TARAHI MISRA' GUZ.24 ke liye - -- - Abdullah Nazir.
Posted: Thu Nov 30, 2006 12:34 pm
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sukhan,
- -- -
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
GUZAARISH 24 ke liye TaraHi miSraA, taareekh December 1, 2006.
Meraa apnaa miSraA hei :
Tou shayad lauT aayeN din puraane
Radeef = ne
Qawaafi = bewafaa, Sabaa, hawaa, khudaa, Sadaa, (aur qaafiye aur radeef ko yakjaa karke bhee yuN isteAmaal kar sakte heiN jaise) aazmaane, zamaane, sataane, manaane, jalaane, chupaane, bahaane, diwaane, maane, giraane, (waghairah)
BeHr kee is shakl kaa naam hei:
BeHr-e-hazaj musaddas meHzoof
Is kaa vazn hei:
Mufaa'ee'lun…mufaa'ee'lun…faAoolun
= //0/0/0…//0/0/0…//0/0
=1222……..1222………//0/0
Note: (ZaHaaf Hazf kaa acar aakhiri rukn mufaa'ee'lun per hune se uskaa aakhiri sabab-e-khafeef "tun" Hazf hourahaa hei. Is kee vajh se aakhiri rukn "mufaa'ee'lun" kee bajaaye "mufaa'ee" hourahaa hei jisko //0/0 ki aavaaz per maAroof rukn "fa'Aoolun" meiN badal diyaa jaataa hei aur BeHr kee shakl BeHr-e-hazaj musaddas meHzoof kehlaati hei.
Ummeed ke hameshah kee TaraH aap sab TabA-aazmaayi farmaayenge aur apni dilkash ghazlaoN se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
Aapka MukhliS,
Nazir.