guz.22 ke miSreA per meri naAt S.A.W.S. Abdullah Nazir.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
guz.22 ke miSreA per meri naAt S.A.W.S. Abdullah Nazir.
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-Sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat,
Guzarish 22 ke miSreA per apni TaraHi naAt-e-sherif S.A.W.S pesh karne kee saAaadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed hei ke meri kaavish aapko pasand aayegi.
NaAt-e-sherif S.A.W.S roman meiN:
behr-e-kaunain banaayaa jo nabi kaa chehrah
"dast-e-qudrat se nah phir ban sakaa aisaa chehrah
khal bali mach gayi Makkeh kee Saf-e-aAdaa meiN
dil risaalat kaa hei, quraaN kaa saraapaa chehrah
zakhm per zakhm sahe uff nah kahaa lougaoN se
marHabaa zaat-e-ameeN, khulq-e-muSaffa chehrah
dekhnaa hei tou miri aankh se dekh aiy dunyaa
mazhar-e-noor-e-mubeeN, dilkash o zebaa chehrah
aankh meHroom-e-baSaarat hou yeh mumkin hei magar
kis ne dekhaa nahiN dil se gul-e-raAnaa chehrah
shiddate-e-fakhr-e-muaddat ke bayaabaanaoN meiN
saamne rehtaa hei sarkaar tumhaaraa chehrah
khaak-e-Taibah hei mujhe mushk-e-khutan se baRhkar
jiske zarrat ne dekhaa hei nabi kaa chehrah
mausam-e-yaas meiN ummeed-e-saHar baaqi hei
noor kaa ham ko dikhaade shab-e-yaldaa chehrah
fikr-e-Nazir ko hei kuch aisaa taAalluq tum se
khaab-e-ghaflat meiN bhee detaa hei dilaasaa chehrah.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
- Attachments
-
- a_na_22ub_b.jpg (147.59 KiB) Viewed 180 times
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
MoHtarmee Abdulla Nazir SaHaab
Aadaab
Aap ki nAAt nazar nawaz huwwi. Kya kahna subHaan Allah. Har
sher se aap ki kohna mashqi zaahir hai. AshAAr meN muwaddat
ki mahak bhi maujood hai.
Sirf ek nukte per tawajjo ka talib hooN. Yehee mashwarah ek aur
buzurg ko bhi kaii baar de chuka hooN magar wahaN meri
tajweez qaablile qubool nahiN. Kisee bhi kalam meN KhuSoosan
Naat meN bohat ziyadah saqeel zubaan (Complex and advanced
Urdu) ke astAimal se kalam kum Urdu jan ne waloN ke
dastaras se tajawooz kar jata hai. Iskey barAkC aasaan zubaan
meN kaha gaya kalam baAAsaani sub ki samajh meN aa jata hai.
Ek Surat yeh bhi ho saktee hai keh mushkil alfaaz ke mAAna dey diye
jayeN magar Mushaairey meN yeh mumkin kahaN hai. Aap se
iltemaas hai aasaan aur saada zubaan ke istAimal ko tarjeeh dijiyega.
Naat nihayat pur aSar hai aur ashAAr dil ko chune wale haiN.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
MuKhliS
Jawaid
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut bahut shukriyah
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Guz.22 ke miSreA per meri naAt-e-sherif S.A.W.S per tabSirah farmaate houe aap ne likhkhaa hei:
Aap ki nAAt nazar nawaz huwwi. Kya kahna subHaan Allah. Har
sher se aap ki kohna mashqi zaahir hai. AshAAr meN muwaddat
ki mahak bhi maujood hai.
Sirf ek nukte per tawajjo ka talib hooN. Yehee mashwarah ek aur
buzurg ko bhi kaii baar de chuka hooN magar wahaN meri
tajweez qaablile qubool nahiN. Kisee bhi kalam meN KhuSoosan
Naat meN bohat ziyadah saqeel zubaan (Complex and advanced
Urdu) ke astAimal se kalam kum Urdu jan ne waloN ke
dastaras se tajawooz kar jata hai. Iskey barAkC aasaan zubaan
meN kaha gaya kalam baAAsaani sub ki samajh meN aa jata hai.
Ek Surat yeh bhi ho saktee hai keh mushkil alfaaz ke mAAna dey diye
jayeN magar Mushaairey meN yeh mumkin kahaN hai. Aap se
iltemaas hai aasaan aur saada zubaan ke istAimal ko tarjeeh dijiyega.
Naat nihayat pur aSar hai aur ashAAr dil ko chune wale haiN.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
MuKhliS
Jawaid
NaAt-e-sherif S.A.W.S kee pazeerayi ke liye beHad shukrguzaar hooN.
Mushkil aur aasaan lafzoN ke baare meiN kisi ne koii qaaAidah murattab nahiN kiyaa hei.
Is mauZooA per maah-e-Ramadhan-e-kareem ke baAd "baat cheet" kee forum meiN tafSeel se tabaadila-e-khayaal karsakte heiN. Aap tayyari keejiye taakeh koii aise Hawaale de sakeN jinke kalaam ko aasaan yaa mushkil keh sakeN.
Aapka MukhliS,
Nazir.