Page 1 of 1
TAKEER SE AAMAD KE LIYE MAZRAT KHUAN HOON
Posted: Sat Sep 16, 2006 11:58 am
by Ehsan Raza
DEIR SE AAMAD KI TALAFI KI SOORAT MEN GHAZAL HAZIR HAI AGAR PASAND AA JAYE TOAPNEE MOHABBAT SE NAWAAZ DEEJIYEGA
AB JEENA AASAN NAHIN HAI
CHEHRON PE MUSKAAN NAHIN HAI
HER LAHJE PE DHOOP SAJI HAI
BARISH KA IMKAAN NAHIN HAI
HER SO HAIN BAROOD KI FASLEN
AB KHETON MEN DHAAN NAHIN HAI
KOI MIRE DIL MEN HAI RAHTA
MERA GHAR VEERAN NAHIN HAI
MAOT KE SAUDAGER SE KAHDO
YEH DHARTEE SHAMSAAN NAHIN HAI
MERA DIL HAI PIYAAR KA MANDIR
PHOOLON KA GULDAN NAHIN HAI
TAN PE HAI INSAAF KI CHADER
YEH KHADI KA THAAN NAHIN HAI
IS MITTEE MEN KHOON HAI MERA
TERA HINDUSTAN NAHI HAI
MANSAB POOJNE WALON PE AB
SAB KUCH HAI IMAAN NAHIN HAI
JAZBA -E- ULFAT AAM NA KARDOON
NAAM MERA ''EHSAN ''NAHIN HAI
Re: TAKEER SE AAMAD KE LIYE MAZRAT KHUAN HOON
Posted: Sat Sep 16, 2006 3:30 pm
by jawaid badauni
Ehsan Raza wrote:
DEIR SE AAMAD KI TALAFI KI SOORAT MEN GHAZAL HAZIR HAI AGAR PASAND AA JAYE TOAPNEE MOHABBAT SE NAWAAZ DEEJIYEGA
AB JEENA AASAN NAHIN HAI
CHEHRON PE MUSKAAN NAHIN HAI
HER LAHJE PE DHOOP SAJI HAI
BARISH KA IMKAAN NAHIN HAI
HER SO HAIN BAROOD KI FASLEN
AB KHETON MEN DHAAN NAHIN HAI
KOI MIRE DIL MEN HAI RAHTA
MERA GHAR VEERAN NAHIN HAI
MAOT KE SAUDAGER SE KAHDO
YEH DHARTEE SHAMSAAN NAHIN HAI
MERA DIL HAI PIYAAR KA MANDIR
PHOOLON KA GULDAN NAHIN HAI
TAN PE HAI INSAAF KI CHADER
YEH KHADI KA THAAN NAHIN HAI
IS MITTEE MEN KHOON HAI MERA
TERA HINDUSTAN NAHI HAI
MANSAB POOJNE WALON PE AB
SAB KUCH HAI IMAAN NAHIN HAI
JAZBA -E- ULFAT AAM NA KARDOON
NAAM MERA ''EHSAN ''NAHIN HAI
Azeezi Ehsaan SaHab
Salam aur doa
Ek arcey bAAd aapki nihayat umdah Gazal nazar nawaaz huwwi. Dil Khoosh huwwa. "Allah kare zor.e qalam aur ziyadah."
Hamari maHafil meN riwaaj hai keh GazloN per apne mashwarey ya tabsarey pesh kiye jate haiN. Ab maan na ya unheN nazar andaaz karna shayar ki apni marZee per munhasir hai. Is ziman meN yeh arz karooNga keh doosra sher jo matAla nahiN hai ooskey miSraa.e awwal ko "HAI" lafz per Khatm karna achcha nahiN lagta kyuuN.k yeh aap ki radeef bhee hai. Agar matla' hota tou baat deegar thee. MaiN ne ek baar aisa kiya tha jab aap ke birather.e mukarram Salman Bhai marHoom ne jo mere liye ek ustaad ka darja rakhte they meri nishaandihee ki thee aur maiN ne unka behud shukriya adaaa kiya tha. Allah unheN apne jawaar.e rahmat meN jagah de,unki yaad aate hi dil afsoordah ho jata hai aur aisa kabhi nahiN huwwa unka naam liya ho aur meri aaNkh num nah ho gaii ho.
Ek deegar nukta yeh bhi hai keh chauthey sheir ka pahla miSra bohat kamZor hai. "Hai rahta" boora lagta hai "fragment of words:" ka masAla hai. Agar rahta hai kaheNge tou wohee masAla darpesh hoga jo doosrey sher meN tha meree nacheez raye meN jiskee pabandee aap per lazim nahiN yuuN paRhker dekhiye shayad aap ko Khood baohat achcha lage:
Koii makeeN hai mere dil meN
ab yeh ghar veeraan nahiN hai
Maqtey meN agar kahiN "gar" shamil ho jata to baat aur bhi Caaf ho jaati, masla" "rasm.e wafa gar a'am nah kardooN". Bajooz in adna nikaat ke mukammal Gazal behud Caaf hai aur har sher lajawaab hai. Meri dad aur mubarakbaad qubool kijiye.
KhulooSkaar wa doago,
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
intahai mashkoor hoon
Posted: Sat Sep 16, 2006 7:35 pm
by Ehsan Raza
MOHATRAM JAWAID SB
GHAZAL KI PASANDIDGI AOR HIMMAT AFZAI KE LIYE BE HAD MASHKOOR HOON AAPKE MASHWARE BILKUL DURUST HAIN YEH GHAZAL WOH HAI JISKO MAINE BHI ABHI NAHIN SUNA HAI SIRF CHAND MINTON KI NIGARISH HAI. APKE MASHWARE PER SIRF NAZRE SAANI NAHIN BALKE AMAL KIYA JAYEGA AAPNE JIN NUQAT PER NISHAN DAHI KI HAI WOH HAOSLON KI BULANDI AOR ILM MEN IZAFA KARTE HAIN
ALLA HAFIZ EHSAN RAZA ''EHSAN BADAUNI''