaaGhazi hai pairahan har paikar-e-tasweer ka'
hum shayr ki takmeel is taraH se karenge misr'a uula laga kar
"naqsh fariyaadi hai kis ki shoKhi-e-teHreer ka
kaaGhazi hai pairahan har paikar-e-tasweer ka" ....aur phir apni jaanib se ek misr'a pesh karenge taa ke silsila aage baRHay.
arbaab-e-zauq se shirkat ki darKhwaast hai.
lijiye tau is silsilay ka aaGhaaz hua chaahta hai aur Mirza Ghalib ke ek misr'e se is laRi ki bismillah ki jaati hai:
"dil ka kyaa rang karuN Khoon-e-jigar hone tak"
Posted: Fri Aug 25, 2006 8:28 am
by zmufti
aashiqi sabr talab aur tammana be taab
dil ka kyaa rang karuN Khoon-e-jigar hone tak
next
dasht maiN hai mujhe vo aish keh ghar yaad nahiN
Posted: Sun Aug 27, 2006 2:35 am
by Daanish
Zarqa SaHeba,
aadaab
ma'aloom hota hai ke silsila pehle qadam par hi ruk gaya!
shayr mukammal kijiye aur doosra misr'a inaayat farmaaiye....
muKhlis
Daanish
Posted: Sun Aug 27, 2006 8:03 am
by zmufti
kam nahiN vo bhee kharabi maiN, pe wusaat ma'aloom
dasht maiN hai mujhe vo aish keh ghar yaad nahiN
Mirza Ghalib
next
jo dil pe guzarti hai raqam karte rahieN ge
Posted: Sun Aug 27, 2006 11:24 am
by Shafeeq
hum parvarish-e-loh-o-qalam karte range
jo dil pe guzarti hai raqam karte rahieN ge--Faiz
'jo ruke tau koh-e-giraaN thhe hum, jo chale tau jaaN se guzar gaye'
Posted: Sun Aug 27, 2006 11:55 am
by zmufti
'jo ruke tau koh-e-giraaN thhe hum, jo chale tau jaaN se guzar gaye'
rah-e-yaar ham ne qadam qadam tujhe yaadgaar bana diyya
next
bakhsh do gar khata kare koi
Posted: Sun Aug 27, 2006 1:08 pm
by Daanish
ragoN mein dauRte phirne ke hum nahi qayal
jab aankh hi se na Tapkaa tau phir lahuu kya hai
'gor kis dil jalay ki hai yeh falak'
Posted: Sun Aug 27, 2006 1:21 pm
by hassan_bashir
Daanish wrote:
'gor kis dil jalay ki hai yeh falak'
gor kis dil-jale kee hai ye falak
sholaa yak subH yaaN se uThataa hai
agla misra:
unko maiKhaane meiN le aao saNvar jaayeN ge
~ Ibrahim Zauq ~
Posted: Sun Aug 27, 2006 1:27 pm
by hassan_bashir
sara_j wrote:
fir aaya wo zamaana, jo jahaaN se jaam-e-jam nikle
huii is daur meiN maNsuub mujhase baadaa-ashaamii
phir aayaa vo zamaanaa jo jahaa.N se jaam-e-jam nikale
agla misra vahi:
unko maiKhaane meiN le aao saNvar jaayeN ge
~ Ibrahim Zauq ~
Posted: Sun Aug 27, 2006 7:54 pm
by ummassad
zooq jo madersey ke bigdey huvy hain mullaa
UNKO MAIKHANEY MAIN LE AAWO SANWER JAYENGY
yeh aayeney tu hain hyret main dalney keliye
(ahsaan danish)
Posted: Mon Aug 28, 2006 8:23 am
by Daanish
hai sirf hum ko tire Khaal-o-Khad ka andaazah
yeh aayeney tu hain hyret main dalney keliye
agla misr'a--Zauq
'behtar tau hai yahi ke na duniya se dil lagay'
Posted: Tue Aug 29, 2006 12:13 pm
by Daanish
ik lafz-e-moHabbat ka itna hi fasaana hai
simTe tau dil-e-a'ashiq, phailay tau zamaana hai
agla misr'a
'hum tau kal Khwaab-e-adam meiN shab-e-hijraaN honge'--Momin
Posted: Tue Aug 29, 2006 4:49 pm
