Page 1 of 1

" dh~ajjiYaaN uRa deN haiN apne hee garibaaN ki"Gu

Posted: Fri Nov 03, 2006 12:27 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
yaraan-e-bazm-e-mushae,rah aadaab! :-)

khaaksar ko bazm-e-mushae,ar ke liye ba Heciyat-e-"Moderator" naamzad kar liya geya hai. yeh aqdaam mere liye sarmayah-e-iftekhaar hai.

mere liye dua'a kee jae keh maiN yeh Hassaas zimmah daaree kama Haqqah ho ada kar sakooN.

lehazah aap sab kee khidmat meN maiN mubarak baad pesh karta hooN.

aor ab mah-e-rawaaN ke liye kahee hoee Ghazal pesh kidmat hai.



Ghazal


1,

Yaad ehl-e-zindaaN ko aaee jab gulistaaN kee

"dh~ajjiYaaN uRa deeN haiN apne hee garibaaN kee"


2,

dushmanoN se kiya karte ham gilah a'dawat ka?

dostooN ne luTee hai aabru gulistaaN kee.


3,

mar geya to kiya taasuf th~a yahee muqaddar meN

taab kaon laaya hai zakhm-e-teGh-e-mizhgaaN kee?


4,

qiSSah kiya sunaeeN ham talkhiee-e-zamanah ka?

khooN rula gaee ham ko be basee musalmaaN kee.


5,

aadmee ke marne se aarzu naheeN miTtee

roH bh~aTaktee rehtee hai a'aashiq-e-pareshaaN kee.


6,

saaHilooN peh Dubee haiN kashtiyaaN muHabbat kee

koee kiya khabar lata aane wale t^ufaaN kee?


7,

ab malaal kiya rakhkh~eeN apnee tishnah kamee ka

sar peh ab nah DaleeN ge khaak ham beyabaaN kee.


8,

rat jagooN meN bh~ee hamdam aek kaef hota hai

rae,gaaN naheeN jatee koee raat hijraaN kee.


9,

kala'dam nah kar Dale Sar Sar-e-jafa teree

kaT chukeeN tanabeeN sab mere khemah-e-jaaN kee.



mukhliS
muz^affar aHmad muz^affar

Bahut khoob, waah waah

Posted: Fri Nov 03, 2006 4:33 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Muzaffar Ahmad Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Sab se pahle maiN maAziratkhwaah hooN ke apni be-intihaa maSroofiyat ke sabab MOSHAIREH ke forum kee MODSHIP per mubaarakbaad dene me ta'kheer kardi hei. Ummeed kartaa hooN keh aHbaab-e-Sukhan is jaanib tavajjuh denge aur aapko apnaa Haq adaa karne meiN kami nah karenge.

JahaN tak aapki zimmehdaari kaa taAalluq hei, wo yeh hei ke Is forum meiN hameshah HiSSah lenge waalaoN kaa khayaal karenge ke wo kisi sabab se ghaayib tou nahiN hougaye heiN. Jo aHbaab shirkat se munqaTiA houjaayeN unki tavajjuh mabzool karaayenge keh unke taAavun ke baghair hamaari khidmat-e-urdu naaqiS rehjaati hei.

Is ke Alaawah agar TaraHi miSreA ke silsile meiN agar aap ke paas koii tajveez hou tou khaaksaar ko likh sakte heiN.
=======

Guzaarish No.23 ke TaraHi miSreA per aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

Yaad ehl-e-zindaaN ko aaee jab gulistaaN kee
"dh~ajjiYaaN uRa deeN haiN apne hee garibaaN kee"


Bahut khoob, waah waah. Achchi gireh lagaakar aap ne dilkash maTlaA kehdiyaa hei.

dushmanoN se kiya karte ham gilah a'dawat ka?
dostooN ne luTee hai aabru gulistaaN kee.


Waah, kyaa kehne. Bahut achcha sheAr hei.

mar geya to kiya taasuf th~a yahee muqaddar meN
taab kaon laaya hai zakhm-e-teGh-e-mizhgaaN kee?


Is sheAr ke pahle miSreA meiN "ta'assuf" bawazn-e-fu'oolun vazn meiN nahiN aasaktaa kiyuNke uski jagah "fe'lun" kee hei. Uski jagah "likhkhaa" aasaktaa hei. MaAnavi liHaaz se sheAr khoob hei, waah waah.

qiSSah kiya sunaeeN ham talkhiee-e-zamanah ka?
khooN rula gaee ham ko be basee musalmaaN kee.


