tarmeem shuda taraHi ghazal ghaflat e yaar kahan tak-------

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

tarmeem shuda taraHi ghazal ghaflat e yaar kahan tak-------

Post by khozema husaini »

haazreen e mehfil
assalam o alaikum
sab se pehle men mohtaram nazir saheb ka tah e dil se mashkoor hoon jinhoN ne meri ghazal ko na sirf paRha balke us ki ghaltiyon ki taraf bhi nishaandahi farmaii mere liye yeh kisi aijaaz se kam nahi unhi khamiyao ko door karte huye phir aap hazraat ko zehmat de raha hoon is ummeed ke saath ke aap apni aara se zaroor nawazenge aur mujhe seekhne ka moqa faraham karenge is ke li men aap ka peshgi shukriyah ada karta hoon
husaini



Ghazal
dafn seene meN rakheN wasl ke armaaN kab tak
aatish e hijr jalayegi miri jaan kab tak
tangi e zeest ka ho jaye use kaash ahsaas
ghaflat e yaar kahaN tak shab e hijraaN kab tak
aaeenah bandi e dil kaGHzi gul se kijaaye
aik seHraa meN tamanna e gulistaaN kab tak
aoj per aaj he tuGHyani e beHr e jazbaat
aik kooze meN daba rakkhenge toofaaN kab tak
her ghaRi dil pay diye jaate heN dastak aalaam
bin bulaye chale aayenge yeh mehmaaN kab tak
ab woh KHamosh he , tha shab meN shareek e maatam
saath deta mira aaKHir dil e naalaaN kab tak
daafa e naar e shikam Arq e badan he jiska
pet per bandhega patthar wahi dehqaaN kab tak
le liya qatl ka ilzaam hameeN ne sar per
husn ko dekhte ab aur paraishaaN kab tak
jo nah milti hameN GHurbat meN husaini manzil
koo ba koo phirte younhi be sar o saamaaN kab tak

husaini khandwi
Attachments
50 Ghaflat e yaar kahaN tak shab e hijraaN kab tak.gif
50 Ghaflat e yaar kahaN tak shab e hijraaN kab tak.gif (23.36 KiB) Viewed 133 times
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Post Reply