'ik sadaa aa rahii hai kaanoN meiN'
Posted: Tue Oct 03, 2006 11:35 pm
ek tarahi misre per merii koshish pesh-e-khidmat hai;apni araa dekar mamnooniyat ka mauqa dijiye
**********************
Daane Dunke ke imtehaanoN mein
zindgi kaT gayii uRanoN mein
ik sakoot-e-qazaa bapaa ghar ke
dar-o-diiwaar aur dalaanoN mein
'izz-o-iimaaN, khariid lo kuchhh bhii!
kyaa nahin bikta ab dukaanoN mein?
jhooTe da'awe farogh paate haiN
in siyaasat ke kaarkhanoN mein
ehteraam-o-adab na lehzoN men
na rahii sheeranii zubaanoN meN
juz ko kul par hisaar lete heN
ik kamii yeh bhii naaqidaanoN mein
bad-o-baatil bhii,'azm-o-ehsaaN bhii
zaat-e-dil ke nihaan-khaanoN mein
fasl-e-gulzaar-e-kishwar-o-millat
baNt rahii aaj baaGhbaanoN men
hai moattar-khiraamaaN baad-e-sabaa
'ik sadaa aa rahii hai kaanoN meiN'
'ishq ab baa`is-e-tavajjoh nahin
husn-bastii ke mezbaanoN mein
zaamin
**********************
Daane Dunke ke imtehaanoN mein
zindgi kaT gayii uRanoN mein
ik sakoot-e-qazaa bapaa ghar ke
dar-o-diiwaar aur dalaanoN mein
'izz-o-iimaaN, khariid lo kuchhh bhii!
kyaa nahin bikta ab dukaanoN mein?
jhooTe da'awe farogh paate haiN
in siyaasat ke kaarkhanoN mein
ehteraam-o-adab na lehzoN men
na rahii sheeranii zubaanoN meN
juz ko kul par hisaar lete heN
ik kamii yeh bhii naaqidaanoN mein
bad-o-baatil bhii,'azm-o-ehsaaN bhii
zaat-e-dil ke nihaan-khaanoN mein
fasl-e-gulzaar-e-kishwar-o-millat
baNt rahii aaj baaGhbaanoN men
hai moattar-khiraamaaN baad-e-sabaa
'ik sadaa aa rahii hai kaanoN meiN'
'ishq ab baa`is-e-tavajjoh nahin
husn-bastii ke mezbaanoN mein
zaamin