Guzarish 24 ke liYe meree Ghazal!

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Guzarish 24 ke liYe meree Ghazal!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Yaraan-e-meHfil aadaab! :-)

Guzarish 24 ke teHet apnee Ghazal pesh kar raha hooN. mulaHeZ^ah farma kar mashkoor hooN. aapkee aara' ka muntaz^ir rahooN ga!


Ghazal

1,

chaman meN fitnah-e-meHshar jagane

woh aaYe haiN gulooN se jee lubh~ane!


2,

maiN patth~ar hoN magar josh-e-junoN meN

mujh~e aate haiN aaNsu bh~ee bahane!


3,

azal se jinka shewah kajrawee hai

woh gh~ar aaYeeN ge kiYoN marHam lagane!


4,

A'bac hai zakhm-e-dil un ko dikh~ana

jinhooN ne seekh~e haiN nishtar chalane!


5,

gada bankar maiN koche meN kh~aRa hooN

tiree hamdardiYooN ko aazmane!


6,

t^uwaaf-e-ka'bah-e-dil kar raha hooN

faraae,iZ^ sab Z^aruree haiN nibh~ane!


7,

musalsal ho raha hooN pae,maal

shikast-e-aarzu ke haiN zamane!


8,

agar kamil hai mera jazb-e-ulfat

woh aaeeN ge miree bigRee banane!


9,

jigar par daGh-e-ulfat hai purana

lageeN ge is ke dh~one meN zamane!


10,

shab-e-furqat taSawwur meN woh aaYe

hamare HoSlooN ko aazmane!


11,

maiN kab se sooz-e-Gham meN jal raha hooN

baRh~e koee to Yeh aatish bujh~ane!


12,

jawaaN haiN HoSle t^ufaaN meN lekin

Yeh saHil bh~ee haiN ek din Doob jane!


13,

SaleebooN ko sajaya ja raha hai

zamane ke haiN sab tewar purane!


14,

khuda sun leY agar Ghurbat meN meree

"to shaYad laoT aaeeN din purane"


15,

"Ajab fiTrat hei kaar-e-but taraashi"

laga hooN kaaNch ke pekar banane!


16,

hamara waqea' tareekh-e-nao hai

muHabbat ke haiN sab qiSSe purane!


17,

miree kisht-e-tamanna par muz^affar

Saba aaeY gee kab GhuncheY kh~ilane!


Muz^affar AHmad Muz^affar
[/align]
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Sat Oct 20, 2007 1:31 am, edited 1 time in total.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut koob, waah waah.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Zuzrish 24 ke miSreA per aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

chaman meN fitnah-e-meHshar jagane
woh aaYe haiN gulooN se jee lubh~ane!


Bahut achchaa maTlaA hei, waah waah.

maiN patth~ar hoN magar josh-e-junoN meN
mujh~e aate haiN aaNsu bh~ee bahane!


Achchaa sheAr hei, waah waah.

azal se jinka shewah kajrawee hai
woh gh~ar aaYeeN ge kiYoN marHam lagane!


Achcha sheAr hei, waah waah.

A'bac hai zakhm-e-dil un ko dikh~ana
jinhooN ne seekh~e haiN nishtar chalane!


Nishtar chalaane kee bajaaye mustaAmal muHaavirah nishtar lagaanaa hei. Achchaa sheAr hei waah waah.

gada bankar maiN koche meN kh~aRa hooN
tiree hamdardiYooN ko aazmane!


Waah waah, bahut khoob.

t^uwaaf-e-ka'bah-e-dil kar raha hooN
faraae,iZ^ sab Z^aruree haiN nibh~ane!


Waah waah, bahut khoob.

musalsal ho raha hooN pae,maal
shikast-e-aarzu ke haiN zamane!


Pahlaa miSraA lafz "paayemaal" ki vajh se be-BeHr hourahaa hei. Is lafz ko "aab'deedah" kardeejiye to beHr meiN aajaayegaa aur mafhoom bhee behtar houjaayegaa. Achcha sheAr hei, waah waah.

agar kamil hai mera jazb-e-ulfat
woh aaeeN ge miree bigRee banane!


Bahut khoob, waah waah.

jigar par daGh-e-ulfat hai purana
lageeN ge is ke dh~one meN zamane!


