N'aate-e Sarwar-e Kaunain (SWWS)---Mush: 22

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

N'aate-e Sarwar-e Kaunain (SWWS)---Mush: 22

Post by jawaid badauni »


Buzurgaan.e MuHtaram wa azeezaan.e giraamee,
Tasleemaat

Ramadhan Mubarak

Mujhe behud Khooshee hai keh ek baar phir Urdubandhan ke
mushaaireh meN sub se pahle HaaZiree lagaa raha hooN. Meri
n'aat funnee e'tbaar se shayad itni maZboot nahiN magar ismeN
aap ko muwaddat ki jhalak zaroor milegee. In ashAAr ko ek ahl-e
vilaa ke dil ki aawaaz samajh ker mulaaHizah farmaaiye aur
apni garNqadr aara se nawaziye. Abdullah Nazir SaHab se
iltemaas hai woh funnee KhaamiyoN ki nishandihe farmayeN.


Apka MuKhliS

MaddaaH-e Sarkaar-e Anbiaa'

Jawaid Badauni
Muscat-Oman
------------------------------------------------------------------------------------



N'aat-e Sardaar-e Moorsaleen(SWWS)


roo-e purnoor.e Nabi husn meN yakta chehrah
"dast-e qudrat se nah phir ban saka aisa chehrah"


ooski aankhoN peh meree aaNkhoN ki beenaaii niSaar
jis ne ik baar bhee dekha ho Nabi ka chehrah



hum kabhi neeNd se bedaar nah hoN ai M'aabod !
khuwaab meN jab woh dikhaeN hemeN apna chehrah



apne har wasf meN yakta haiN hamaare Sarkaar
aisee seerat hai kisee kee nah hai aisa chehrah



roo.e Sarkaar.e Risaalat ki kahaN koii miSaal
yuuN tou tha Hazrat-e Yoosuf ka bhi achcha chehrah



apne maddaaH ko rauZe pe bulaaya nah Huzoor
khuwaab meN bhi nah Sanaagar ko dikhaya chehrah



raat ho jaatee thee :Jawaid: sahar ki maaniNd
aisa purnoor.o.munawwar tha Nabi ka chehrah

---------------------------------------------------------
Last edited by jawaid badauni on Wed Oct 04, 2006 6:10 pm, edited 2 times in total.
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: N'aate-e Sarwar-e Kaunain (SWWS)---Mush: 22

Post by haamidbaaqri »

jawaid badauni wrote:
Buzurgaan.e MuHtaram wa azeezaan.e giraamee,
Tasleemaat

Ramadhan Mubarak

Mujhe behud Khooshee hai keh ek baar phir Urdubandhan ke
mushaaireh meN sub se pahle HaaZiree lagaa raha hooN. Meri
n'aat funnee e'tbaar se shayad itni maZboot nahiN magar ismeN
aap ko muwaddat ki jhalak zaroor milegee. In ashAAr ko ek ahl-e
vilaa ke dil ki aawaazr samajh ker mulaaHizah farmaaiye aur
apni garNqadr aara se nawaziye. Abdullah Nazir SaHab se
iltemaas hai woh funnee KhaamiyoN ki nishandihe farmayeN.


Apka MuKhliS

MaddaaH-e Sarkaar-e Anbiaa'

Jawaid Badauni
Muscat-Oman
------------------------------------------------------------------------------------



N'aat-e Sardaar-e Moorsaleen(SWWS)


roo-e purnoor.e Nabi husn meN yakta chehrah
"dast-e qudrat se nah phir ban saka aisa chehrah"


ooski aankhoN peh meree aaNkhoN ki beenaaii niSaar
jis ne ik baar bhee dekha ho Nabi ka chehrah


hum kabhi neeNd se bedaar nah hoN ai M'aabod !
khuwaab meN jab woh dikhaeN hemeN apna chehrah


apne har wasf meN yakta haiN hamaare Sarkaar
aisee seerat hai kisee kee nah hai aisa chehrah


roo.e Sarkaar.e Risaalat ki kahaN koii miSaal
yuuN tou tha Hazrat-e Yoosuf ka bhi achcha chehrah


apne maddaaH ko rauZe pe bulaaya nah Huzoor
khuwaab meN bhi nah Sanaagar ko dikhaya chehrah


raat ho jaatee thee :Jawaid: sahar ki maaniNd
aisa purnoor.o.munawwar tha Nabi ka chehrah
---------------------------------------------------------
salaamun alaikum
baradaram jawaid saahib

aapka diya hua micra hame.n bahut pasand aaya.aapkay ustaadaanah kalaam nay yaqeen jaaniye hame.n 'eshqe nabi(s.a.w.) say sarshaar kardiya hai.eeman taaza ho gaya bhai saahib.

itni khoobsoorat n'aat kahi hai aapnay keh hamaare paas iski t'aareef keliye alfaaz nahi.n hai.n.

iski jaza tau wohi dega jo khud inki(s.a.w.) mad'ha karta hai.

is haqeer ki jaanib say dher saari daad aur dilee mubaarakbaad qubool farmaaye.n

allah(sbhnwt)is purnoor n'aat ke sadqe mei.n aapki har pareshaani door farmaaye.aameen

aapka apna
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »


Janab Jawaid SaHib....

