Tarahi Ghazal: Abdulqayyum Sahil, Jeddah
Posted: Sun Jan 30, 2005 4:16 pm
[
Muhtaramaat o MuHtarameen,
Adaab o Tasleemaat,
Urdubandhan kii Guzarish No.1 ke TaraHi misreA per apni ghazal paish karrahaa hooN. Ummeed ke aapki giraNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA milega. Shukriyah.
GHAZAL
1)retiy-e-Husn meiN micaal nah hou
yooN koii paikar-e-jamaal nah hou
2)dam nikal jaye kunj-e-khalwat meiN
munkashif us pah apnaa haal nah hou
3)us prinde kii samt kyaa dekhaiN
jou hamaare liye halaal nah hou
4)ham nah deN khoon-e-dil agar apnaa
rang phoolaoN kaa itnaa laal nah hou
5)guftagu meiN mazah nahiN aataa
if koii apnaa ham-khayaal nah hou
6)sab yaqeenan hameeN se poochenge
"tum se shayad koii sawaal nah hou"
7)qatra-e-khooN badan meiN hei jab tak
aabroo koiee paa'imaal nah hou
8)khudkushi per koii kamar baandhe
zindagi isqadar muHaal nah hou
9)jis taraf bhii maiN dekhooN gulshan meiN
khaali phoolaoN se koii Daal nah hou
10)phir khushi kaa zamaanah aayegaa
shiddat-e-ranj se niDhaal nah hou
11)Dekh lo aaj khoob jii bhar ke
kyaa khabr phir kabhi visaal nah hou
12)sheesha-e-dil bhii touRde zaalim
aur us per zaraa malaal nah hou
13)Us ko khafgi nah kahiye aiy :Sahil:
tamtamaakar jou surkh gaal nah hou.
----------
End.
Khair Andesh,
Sahil,
Muhtaramaat o MuHtarameen,
Adaab o Tasleemaat,
Urdubandhan kii Guzarish No.1 ke TaraHi misreA per apni ghazal paish karrahaa hooN. Ummeed ke aapki giraNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA milega. Shukriyah.
GHAZAL
1)retiy-e-Husn meiN micaal nah hou
yooN koii paikar-e-jamaal nah hou
2)dam nikal jaye kunj-e-khalwat meiN
munkashif us pah apnaa haal nah hou
3)us prinde kii samt kyaa dekhaiN
jou hamaare liye halaal nah hou
4)ham nah deN khoon-e-dil agar apnaa
rang phoolaoN kaa itnaa laal nah hou
5)guftagu meiN mazah nahiN aataa
if koii apnaa ham-khayaal nah hou
6)sab yaqeenan hameeN se poochenge
"tum se shayad koii sawaal nah hou"
7)qatra-e-khooN badan meiN hei jab tak
aabroo koiee paa'imaal nah hou
8)khudkushi per koii kamar baandhe
zindagi isqadar muHaal nah hou
9)jis taraf bhii maiN dekhooN gulshan meiN
khaali phoolaoN se koii Daal nah hou
10)phir khushi kaa zamaanah aayegaa
shiddat-e-ranj se niDhaal nah hou
11)Dekh lo aaj khoob jii bhar ke
kyaa khabr phir kabhi visaal nah hou
12)sheesha-e-dil bhii touRde zaalim
aur us per zaraa malaal nah hou
13)Us ko khafgi nah kahiye aiy :Sahil:
tamtamaakar jou surkh gaal nah hou.
----------
End.
Khair Andesh,
Sahil,