Page 1 of 1

Tarhi Ghazal 21..bardasht karte haiN.

Posted: Tue Sep 05, 2006 9:21 am
by Mahtab Qadr
Dosto aur azeezo, misra e tarha parhkar dil chaha ke kuch kaha jaye so chand lamhoN mai kahi gai ye ghazal pesh e khidmat hai. aap ki aaara aur tabsiroN ka intezar rahega
shukria
Mahtab Qadr


jo kal sahte the nakhre aaj bhi bardasht karte haiN
"jo ahle zarf hote haiN wahi bardasht karte haiN"

zara sa boojh parhta hai to pathar toot jaate haiN
na jaane boojh kitnaa, aadmi bardasht karte haiN

ujaale dekh kar aksar ghuta hai dam andheroN ka
andhere kab nisaab e raushni bardasht karte haiN

na zauq e dosti un mai , na halat dushmanoN wali
ajab ye kashmakash ham har gharhi bardasht karte haiN

zara si baat par unki, khafa hone ki adat bhi
hamhiN bardasht karte haiN hamhiN bardasht karte haiN


Mahtab Qadr

Bahut khoob, waah waah.

Posted: Thu Sep 07, 2006 1:24 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Mahtab Qadr SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guz. 21 ke TaraHi miSreA per aapki ghazal bahut pasand aayi jisked liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool keejiye.

MULAAHIZAAT:

jo kal sahte the nakhre aaj bhi bardasht karte haiN
"jo ahle zarf hote haiN wahi bardasht karte haiN"


TaraHi miSreA per apni khoobSoorat gireh ke saath achcha maqTaA pesh kiyaa hei, waah waah.

zara sa boojh parhta hai to pathar toot jaate haiN
na jaane boojh kitnaa, aadmi bardasht karte haiN


Zara sa boujh paRtaa, waah waah kyaa kehne.

ujaale dekh kar aksar ghuta hai dam andheroN ka
andhere kab nisaab e raushni bardasht karte haiN


Bahut khoob, jamA-e-aZdaad se aap ne achchaa sheAr kahaa hei, waah waah.

na zauq e dosti un mai , na halat dushmanoN wali
ajab ye kashmakash ham har gharhi bardasht karte haiN


Yeh bhee bahut achchaa sheAr hei. Waah waah.

zara si baat par unki, khafa hone ki adat bhi
ham hi bardasht karte haiN ham hi bardasht karte haiN


Doosre miSreA meiN aap "hameeN" kee aawaaz isteAmaal karrahe heiN jo "ham hee" ke barabar hei HaSr ke liye. Lekin miSreA ke ibtidaa meiN tou Theek he albattah qaafiye ke liHaaz se durust nahiN maAloom hutaa. "hameeN" meiN noon-e-ghunnah hei. Is liye aapko is miSreA meiN tabdeeli laani paRegi.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sat Sep 09, 2006 9:20 am
by Mahtab Qadr
Mohatrami Abdullah Nazir sahib,
aapke irshaad ki tameel mai mai ne ghazal ke aakhri sher mai tarmeem kardi hai, aapki rahnumaai ke lye behad mashkoor hoN.

niazmand

Mahtab

Posted: Sun Sep 10, 2006 3:29 pm
by Star Mind
janaab-e-mahtaab SaaHib, aadaab

waah bhai kyaa kehnye ! aap ne to baRee Khoob Ghazal i'naayat farmaayee hai ! mujhe Khaas tor par nisaab-e-raushnee waala she'r aur ye tarkeeb bohut pasand aaye ! daad Haazir hai ! shukriya

Zia Baloch

Posted: Mon Sep 11, 2006 7:35 am
by Mahtab Qadr
Baradar e Azeez Zia Baloch , aapki inayatoN aur khuloosbhari pazeerai ka shukria
Mahtab

Posted: Mon Sep 11, 2006 7:36 am
by Mahtab Qadr
Sara ji shukria

Mahtab

mubarak bad

Posted: Tue Sep 12, 2006 10:07 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram mehtab qadir saHeb aadaab!

aap kee ghazal dekhne ka maoqa' mila bohot khubSurat she'er
keh kar aap ne bazm ko sajaya hai. sabhee she'er pasand aaee haiN.

meree t^araf se dad aor mubarak bad qubool kijiye.

Wassalam
mukhliS
muz^affar

Posted: Tue Sep 12, 2006 9:35 pm
by zaamin
zara sa boojh parhta hai to pathar toot jaate haiN
na jaane boojh kitnaa, aadmi bardasht karte haiN

ujaale dekh kar aksar ghuta hai dam andheroN ka
andhere kab nisaab e raushni bardasht karte haiN

eik khoobsoorat kalaam,janaab mahtaab saahib

daad qabool farmaayein

zaamin

Posted: Fri Sep 15, 2006 4:16 pm
by Mahtab Qadr
Muzaffar Sahib salaam e masnoon
Ghazal ki pasandeedgi aur hausla afzai ke lye mashkoor hoN.
niazmand
Mahtab

Posted: Fri Sep 15, 2006 4:23 pm
by Mahtab Qadr
Zamin sahib
salaam e masnoon
purkhuloos pazeerai ke shukria janab

shukria
Mahtab

Posted: Sat Sep 16, 2006 5:42 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
mohtaram mehtab qadr saahib

bahut acchee ghazal enaayat farmaayee hai.

hame.n bahut pasand aayee

lehaaza hamaari dilee daad haazir hai....qubool farmaaye.n

mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Sat Sep 16, 2006 6:55 am
by Mahtab Qadr
walaikum salaam
Behad shukria Hamed baqri sahib
Mahttab