Page 1 of 4
Harf 'Gain' se ash'aar qalam_band kijiiye
Posted: Wed Nov 15, 2006 4:08 pm
by Shummu
Ghazab kiya tere waade pe aitebaar kiyaa
tamaam raat qayaamat ka intizaar kiyaa
Posted: Fri Nov 17, 2006 12:57 pm
by hassan_bashir
Gham-e-hastii kaa :Asad: kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har raNg meiN jalatii hai saHar hone tak
Posted: Fri Nov 17, 2006 4:33 pm
by Shummu
gham-e-furqat ka shikva karne vaali
miri maujoodgi meiN so rahi hai
Posted: Fri Nov 17, 2006 4:37 pm
by hassan_bashir
Gham sabhi raahatoN taskeen meiN Dhal jaate haiN,
jab karam hotaa hai, haalaat badal jaate haiN!!!!!!!!!
Posted: Fri Nov 17, 2006 7:19 pm
by Shummu
gham se bahal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n
dard me.n Dhal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n
Posted: Sat Nov 18, 2006 8:21 am
by hassan_bashir
Gham rahaa jab tak ki dam meiN dam rahaa,
dil ke jaane kaa nihaayat Gham rahaa!!
Posted: Sat Nov 18, 2006 6:16 pm
by hassan_bashir
Ghazal meiN bandish-e-alfaaz hii nahiiN sab kuChh,
jigar kaa Khuun bhii kuchh chaahiYe asar ke liYe!
"ghain"
Posted: Sun Nov 19, 2006 3:37 am
by Abdullah Nazir
gham-e-zeest parwardigaar aur kab tak
ba-eeN daaman-e-taar taar aur kab tak.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Nov 19, 2006 11:41 am
by hassan_bashir
GhamoN ne ghair liYaa hai mujhe to kyaa Gham hai?
maiN muskuraa ke jiyuuN gaa terii Khushii ke liYe!!
"ghain"
Posted: Sun Nov 19, 2006 5:53 pm
by Abdullah Nazir
ghaur karnaa hei karou apni ravaadaari per
mere ashkaoN ke samundar ko ravaaN rehne do.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Nov 20, 2006 1:48 pm
by hassan_bashir
Gham ka Khazaanaa tiraa bhii hai miraa bhii,
yeh nazraanaa tiraa bhii hai meraa bhii!
"ghain"
Posted: Wed Nov 22, 2006 2:47 pm
by Abdullah Nazir
ghair tou ghair thay apnaoN ne bhee moNh pher liyaa
yeh muSeebat meiN zamaane kaa chalan houtaa hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Nov 23, 2006 11:56 am
by hassan_bashir
Gham se kaheeN najaat mile Chain paayeN ham
dil Khuun meiN nahaaye to GaNgaa nahaayeN ham
Posted: Fri Nov 24, 2006 10:47 am
by hassan_bashir
Ghaur se suun to :Raza: Kaaba se aati hai sadaa
miree aaNkhoN se mire pyaare ka "Rozaa" dekho
~ Aala Hazrat
ghain
Posted: Sat Nov 25, 2006 8:25 am
by Abdullah Nazir
gharat-gar-e-Hayaat, kahaaN tak yeh furqateN
jeenaa muHaal hougayaa ab dil ko chouRkar.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.