MASHALLAH....SUBHANALALH....

kafi khoobsurat naa't peesh ki hai aap nay...paRh kar rooh o emaan taza hogaya...naa't kay saray hi ashaar bahut khoob hain...lakin yeh shair dil ko choo gaya..

ooski aankhoN peh meree aaNkhoN ki beenaaii niSaar
jis ne ik baar bhee dekha ho Nabi ka chehrah

dili daad kay peesh-e-khidmat hai...qabool farma kar shukriya ka mouqa eenayat farmayeeN...

farhan
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

mohtaram janab Jawaid badauni saHeb!

mashaAllah! bohot u'mdah aor rooHparwar na't shareef ka nazranah pesh kiYa hai aap ne asha'aar barjastagee se warid ho raheYe haiN maZ^aameen meN Halawat hai aor baYaan meN shastagee hai!! subHaanAllah!! subHanAllah!!

rab se iltamaas hai keh woh aap ko is ka ajar-e-khaer a't^a farmade!(aamee)

N'aat-e Sardaar-e Moorsaleen(SWWS)


roo-e purnoor.e Nabi husn meN yakta chehrah
"dast-e qudrat se nah phir ban saka aisa chehrah"
subHanAllah!


ooski aankhoN peh meree aaNkhoN ki beenaaii niSaar
jis ne ik baar bhee dekha ho Nabi ka chehrah
subHanAllah!

hum kabhi neeNd se bedaar nah hoN ai M'aabod !
khuwaab meN jab woh dikhaeN hemeN apna chehrah
subHanAllah!

apne har wasf meN yakta haiN hamaare Sarkaar
aisee seerat hai kisee kee nah hai aisa chehrah
subHanAllah!

roo.e Sarkaar.e Risaalat ki kahaN koii miSaal
yuuN tou tha Hazrat-e Yoosuf ka bhi achcha chehrah
subHanAllah!

apne maddaaH ko rauZe pe bulaaya nah Huzoor
khuwaab meN bhi nah Sanaagar ko dikhaya chehrah
subHanAllah!

raat ho jaatee thee :Jawaid: sahar ki maaniNd
aisa purnoor.o.munawwar tha Nabi ka chehrah
---------------------------------------------------------




Wassalam
mukhliS
muz^affar
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Wed Oct 04, 2006 6:34 pm, edited 2 times in total.
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: N'aate-e Sarwar-e Kaunain (SWWS)---Mush: 22

Post by jawaid badauni »

haamidbaaqri wrote:
jawaid badauni wrote:
Buzurgaan.e MuHtaram wa azeezaan.e giraamee,
Tasleemaat

Ramadhan Mubarak

Mujhe behud Khooshee hai keh ek baar phir Urdubandhan ke
mushaaireh meN sub se pahle HaaZiree lagaa raha hooN. Meri
n'aat funnee e'tbaar se shayad itni maZboot nahiN magar ismeN
aap ko muwaddat ki jhalak zaroor milegee. In ashAAr ko ek ahl-e
vilaa ke dil ki aawaazr samajh ker mulaaHizah farmaaiye aur
apni garNqadr aara se nawaziye. Abdullah Nazir SaHab se
iltemaas hai woh funnee KhaamiyoN ki nishandihe farmayeN.


Apka MuKhliS

MaddaaH-e Sarkaar-e Anbiaa'

Jawaid Badauni
Muscat-Oman
------------------------------------------------------------------------------------



