Page 1 of 1

rukh se pardah uTh~a dijiYe!

Posted: Sat Oct 07, 2006 11:15 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar



Yaraan-e-meHfil aadaab!

abh~ee peTh~a Saef -ud-deen Saef marHoom kee Ghazal

"lazzat-e-Gham baRh~a dijiYe
aap YooN muskura dijiYe"

sun raha th~a. keh do GhazleeN isee zameen meN ho gaeeN.
aek z^areefanah hai jo "mazahiYah kaalam" kee laree meN laga dee hai. aor dusree Yeh jo pesh-e-khidmat hai.

aap sab kee raYe ka intz^aar rahe ga. beHer ke arkaan haiN.

faa e'lun........faa e'lun.........faa e'lun
212.................212....................212

bohot khubSurat aor narm zameen hai. dusre dost bh~ee t^aba' aazmaaeeN. bohot mazah aaeYe ga.

Ghazal

1,

rukh se pardah uTh~a dijiYe

z^ulmat-e-shab miTa dijiYe!


2,

gar e'naYat ke qabil naheeN

sakht koee saza dijiYe!


3,

jurm-e-ulfat kee padaash meN

meree hastee mita dijiYe!


4,

luT geYa shaoq ka karwaaN

raah zan ko dua'a dijiYe!


5,

be niYazee bohot ho chukee

mashq-e-joor-e-jafa kijiYe!


6,

maiN ne ch~eRa hai saaz-e-t^arab

koee naGhmah suna dijiYe!


7,

shaoq-e-nazz^arah kis ko naheeN?

aaj jalwah dikh~a dijiYe!


8,

dasht-e-furqat meN jaan-e-jahaaN

kh~o geYa hooN Sada dijiYe!


9,

bujh~ nah jaeYe charaaGh-e-wafa

YooN nah is ko hawa dijiYe!


10,

baRh~ geYa mera dard-e-jigar

mekade ka pata dijiYe!


11,

nakhl-e-ummeed murjh~a geYa

baGhbaaN ko dua'a dijiYe!


12,

aa rahee hai muz^affar kee na'sh

rastooN ko saja dijiYe!





Posted: Sun Oct 08, 2006 9:17 pm
by Shummu
wah wah bahut khoob..mukhtasr si behr mein aap ki ye rawaan dawaan ghazal bahut pasand aayi..daad pesh hai muzaffar sahab :)

Posted: Mon Oct 09, 2006 6:30 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Shummu jee!! aadaab! :-)

aap ka mamnoon hoN keh aap ne kalam ko pasand
farmaYa mujh~e pata hai keh aap sab ke kalam par
dad naheeN deteeN aor jin ko dad deteeN haiN un
meN se aek maiN bh~ee hoN.

aap kalam pasand farmatee haiN to bohot HoSlah
baRh~ta hai!

Wassalam
muz^affar

Posted: Mon Oct 09, 2006 12:18 pm
by Shummu
koshish yahi rehti hain sab ko paRhoon magar kambhakht waqt ki qillat maar deti hai..waise jo kalaam mujhe pasand aata hai use daad zaroor deti hoon:-)