Waah waah, bahut khoob.

aadmee ke marne se aarzu naheeN miTtee
roH bh~aTaktee rehtee hai a'aashiq-e-pareshaaN kee.


Is sheAr ke doosre miSreA meiN "rooH" ke Harf "Hai" ko giraanaa jaayiz nahiN. Aap "rooH" kee jagah "jaaN" isteAmaal karsakte heiN. Achchaa sheAr hei.

saaHilooN peh Dubee haiN kashtiyaaN muHabbat kee
koee kiya khabar lata aane wale t^ufaaN kee?


Achchaa sheAr hei, waah waah.

ab malaal kiya rakhkh~eeN apnee tishnah kamee ka
sar peh ab nah DaleeN ge khaak ham beyabaaN kee.


Pahle miSreA meiN "malaal rakhnaa" meri nazar meiN SaHeeH muHaawirah nahiN hei. "Malaal hounaa" kahaa jaataa hei. Pahle miSreA ko yuN kiyaa jaasaktaa hei:
"ab malaal hou bhee tou kiyuN hou tishnah-kaami per". MaAnavi liHaaz se achchaa sheAr hei, waah waah.

rat jagooN meN bh~ee hamdam aek kaef hota hai
rae,gaaN naheeN jatee koee raat hijraaN kee.


Waah waah, kyaa kehne.

kala'dam nah kar Dale Sar Sar-e-jafa teree
kaT chukeeN tanabeeN sab mere khemah-e-jaaN kee.


Shaayeriyyat se bharpoor sheAr hei. Waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: " dh~ajjiYaaN uRa deeN haiN apne hee garibaaN kee&q

Posted: Sat Nov 04, 2006 11:39 am
by Shummu
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
2,

dushmanoN se kiya karte ham gilah a'dawat ka?

dostooN ne luTee hai aabru gulistaaN kee.


4,

qiSSah kiya sunaeeN ham talkhiee-e-zamanah ka?

khooN rula gaee ham ko be basee musalmaaN kee.


5,

aadmee ke marne se aarzu naheeN miTtee

roH bh~aTaktee rehtee hai a'aashiq-e-pareshaaN kee.


6,

saaHilooN peh Dubee haiN kashtiyaaN muHabbat kee

koee kiya khabar lata aane wale t^ufaaN kee?


7,

ab malaal kiya rakhkh~eeN apnee tishnah kamee ka

sar peh ab nah DaleeN ge khaak ham beyabaaN kee.


8,

rat jagooN meN bh~ee hamdam aek kaef hota hai

rae,gaaN naheeN jatee koee raat hijraaN kee.

wah wah bahut khoob...muzaffar jee aap ki ghazal mushaire ke liye dkeh kar behad khushi hui..bahut accha kalaam hai hasb-e-maamool...dili daad pesh hai...aur chalte chalte mod banne ki mubarakbaad lete jaayein..mabrook :grin:

Shumaila

Posted: Sat Nov 04, 2006 1:34 pm
by farhan

Janah Muzaffar SaHib,,,


As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu...


sub say pahlay aap mayri janib say Mubarak baad Qabool kijgeaga ki aap ko Moderator banadiya giya hai....yeh jaan kar bahut khushii hui....Admin ka yeh faisla ,hamaray liye eid ka Inaam (eidii) kay tour per laga....aap ko bahut bahut mubarak ho....

aap nay itni shaandaar ghazal kahii...wah wah bahut k hoob....tazmeen ka shair bahut hi khoob laga...daad aur mubarak baad is ghazal per hazir-e-khidmat hai..qabool kijgeaga...

talib-e-dua

farhan

Re: " dh~ajjiYaaN uRa deeN haiN apne hee garibaaN kee&a

Posted: Sat Nov 04, 2006 5:16 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Shummu wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
2,

dushmanoN se kiya karte ham gilah a'dawat ka?

dostooN ne luTee hai aabru gulistaaN kee.


4,

qiSSah kiya sunaeeN ham talkhiee-e-zamanah ka?

khooN rula gaee ham ko be basee musalmaaN kee.


5,

aadmee ke marne se aarzu naheeN miTtee

roH bh~aTaktee rehtee hai a'aashiq-e-pareshaaN kee.


6,

saaHilooN peh Dubee haiN kashtiyaaN muHabbat kee

koee kiya khabar lata aane wale t^ufaaN kee?


7,

ab malaal kiya rakhkh~eeN apnee tishnah kamee ka

sar peh ab nah DaleeN ge khaak ham beyabaaN kee.