N'aat-e Sardaar-e Moorsaleen(SWWS)


roo-e purnoor.e Nabi husn meN yakta chehrah
"dast-e qudrat se nah phir ban saka aisa chehrah"


ooski aankhoN peh meree aaNkhoN ki beenaaii niSaar
jis ne ik baar bhee dekha ho Nabi ka chehrah


hum kabhi neeNd se bedaar nah hoN ai M'aabod !
khuwaab meN jab woh dikhaeN hemeN apna chehrah


apne har wasf meN yakta haiN hamaare Sarkaar
aisee seerat hai kisee kee nah hai aisa chehrah


roo.e Sarkaar.e Risaalat ki kahaN koii miSaal
yuuN tou tha Hazrat-e Yoosuf ka bhi achcha chehrah


apne maddaaH ko rauZe pe bulaaya nah Huzoor
khuwaab meN bhi nah Sanaagar ko dikhaya chehrah


raat ho jaatee thee :Jawaid: sahar ki maaniNd
aisa purnoor.o.munawwar tha Nabi ka chehrah
---------------------------------------------------------
salaamun alaikum
baradaram jawaid saahib

aapka diya hua micra hame.n bahut pasand aaya.aapkay ustaadaanah kalaam nay yaqeen jaaniye hame.n 'eshqe nabi(s.a.w.) say sarshaar kardiya hai.eeman taaza ho gaya bhai saahib.

itni khoobsoorat n'aat kahi hai aapnay keh hamaare paas iski t'aareef keliye alfaaz nahi.n hai.n.

iski jaza tau wohi dega jo khud inki(s.a.w.) mad'ha karta hai.

is haqeer ki jaanib say dher saari daad aur dilee mubaarakbaad qubool farmaaye.n

allah(sbhnwt)is purnoor n'aat ke sadqe mei.n aapki har pareshaani door farmaaye.aameen

aapka apna
haamidbaaqri

MoHibbee wa azeezi Hamid Baaqree
SaHaab

Aapki puKhuloos daad aur oos se baRhkar aap ki doa ke liye
aap ka behud mamnoon hooN. Ummid hai jald hi aap bhi apni
N'aat Shareeef ke saath is muqaddas bazm meN tashreef
layeNge.

Ek baar phir shukriya.

MuKhliS
Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: N'aate-e Sarwar-e Kaunain (SWWS)---Mush: 22

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:
Buzurgaan.e MuHtaram wa azeezaan.e giraamee,
Tasleemaat

Ramadhan Mubarak

Mujhe behud Khooshee hai keh ek baar phir Urdubandhan ke
mushaaireh meN sub se pahle HaaZiree lagaa raha hooN. Meri
n'aat funnee e'tbaar se shayad itni maZboot nahiN magar ismeN
aap ko muwaddat ki jhalak zaroor milegee. In ashAAr ko ek ahl-e
vilaa ke dil ki aawaazr samajh ker mulaaHizah farmaaiye aur
apni garNqadr aara se nawaziye. Abdullah Nazir SaHab se
iltemaas hai woh funnee KhaamiyoN ki nishandihe farmayeN.


Apka MuKhliS

MaddaaH-e Sarkaar-e Anbiaa'

Jawaid Badauni
Muscat-Oman
------------------------------------------------------------------------------------



N'aat-e Sardaar-e Moorsaleen(SWWS)


roo-e purnoor.e Nabi husn meN yakta chehrah
"dast-e qudrat se nah phir ban saka aisa chehrah"


ooski aankhoN peh meree aaNkhoN ki beenaaii niSaar
jis ne ik baar bhee dekha ho Nabi ka chehrah


hum kabhi neeNd se bedaar nah hoN ai M'aabod !
khuwaab meN jab woh dikhaeN hemeN apna chehrah


apne har wasf meN yakta haiN hamaare Sarkaar
aisee seerat hai kisee kee nah hai aisa chehrah


roo.e Sarkaar.e Risaalat ki kahaN koii miSaal
yuuN tou tha Hazrat-e Yoosuf ka bhi achcha chehrah


apne maddaaH ko rauZe pe bulaaya nah Huzoor
khuwaab meN bhi nah Sanaagar ko dikhaya chehrah


raat ho jaatee thee :Jawaid: sahar ki maaniNd
aisa purnoor.o.munawwar tha Nabi ka chehrah
---------------------------------------------------------
Subhaan Allah..........Jawaid bhai,

aapko bhi Ramadhan mubarak

bohat hi khoob kalaam se nawaaze hain aap,

sehar ke baad subh subh aapka kalaam dekh kar dil khush hua,

zor e qalam aur ziyada aur ziyada. naat ka har shair bohat alaa

hai dili daad qubool keejiye.

mukhlis

sara

Azeezah Sara SaHibaah, Salam aur doa

Aap ki muKhliSaana daad ke liye mamnoon hooN. Mujhe mAlum tha
Naat sharef aap ko zaroor pasaNd aayege. Jis se dil meN mowaddat
ho ooska zikre Khair achcha hi lagta hai. Ab bazm meN aap ki Naat
ka muntazir hooN.

MuKhliS
Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

farhan wrote:
Janab Jawaid SaHib....