Achcha sheAr hei, waah waah.

shab-e-furqat taSawwur meN woh aaYe
hamare HoSlooN ko aazmane!


Waah waah, bahut khoob.

maiN kab se sooz-e-Gham meN jal raha hooN
baRh~e koee to Yeh aatish bujh~ane!


Waah waah.

jawaaN haiN HoSle t^ufaaN meN lekin
Yeh saHil bh~ee haiN ek din Doob jane!


Is sheAr ke doosre miSreA meiN lafz "ke liye" ki kami hei lekin mafhoom pooraa hourahaa hei. Achcha sheAr hei, waah waah.

SaleebooN ko sajaya ja raha hai
zamane ke haiN sab tewar purane!


Aap ne pahle miSreA kaa mafhoom shayad yeh liyaa hei ke loagaoN ko saleebaoN per laTkaayaa jaarahaa hei. Is liye sheAr meiN ibhaam hei jiski vajh se is kaa mafhoom qaari ke zehn meiN aanaa mushkil hei. Achcha sheAr hei, waah waah.

khuda sun leY agar Ghurbat meN meree
"to shaYad laoT aaeeN din purane"


Achchi gireh hei, waah waah. "meiN meri" se tanaafur-e-lagzi paidaa hourahaa hei. Isko door karne ke liye yuN kahaa jaasaktaa hei: "khuda gar sunle ghurbat meiN hamaari"

hamara waqea' tareekh-e-nao hai
muHabbat ke haiN sab qiSSe purane!


SheAr achcha hei lekin maf'hoom ke liHaaz se bhee nayi tehzeeb ke shoAbadah garaoN ke chakkar meiN aagaye. Dekhne meiN patthar kee imaarat hei aur andar se khoukli.

miree kisht-e-tamanna par muz^affar
Saba aaeY gee kab GhuncheY kh~ilane!


Achcha maqTaA hei, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Abdulla Nazir SaHeb aadaab!

meree nihaYat ma'mulee see koshish par aap kee muHabbat, dad, mubarak baad, aor mashwarah dekh~ kar aor zeYadah seekh~ne aor likh~Ne ka shaoq jawaaN ho jata hai. aor isee wajah se isee khubSurat beHer meN aek aor koshish bh~ee kee hai. ummeed karta hooN keh pasand farmate huwe apnee dad aor mashwarah se nawazeeN ge.

maiN aap ka teh-e-dil se minnat pazeer hooN. keh aap apne qimatee aoqaat meN se ham aese t^alibaan-e-fan ke liYe waqt nikalte haiN.

khuda is ka aap ko Yaqina" baRa ajar a't^a farmaeY ga.khuda aap ko salamat rakh~e!

ijazut dijiYe!

Wassalam
khadim
Muz^affar
[/align]
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

maiN patth~ar hoN magar josh-e-junoN meN
mujh~e aate haiN aaNsu bh~ee bahane!

buhat khoob
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Janab Muzaffar Sb.

Aik khoobsoorat takhleeq ke leeaye mubarikbaad. yaqeenun har shakhs ki pasand mukhtalif hei. mujhe aap ka ye shair bohat pasand aayaa.

"agar kamil hai mera jazb-e-ulfat

woh aaeeN ge miree bigRee banane! "
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

mohtaram Muzaffar saaHib: Aadab!

kyaa baat hai janaab k aap ne is zameen ko is qadar pasaNd kiyaa k eik ki bajaaye do kaavish keh DaaliN, aur voh bhii 17+17 = 34 ash'aar :shock: :grin:

aap kee mehnat vaqa'ii qaabil-e-sad-tehseen hai. mujhe aap kii donoN hii GhazleN pasaNd aa'ee, lehaaza miree jaanib se dilee daad haazir hai, qubool keejiYe. :rose :-)



Hassan
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtarmah Saraa jee aadaab![align=center][align=center]