8,

rat jagooN meN bh~ee hamdam aek kaef hota hai

rae,gaaN naheeN jatee koee raat hijraaN kee.

wah wah bahut khoob...muzaffar jee aap ki ghazal mushaire ke liye dkeh kar behad khushi hui..bahut accha kalaam hai hasb-e-maamool...dili daad pesh hai...aur chalte chalte mod banne ki mubarakbaad lete jaayein..mabrook :grin:

Shumaila



Shummu jee aadaab!

Ghazal ko pasand farmane ke liYe aap ka mamnoon hooN.

aap it^minaan rakh~eeN maiN aap ko ummeed dilata hooN keh meHfil meN HaZ^ir hota rahooN ga. :grin: lekin is baat ka kiYa aa'tabaar hai keh aap YooNhee HoSlah baRh~atee raheeN gee :lol:

khush raheeN!

Wassalam
muz^affar

Posted: Sat Nov 04, 2006 5:32 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
farhan wrote:
Janah Muzaffar SaHib,,,


As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu...


sub say pahlay aap mayri janib say Mubarak baad Qabool kijgeaga ki aap ko Moderator banadiya giya hai....yeh jaan kar bahut khushii hui....Admin ka yeh faisla ,hamaray liye eid ka Inaam (eidii) kay tour per laga....aap ko bahut bahut mubarak ho....

aap nay itni shaandaar ghazal kahii...wah wah bahut k hoob....tazmeen ka shair bahut hi khoob laga...daad aur mubarak baad is ghazal per hazir-e-khidmat hai..qabool kijgeaga...

talib-e-dua

farhan

moHtaram Farhan SaHeb aadaab! :-)

aap ka bh~eja huwa mubarak baadee ka peghaam mila to dilee musarrat ka ahsaas peda huwa. aap ke be Had shukriyah!! :-)

Ghazal ko yooN pasand farmane ke liYe aap ka be Had mamnoon hooN.
aap aese afraad kee HoSlah afzaee se do chaar she'er keh lete haiN warnah yeh sab kahaaN mumkin hai.

mujh~e qawee ummeed hai keh aap aae,ndah bh~ee ham sab kee himmat afzaee farmate raheeN ge.

aor ham aap ko apnee khaaS dua'aaooN meN Yad rakh~eeN ge. :grin:

salamat raheeN!


Wassalam
mukhliS
muz^affar
[/b]

Re: " dh~ajjiYaaN uRa deeN haiN apne hee garibaaN kee&q

Posted: Sun Nov 05, 2006 2:11 pm
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:yaraan-e-bazm-e-mushae,rah aadaab! :-)

khaaksar ko bazm-e-mushae,ar ke liye ba Heciyat-e-"Moderator" naamzad kar liya geya hai. yeh aqdaam mere liye sarmayah-e-iftekhaar hai.

mere liye dua'a kee jae keh maiN yeh Hassaas zimmah daaree kama Haqqah ho ada kar sakooN.

lehazah aap sab kee khidmat meN maiN mubarak baad pesh karta hooN.

aor ab mah-e-rawaaN ke liye kahee hoee Ghazal pesh kidmat hai.


Ghazal


1,

Yaad ehl-e-zindaaN ko aaee jab gulistaaN kee

"dh~ajjiYaaN uRa deeN haiN apne hee garibaaN kee"


2,

dushmanoN se kiya karte ham gilah a'dawat ka?

dostooN ne luTee hai aabru gulistaaN kee.


3,

mar geya to kiya taasuf th~a yahee muqaddar meN

taab kaon laaya hai zakhm-e-teGh-e-mizhgaaN kee?


4,

qiSSah kiya sunaeeN ham talkhiee-e-zamanah ka?

khooN rula gaee ham ko be basee musalmaaN kee.


5,

aadmee ke marne se aarzu naheeN miTtee

roH bh~aTaktee rehtee hai a'aashiq-e-pareshaaN kee.


6,

saaHilooN peh Dubee haiN kashtiyaaN muHabbat kee

koee kiya khabar lata aane wale t^ufaaN kee?


7,

ab malaal kiya rakhkh~eeN apnee tishnah kamee ka

sar peh ab nah DaleeN ge khaak ham beyabaaN kee.


8,

rat jagooN meN bh~ee hamdam aek kaef hota hai

rae,gaaN naheeN jatee koee raat hijraaN kee.