by PK Swami
ashq aaNkhoN meiN, na dil meiN mere armaaN hoNge
hum tau kal Khwaab-e-adam meiN shab-e-hijraaN honge
aglaa misr'a
zaraa pahle se kah denaa, bataa denaa, jataa denaa -- Nooh Naarvee
Posted: Sat Sep 09, 2006 4:49 pm
by PK Swami
sara_j wrote:PK Swami wrote:ashq aaNkhoN meiN, na dil meiN mere armaaN hoNge
hum tau kal Khwaab-e-adam meiN shab-e-hijraaN honge
aglaa misr'a
aazaraa pahle se kah denaa, bataa denaa, jataa den -- Nooh Naarvee
Swami ji maine Noor Narvee sahib ka naam pehli baar sun rahi hoon
kabhi unki koi tehreer bhi kisi se nahi suni
net per bhi unka kalaam nahi mila tou ab is shair ko kaise takmeel
karun?? aap hi iska doosra misra likh ker koi aisa misra deejiye jo
kiis ustad shayar ka ho
Sara j sahibaa
Nooh Naarvee agle waqtoN ke baRe naamvar shaair the aur ustaad Daagh Dehalvee ke khaas shagirdoN mein The. He was highly respected by Akbar Allahabadee and was widely acclaimed throuhout India as shair of high order and later had more then 300/400 shagirds in all parts of India. unke 2/3 dewaan bhee manzar.e aam par aaye, one was named Tofaan.e Nooh. Daagh apprecited Nooh very much and said somewhere:
aik se hotaa hai haasil aik ko faiz.e sukhan
maine seekhaa Zauq se,aur mujhse seekhaa Nooh ne _ Daagh
aise kaamil ustaad ke sher par misra laganaa miree qabiliyat ke baahar hai. phir bhee aap ke hukm par aik haqeer koshish kartaa hooN !
agar imkaaN ho roz.e eid aamad miree mayyat par
zaraa pahle se kah denaa, bataa denaa, jataa dena !
vaise Nooh sahab ke sher ke mutaabiq ye sher yooN hai:
bigaR kar daf.atan koi sitam mujh par na Dhaa denaa
zaraa pahle se kah denaa, bataa denaa, jataa dena !
kuchh aur sher pesh haiN !
muhabbat kee muhabbat hai, ebaadat kee ebaadat hai
jahaaN jalwaa kisi kaa dekh lenaa, sar jhukaa denaa
hameN barbaad kar denaa tumharee dillagee ThaHree
hamaraa khel ThaHraa, khaak meiN dil ko milaa denaa
fanaa ke baad tum maatam karo ye kyaa zaroorat hai
mere gham ko bhee, mere saaTh miTTi meiN milaa denaa
vo yooN sunte naheeN ai Nooh to kyaa tumko mushkil hai
ghazal ke naam se hee maajraa.e gham sunaa denaa.
Sara-j-saahibaa aap se darkhwasht hai k aglaa misraa aap hee deN to beHtar hai !
regards.
PK Swami
Posted: Tue Sep 12, 2006 2:55 am
by Daanish
Swami SaHeb, Sara SaHeba aur digar ahbaab
ji haaN, hum apne taur par misr'a lagaa sakte haiN aur shayr mukammal kar sakte haiN lekin yeh har kisi ke bas ki baat nahiN hai. ho saktaa hai ke ba'az ahbaab ke liye yeh ek mushkil amal ho....yuN kar sakte haiN, hum is mua'mle meiN 'flexible' ho sakte haiN....ya'ni koi apne taur par misr'a lagaana chaahe tau shauq se kareN; aur koi shayr ki mukammal shakl (original) saheeh taur par pesh kareN tau bhi Thheek! dekhiye kya farmaate haiN ulema-o-asaatezah-o-asHaab-e-ilm-o-fan-o-hunar!
aap ka ataakardah misr'a pesh hai:
aaye hain phir voh azm-e-dil o jaan kiye hue......