Ghazal kee pasandeedagee ke kiye aap ka marhoon-e-minnat hooN.
mujh~e YooN to sabh~ee ke tabSirooN ka intez^aar rehta hai. lekin jin ba'Z^ kee rae,Y ka baRee be chaenee se intez^aar karta hooN un meN aek aap bh~ee haiN. is liYe keh aap kee rae,Y meN ikhlaaS kee aamezish hotee hai jo keh HoSilah afzaee ka bae,ic bantee hai. aap ikhteSaar se likh~tee haiN lekin us meN bh~ee lehje kee Safaee aor baYaan kee ra'anaee Saaf jh~alaktee hai.
doosri bhi hai............kahin behosh na hojaun...........wah


aap fikr nah kareeN aesa naheeN hoga! isee kheYaal se 17-18 she'erooN par iktefa kiYa hai.

wagarnah baqaol-e-Ghalib

" safeenah chahiYe is beHer-e-be karaaN ke liYe"

mujh~e pukhta ummeed hai keh aap mera HoSlah baRh~ate huwe YooN hee iz^haar-e-raeY kartee raheeN geeN.

Wassalam
Muz^affar[/align]
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Guzarish 24 ke liYe meree Ghazal!

Post by haamidbaaqri »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaraan-e-meHfil aadaab! :-)

Guzarish 24 ke teHet apnee Ghazal pesh kar raha hooN. mulaHeZ^ah farma kar mashkoor hooN. aapkee aara' ka muntaz^ir rahooN ga!


Ghazal

1,

chaman meN fitnah-e-meHshar jagane

woh aaYe haiN gulooN se jee lubh~ane!


2,

maiN patth~ar hoN magar josh-e-junoN meN

mujh~e aate haiN aaNsu bh~ee bahane!


3,

azal se jinka shewah kajrawee hai

woh gh~ar aaYeeN ge kiYoN marHam lagane!


4,

A'bac hai zakhm-e-dil un ko dikh~ana

jinhooN ne seekh~e haiN nishtar chalane!


5,

gada bankar maiN koche meN kh~aRa hooN

tiree hamdardiYooN ko aazmane!


6,

t^uwaaf-e-ka'bah-e-dil kar raha hooN

faraae,iZ^ sab Z^aruree haiN nibh~ane!


7,

musalsal ho raha hooN pae,maal

shikast-e-aarzu ke haiN zamane!


8,

agar kamil hai mera jazb-e-ulfat

woh aaeeN ge miree bigRee banane!


9,

jigar par daGh-e-ulfat hai purana

lageeN ge is ke dh~one meN zamane!


10,

shab-e-furqat taSawwur meN woh aaYe

hamare HoSlooN ko aazmane!


11,

maiN kab se sooz-e-Gham meN jal raha hooN

baRh~e koee to Yeh aatish bujh~ane!


12,

jawaaN haiN HoSle t^ufaaN meN lekin

Yeh saHil bh~ee haiN ek din Doob jane!


13,

SaleebooN ko sajaya ja raha hai

zamane ke haiN sab tewar purane!


14,

khuda sun leY agar Ghurbat meN meree

"to shaYad laoT aaeeN din purane"


15,

a'jab fit^rat hai beTh~a saNg baree meN

laga hooN kaaNch ke pekar banane!


16,

hamara waqea' tareekh-e-nao hai

muHabbat ke haiN sab qiSSe purane!


17,

miree kisht-e-tamanna par muz^affar

Saba aaeY gee kab GhuncheY kh~ilane!


Muz^affar AHmad Muz^affar
[/align]
muzaffar bhai
salaamun alaikum

kaisay mizaaj hai.n aapkay?

bahut dino.n baad aaye hai.n hum yahaa.n.

aapki ghazal bahut acchee hai.

hum tau hairaan rehgaye itnay ash'aar .......?

waah waah..............bahut khoob

hame.n bvahut pasand aayee aapki yeh kaavish

hamaari dilee daad qubool farmaaye.n.

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Hamid bh~aee assalam alikum!

maiN kheriYat se hooN aor ummeed hai keh aap bh~ee rabb-e-a'z-o-jal ke faZ^l se bakheriYat hoNge!

aap ne meree ma'mulee see koshish ko is qadar pasand farmaya hai keh jee khush ho geya. aor beikhteYaar aap ke liYe lab par dua'aeYah kaleemat aa gaeY!

khuda aap ko daraaz-e-u'mr se nawaze aor aap ke tamaam masae,il Hal farma de(aameen)

ijazut dijiYe!

Wassalam
Muz^affar
[/align]
Post Reply