Yaaraan e Urdu Bandhan
Adaab o Taslimaat
Aik ghazal ke saath hazir hua hoon, Aap ki aara aur tabsaray ka intezaar rahay ga.
Mukhlis
Muhammad Ahmed
GHAZAL
1.
Hijr kitna, wisaal kitna tha
Kaar-e-dil main ma’aal kitn tha
2.
RaHataiN kitni dil lagi se theeN
Dil lagi ka vabaal kitna tha
3.
Kitni tehreek thee tere gham se
Aur gham se niDhaal kitna tha
4.
Kitna dana bichha tha khaitoN maiN
Aur daanay pe jaal kitna tha
5.
Ghoom aaya jahan-e-rang o bu
Wo magar be micaal kitna tha
6.
Daimi theeN meri sazaaiN kia
Arsaa-e-mah-o-saal kitna tha
7.
Be khayali main dil ne ye socha
Us ko mera khayal kitna tha
8.
Khud kalami ki kitni aadat thi
Aur qeHt-ur-rijaal kitna tha
9.
Sang kitnay thay multafit mujh per
Sheesha-e-dil main haal kitna tha
10.
Ye sukhan hain ata meray rab ki
Warna main ba kamaal kitna tha
11.
Ik zara khwaab hi to TooTa tha
Tujh ko :Ahmed: malaal kitna tha.
Muhammad Ahmed
November 16, 2006
SHEESHA E DIL MAIN HAAL KITNA THA
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami
MoHammed Ahmed SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi jisked liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MulaaHizaat:
Hijr kitna, wisaal kitna tha
Kaar-e-dil main ma’aal kitn tha
Is MaTleA kaa mafhoom yeh nikaalaa jaasaktaa hei ke hijr aur viSaal ko kaar-e-dil se taAbeer karrahe heiN.
RaHataiN kitni dil lagi se theeN
Dil lagi ka vabaal kitna tha
achcha sheAr hei, waah waah.
Kitni tehreek thee tere gham se
Aur gham se niDhaal kitna tha
doosre miSreA meiN Zameer "maiN" chupaa houaa hei. Achcha sheAr hei. Waah waah.l
Kitna dana bichha tha khaitoN maiN
Aur daanay pe jaal kitna tha
Achcha sheAr hei waah waah.
Ghoom aaya jahan-e-rang o bu
Wo magar be micaal kitna tha
Waah waah, bahut khoob.
Daimi theeN meri sazaaiN kia
Arsaa-e-mah-o-saal kitna tha
Radeef "kitnaa thaa" kee vajh se sheAr kee Soorat meiN ibhaam paidaa hourahaa hei. Micaal ke Taur per is sheAr ke doosre miSreA meiN. ArSa-e-maah o saal kitnaa thaa.
Be khayali main dil ne ye socha
Us ko mera khayal kitna tha
Waah waah, bahut khoob.
Khud kalami ki kitni aadat thi
Aur qeHt-ur-rijaal kitna tha
Achcha sheAr hei.
Sang kitnay thay multafit mujh per
Sheesha-e-dil main haal kitna tha
Pahle miSreA meiN "multafit" munaasib lafz nahiN maAloom hourahaa hei. Doosre miSreA mieN "haal" shayad TibaaAat kee ghalati hei aur SaHeeH "baal" hei.
Ye sukhan hain ata meray rab ki
Warna main ba kamaal kitna tha
Doosre miSreA ke siyaaq o sibaaq se yuN meHsoos hourahaa hei ke aap kaa maqSad hei "warnah maiN baakamaal nahiN thaa".
Ik zara khwaab hi to TooTa tha
Tujh ko :Ahmed: malaal kitna tha.
Achcha maqTaA hei, waah waah.
Aapka MukhliS,
Nazir.