Page 1 of 1
"hissay mei.n aayee hai"aik taaza ghazal peshay kh
Posted: Tue Oct 17, 2006 8:23 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
mohtaram abdullah nazir sahib kee is zameen mei.n ghazal padhnay kay b'aad hamaara dil bhi chaaha keh hum bhi kuch kahe.n.lehaaza apni yeh taaza ghazal irsaal karnay ki sa'aadat haasil kar rahay hai.n.
gar qubool uftad zahay .................
arz kiya hai.....
rasoolallah(s.a.w.a.w)say waabastagi hissay mei.n aayee hai
keh hum sayyed hai.n humko sarwari hissay mei.n aayee hai
koyee aasaa.n nahi.n hai kaam yaaro shaayeri karna
badi mushkil say yeh deewaangi hissay mei.n aayee hai
bahut rau rau kay maangee rab say humnay fikr ki daulat
khuda kay fazl say yeh aagahi hissay mei.n aayee hai
munaafiq aur zaalim jitnay hai.n is dauray haazir mei.n
enhee.n logo.n kay dekho rahbari hissay mei.n aayee hai
utho aye naujawaanau khwaab say bedaar hau jaao
khudaara mat kaho keh baybasee hissay mei.n aayee hai
nikalta dam hai ab insaaniyat ka kuch karo haamid
bashar yeh keh nah day haiwaanagee hissay mei.n aayee hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al ahamdulillah
Bahut khoob, subhaanallah
Posted: Sat Nov 25, 2006 4:10 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramai
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zeil ghazal nazar se guzri jo aapke makhSooS andaz meiN hei aur bahut dilkash hei. Is kaamyaab koushish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye aur
rasoolallah(s.a.w.a.w)say waabastagi hissay mei.n aayee hai
keh hum sayyed hai.n humko sarwari hissay mei.n aayee hai
koyee aasaa.n nahi.n hai kaam yaaro shaayeri karna
badi mushkil say yeh deewaangi hissay mei.n aayee hai
bahut rau rau kay maangee rab say humnay fikr ki daulat
khuda kay fazl say yeh aagahi hissay mei.n aayee hai
munaafiq aur zaalim jitnay hai.n is dauray haazir mei.n
enhee.n logo.n kay dekho rahbari hissay mei.n aayee hai
utho aye naujawaanau khwaab say bedaar hau jaao
khudaara mat kaho keh baybasee hissay mei.n aayee hai
nikalta dam hai ab insaaniyat ka kuch karo haamid
bashar yeh keh nah day haiwaanagee hissay mei.n aayee hai
Aapka MukhliS,
Nazir,
Posted: Sat Nov 25, 2006 9:36 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]mohtaram Hamid bh~aee!
aap ke makhSooS andaz meN aap ka kalam dekh~ne ka sharf mila jo keh baRa pur acar hone ke sath~ sath~ ieeman afrooz bh~ee hai.
aap kee in tamaam kawishooN ka khuda ke HuZ^oor baRa ajar hai.
meree janib se dilee mubarak baad aor dua'aaeeN qubool kijiYe!
Wassalam
muz^affar[/align]
Posted: Mon Nov 27, 2006 9:23 am
by muhammad_19k
haamid baaqri sb,
ye daikh kar khushi hoee ke aap ke meelan islaahi shairee ki taraf hei. Ye shair bohat khoobsoorat laga,
**koyee aasaa.n nahi.n hai kaam yaaro shaayeri karna
badi mushkil say yeh deewaangi hissay mei.n aayee hai **
shukriya
Posted: Mon Nov 27, 2006 10:23 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]mohtaram Hamid bh~aee!
aap ke makhSooS andaz meN aap ka kalam dekh~ne ka sharf mila jo keh baRa pur acar hone ke sath~ sath~ ieeman afrooz bh~ee hai.
aap kee in tamaam kawishooN ka khuda ke HuZ^oor baRa ajar hai.
meree janib se dilee mubarak baad aor dua'aaeeN qubool kijiYe!
Wassalam
muz^affar[/align]
wa alaikumussalaam
muzaffar bhai
aapki purkhuloos daad aur duao.n keliye hum aapkay behad shukrguzaar hai.n.
allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen
muklis
haamidbaaqri
Re: Bahut khoob, subhaanallah
Posted: Mon Nov 27, 2006 10:26 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtaramai
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zeil ghazal nazar se guzri jo aapke makhSooS andaz meiN hei aur bahut dilkash hei. Is kaamyaab koushish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye aur
rasoolallah(s.a.w.a.w)say waabastagi hissay mei.n aayee hai
keh hum sayyed hai.n humko sarwari hissay mei.n aayee hai
koyee aasaa.n nahi.n hai kaam yaaro shaayeri karna
badi mushkil say yeh deewaangi hissay mei.n aayee hai
bahut rau rau kay maangee rab say humnay fikr ki daulat
khuda kay fazl say yeh aagahi hissay mei.n aayee hai
munaafiq aur zaalim jitnay hai.n is dauray haazir mei.n
enhee.n logo.n kay dekho rahbari hissay mei.n aayee hai
utho aye naujawaanau khwaab say bedaar hau jaao
khudaara mat kaho keh baybasee hissay mei.n aayee hai
nikalta dam hai ab insaaniyat ka kuch karo haamid
bashar yeh keh nah day haiwaanagee hissay mei.n aayee hai
Aapka MukhliS,
Nazir,
salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib
aapki hausalah afzaayee aur mukhlisaanah daad keliye hum aapkay behad mamnoono mashkoor hai.n.
jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri
shukriya
Posted: Mon Nov 27, 2006 10:29 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:haamid baaqri sb,
ye daikh kar khushi hoee ke aap ke meelan islaahi shairee ki taraf hei. Ye shair bohat khoobsoorat laga,
**koyee aasaa.n nahi.n hai kaam yaaro shaayeri karna
badi mushkil say yeh deewaangi hissay mei.n aayee hai **
mohtarm mohammed saahib
hamaaray adna kalaam kau pasand farmaanay ka bahut bahut shukriya
jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri