TARAHI MISRA' GUZ.24 ke liye - -- - Abdullah Nazir.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

TARAHI MISRA' GUZ.24 ke liye - -- - Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sukhan,
- -- -

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

GUZAARISH 24 ke liye TaraHi miSraA, taareekh December 1, 2006.

Meraa apnaa miSraA hei :

Tou shayad lauT aayeN din puraane

Radeef = ne
Qawaafi = bewafaa, Sabaa, hawaa, khudaa, Sadaa, (aur qaafiye aur radeef ko yakjaa karke bhee yuN isteAmaal kar sakte heiN jaise) aazmaane, zamaane, sataane, manaane, jalaane, chupaane, bahaane, diwaane, maane, giraane, (waghairah)

BeHr kee is shakl kaa naam hei:
BeHr-e-hazaj musaddas meHzoof
Is kaa vazn hei:
Mufaa'ee'lun…mufaa'ee'lun…faAoolun
= //0/0/0…//0/0/0…//0/0
=1222……..1222………//0/0
Note: (ZaHaaf Hazf kaa acar aakhiri rukn mufaa'ee'lun per hune se uskaa aakhiri sabab-e-khafeef "tun" Hazf hourahaa hei. Is kee vajh se aakhiri rukn "mufaa'ee'lun" kee bajaaye "mufaa'ee" hourahaa hei jisko //0/0 ki aavaaz per maAroof rukn "fa'Aoolun" meiN badal diyaa jaataa hei aur BeHr kee shakl BeHr-e-hazaj musaddas meHzoof kehlaati hei.

Ummeed ke hameshah kee TaraH aap sab TabA-aazmaayi farmaayenge aur apni dilkash ghazlaoN se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Sun Dec 31, 2006 4:38 am, edited 1 time in total.
Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Janab Abdullah Nazir SaHeb aadaab!

Guzarish 24 ke liYe is qadr HaseeN aor dilkash t^areeHee miSra' paesh karne par meree janib se dilee dad aor mubarak bad qubool kijiYe!

mushae,irah meN aap kee dilchaspee aor lagan HoSlah afzah hai.

khuda aap ka Hamee-o-NaSir ho!(aameen)

Wassalam
khadim
Muz^affar AHmad Muz^affar
[/align]
Post Reply