MASHALLAH....SUBHANALALH....

kafi khoobsurat naa't peesh ki hai aap nay...paRh kar rooh o emaan taza hogaya...naa't kay saray hi ashaar bahut khoob hain...lakin yeh shair dil ko choo gaya..

ooski aankhoN peh meree aaNkhoN ki beenaaii niSaar
jis ne ik baar bhee dekha ho Nabi ka chehrah

dili daad kay peesh-e-khidmat hai...qabool farma kar shukriya ka mouqa eenayat farmayeeN...

farhan
Mohtarmee Farhaan Sb., aadaab

Naat shareef ki pazeeraaii ke liye aap ka behud shukrguzaar hooN.

Such poochiye tou jo sher aapko pasaNd aaya wohee Haasil.e nAAt
hai. Mujhe Khood bhi wohee sher pasaNd hai sub se ziyadah.

Ek baar phir shukriya.

MuKhliS
Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:mohtaram janab Jawaid badauni saHeb!

mashaAllah! bohot u'mdah aor rooHparwar na't shareef ka nazranah pesh kiYa hai aap ne asha'aar barjastagee se warid ho raheYe haiN maZ^aameen meN Halawat hai aor baYaan meN shastagee hai!! subHaanAllah!! subHanAllah!!

rab se iltamaas hai keh woh aap ko is ajar-e-khaer a't^a farmade!(aamee)

N'aat-e Sardaar-e Moorsaleen(SWWS)


roo-e purnoor.e Nabi husn meN yakta chehrah
"dast-e qudrat se nah phir ban saka aisa chehrah"
subHanAllah!


ooski aankhoN peh meree aaNkhoN ki beenaaii niSaar
jis ne ik baar bhee dekha ho Nabi ka chehrah
subHanAllah!

hum kabhi neeNd se bedaar nah hoN ai M'aabod !
khuwaab meN jab woh dikhaeN hemeN apna chehrah
subHanAllah!

apne har wasf meN yakta haiN hamaare Sarkaar
aisee seerat hai kisee kee nah hai aisa chehrah
subHanAllah!

roo.e Sarkaar.e Risaalat ki kahaN koii miSaal
yuuN tou tha Hazrat-e Yoosuf ka bhi achcha chehrah
subHanAllah!

apne maddaaH ko rauZe pe bulaaya nah Huzoor
khuwaab meN bhi nah Sanaagar ko dikhaya chehrah
subHanAllah!

raat ho jaatee thee :Jawaid: sahar ki maaniNd
aisa purnoor.o.munawwar tha Nabi ka chehrah
---------------------------------------------------------




Wassalam
mukhliS
muz^affar

MoHtarmee Muzaffar SaHaab
Aadaab

Aap hamesha behud Khuloos se kalam ko nawaazte haiN aur
iKhteSaar se bhi kaam nahiN lete haiN. Naat shareef ki pazeeraayee
ke liye aap ka mamnoon hooN. Ab aap bhi ashAAr kahna shuroo
kar deejiye. Naatiya Mushaaireh meN mujhe aap ki Naat ka intezaar
hai.

MuKhliS
Jawaid
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

subhaanallah, bahut achchi naAt-e-sheri S.A.W.S kahi hei

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki madarja-e-zeil naAt=e=nabi kareem S.A.W.S bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Javaab likhne meiN ta'kheer ke liye muAfi kaa khwaastgaar hooN. Waise iske asbaab kaa aap ko bakhoobi ilm hei. Inshaallah aapke hee nehj per maiN bhie is maah ke ikhtitam se pahle apn naAt=e=sherif S.A.W.S kehne aur bhejne kee koushish karungaa.



N'aat-e Sardaar-e Moorsaleen(SWWS)


roo-e purnoor.e Nabi husn meN yakta chehrah
"dast-e qudrat se nah phir ban saka aisa chehrah"


ooski aankhoN peh meree aaNkhoN ki beenaaii niSaar
jis ne ik baar bhee dekha ho Nabi ka chehrah



hum kabhi neeNd se bedaar nah hoN ai M'aabod !
khuwaab meN jab woh dikhaeN hemeN apna chehrah



apne har wasf meN yakta haiN hamaare Sarkaar
aisee seerat hai kisee kee nah hai aisa chehrah



roo.e Sarkaar.e Risaalat ki kahaN koii miSaal
yuuN tou tha Hazrat-e Yoosuf ka bhi achcha chehrah



apne maddaaH ko rauZe pe bulaaya nah Huzoor
khuwaab meN bhi nah Sanaagar ko dikhaya chehrah



raat ho jaatee thee :Jawaid: sahar ki maaniNd
aisa purnoor.o.munawwar tha Nabi ka chehrah



Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Post Reply