9,

kala'dam nah kar Dale Sar Sar-e-jafa teree

kaT chukeeN tanabeeN sab mere khemah-e-jaaN kee.



mukhliS
muz^affar aHmad muz^affar
muzaffar bhai
salaamu alaikum

moderator ka 'uhadah mubarak ho.


hame.n badi khushee huee keh aapko yeh zimmhedaari deegayee hai.hamaari dilee mubaarakbaad qubool farmaaye.n.

hame.n yaqeen hai keh aap hum jaisay tulabah kee hauslah afzaayee kartay rahe.nge.insha allah.

moderator kay haisiyyat say itni shaandaar entry ...kya kehnay....

bahut khoobsoorat ghazal hai khaaskar girah.....

"yaad ahlay zindaa.n kau aayee jab gulistaa.n kee"

behtareen girah hai.

bahut khoob janaab

hamaari dilee daad qubool farmaaye.n

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah.

insha allah bahut jald apna kalaam lekar aaye.nge.

iltemaasay dua.
mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Mon Nov 06, 2006 5:47 am
by zmufti
Muzaffar bhai
mushairey meN aap ki ghazal buhat pasand aayii
meri janib se daad qabool kijye
regards
zmufti

Posted: Mon Nov 06, 2006 10:27 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Zarqa bajee aadaab!

kahaaN hotee haiN aap??? kuch~ khabar naheeN miltee aap kee kamee meHsoos hotee hai.
Ghazal ko pasand farmane ke liYa mamnoon hooN

Wassalam
muz^affar

Re: " dh~ajjiYaaN uRa deeN haiN apne hee garibaaN kee&q

Posted: Wed Nov 29, 2006 2:07 pm
by muhammad_19k


Muzaffar sb tasleemat.

Yaad ehl-e-zindaaN ko aaee jab gulistaaN kee

"dh~ajjiYaaN uRa deeN haiN apne hee garibaaN kee"


Ahle zindaaN ko gulistaaN ki yaad dilaa kar aap ne khoob manzaar baandha hei.


dushmanoN se kiya karte ham gilah a'dawat ka?

dostooN ne luTee hai aabru gulistaaN kee.


iss shair meiN mein aabru gulistaaN ki tarkeeb kamaal hei. lafz aapro se gulalistaaN ki pakeezgi ka izhaar khoob rahaa.


mar geya to kiya taasuf th~a yahee muqaddar meN

taab kaon laaya hai zakhm-e-teGh-e-mizhgaaN kee?


ye shair silasat o rawani meiN kamal hei.

qiSSah kiya sunaeeN ham talkhiee-e-zamanah ka?

khooN rula gaee ham ko be basee musalmaaN kee.


aha ha !!! gehir hamdardi ka khoobsoorat izhaar.


aadmee ke marne se aarzu naheeN miTtee

roH bh~aTaktee rehtee hai a'aashiq-e-pareshaaN kee.


ooper walay shair meiN muslimaanoN se hamdardi ke baad ye sochna yaqeenun qareeb uz gunah ho ga ke aap Islami rewayat ke khilaaf ja sakteiN hain. Yaqeenun "baad merne ke rooh bhatkane ko" aap aashiq ki arzoo ki shiddat ki balaghat meiN istaAmaal kar rahaiN. Iss paira-aye meiN mazmoon mujhe khoobsoorat laga. agar meiN kam ilmi ki waja se ghalat samajh payaa hooN toa umeed hei ke aap tasHeeH farm-aiN ge.


saaHilooN peh Dubee haiN kashtiyaaN muHabbat kee

koee kiya khabar lata aane wale t^ufaaN kee?


ye shair shaid meri zahni sataH se buland tar hei. iss leeaye mafhoom poori taraH samajhne se qaSir raha.

ab malaal kiya rakhkh~eeN apnee tishnah kamee ka

sar peh ab nah DaleeN ge khaak ham beyabaaN kee.


ji haalat se samjhote ka oar phir dil ko samjhane ka aik khoobsoorat bayan hei :-)



rat jagooN meN bh~ee hamdam aek kaef hota hai

rae,gaaN naheeN jatee koee raat hijraaN kee.


bilku such famaya aap ne.

kala'dam nah kar Dale Sar Sar-e-jafa teree

kaT chukeeN tanabeeN sab mere khemah-e-jaaN kee.


ye bhi meri samajh se baalaa tar thehraa. umeed kartaa hooN ke iss mehfil meiN rehte huway mere fikr ki rasai batadreej apna daira kar waseeA karti jaa-aye gi.


Dua go,

Muhammad Khawar.

[/size]