:jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota:

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota:

Post by Star Mind »

Yaaran-e-meHfil, aadaab !

aaj haftoN baa'd aap ke saamne apnii aek Ghazal paish karne ki jasaarat
kar rahaa hooN, ummeed hai k apnii qeematii aaraa se navaazeN ge :)
shukriya

Zia Baloch

GHazal :: Urdu V ::
Image
:: Roman V ::

1.

bahaa hai Khoon to gulshan farozaaN kyooN naheeN hota?
jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota?

2.

agar shab Dhal chukii hai aur saHar kaa noor phailaa hai
to phir yeh noor chehrooN par numaayaaN kyooN naheeN hota?

3.

dareedaa-daamanoN ne gar lahoo se bhar diyaa SaHraa
to us se nam koii Khaar-e-muGheelaaN kyooN naheeN hota?

4.

agar bastii hai yeh ahl-e-junooN kii to yeh batlaao
k is bastii meiN phir chaak-e-garebaaN kyooN NaheeN hota?

5.

Sadaa'eN dii to haiN maiN ne, bahaareN kyooN naheeN aateN?
koii murGh-e-chaman ab ke Ghazal-KhvaaN kyooN naheeN hota?

6.

jise dekho darinda hai libaas-e-aadamiyyat meiN
bharii dunyaa meiN yaa rab! koi insaaN kyooN naheeN hota?

7.

Zia tum to yeh kehte the chaman hai yeh tumhaaraa bhii
to naGhmoN se tumhaare yeh gul-afshaaN kyooN naheeN hota?



Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Z^ia SaHeb aadaab! :-)

beHer-e-hazaj mucaman salim meN mashAllah bohot khobSurat Ghazal kahee hai. sabh~ee asha'aar pasand aaYe haiN.is mekoee shubah naheeN. aap waqa'ee bohot u'mdah likh~te haiN. aor kalam meN aek t^araH kee Hararat aor barjastagee to har SaHib-e-fehem meHsoos karta hee ho ga!

aap kee Ghazal kee aek khubee Yeh bh~ee hai keh jo khuda daad ma'loom hotee hai keh koee she'er bh~ee kisee dusre she'er se kam naheeN hota. Ya'nee sare hee she'er aek se baRh~ kar aek hote haiN. Yeh maiN rasmee t^aor par naheeN keh raha. balkeh mere nazdeek yeh rashan Haqiqat hai! aor is khubee ko maiN do aek saal se mehsoos kar raha hooN. aor Yeh khubee jin SaHebaan-e-fan meN hai woh ungaliYooN par gine ja sakte haiN.



1,

bahaa hai Khoon to gulshan farozaaN kyooN naheeN hota?
jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota?

kiYa kehne! waah waah! bohot u'mdah janaab! inteha hai.

2.

agar shab Dhal chukii hai aur saHar kaa noor phailaa hai
to phir yeh noor chehrooN par numaayaaN kyooN naheeN hota?

kiYa kehne! waah waah!

3.

dareedaa-daamanoN ne gar lahoo se bhar diyaa SaHraa
to us se nam koii Khaar-e-muGheelaaN kyooN naheeN hota?

bohot khoob!waah! waah!

4.

agar bastii hai yeh ahl-e-junooN kii to yeh batlaao
k is bastii meiN phir chaak-e-garebaaN kyooN NaheeN hota?

kiYa kehne! waah!

5.

Sadaa'eN dii to haiN maiN ne, bahaareN kyooN naheeN aateN?
koii murGh-e-chaman ab ke Ghazal-KhvaaN kyooN naheeN hota?

kiYa kehne! waah! waah!

6.

jise dekho darinda hai libaas-e-aadamiyyat meiN
bharii dunyaa meiN yaa rab! koi insaaN kyooN naheeN hota?

kiYa kehne! bohot khoob!! waah!

7.

Zia tum to yeh kehte the chaman hai yeh tumhaaraa bhii
to naGhmoN se tumhaare yeh gul-afshaaN kyooN naheeN hota?

bohot khoob!! waah!

meree janib se is kamYaab koshish par mubarak bad aor dilee dad qubool kijiYe! =D>

Wassalam
Muz^aaffar
[/align]
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapki mandarja-e-zil ghazal jo aek musalsal ghazal ke andaaz meiN kahee gayee hei bahut pasand aayee. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

1.

bahaa hai Khoon to gulshan farozaaN kyooN naheeN hota?
jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota?

2.

agar shab Dhal chukii hai aur saHar kaa noor phailaa hai
to phir yeh noor chehrooN par numaayaaN kyooN naheeN hota?

3.

dareedaa-daamanoN ne gar lahoo se bhar diyaa SaHraa
to us se nam koii Khaar-e-muGheelaaN kyooN naheeN hota?

4.

agar bastii hai yeh ahl-e-junooN kii to yeh batlaao
k is bastii meiN phir chaak-e-garebaaN kyooN NaheeN hota?

5.

Sadaa'eN dii to haiN maiN ne, bahaareN kyooN naheeN aateN?
koii murGh-e-chaman ab ke Ghazal-KhvaaN kyooN naheeN hota?

6.

jise dekho darinda hai libaas-e-aadamiyyat meiN
bharii dunyaa meiN yaa rab! koi insaaN kyooN naheeN hota?

7.

Zia tum to yeh kehte the chaman hai yeh tumhaaraa bhii
to naGhmoN se tumhaare yeh gul-afshaaN kyooN naheeN hota?



Aapka MukhliS,

Nazir.

Image
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

[quote author=muzaffar link=topic=3761.msg36354#msg36354 date=1165612646]

moHtaram Z^ia SaHeb aadaab! :-) 

beHer-e-hazaj mucaman salim meN mashAllah bohot khobSurat Ghazal kahee hai. sabh~ee asha'aar pasand aaYe haiN.is mekoee shubah naheeN. aap waqa'ee bohot u'mdah likh~te haiN. aor kalam meN aek t^araH kee Hararat aor barjastagee to har SaHib-e-fehem meHsoos karta hee ho ga! [/color]

Janaab-e-muzaffar SaaHib, w/salaam

Huzoor ! aap ki daad kaa bhii javaab naheeN ! hamesha paRh kar sola man Khoon baRh jaataa hai ! yeh saab aap ki maHabbatoN ki badolat hai vagarna man hamaaN Khaakam k hastam ! :)


aap kee Ghazal kee aek khubee Yeh bh~ee hai keh jo khuda daad ma'loom hotee hai keh koee she'er bh~ee kisee dusre she'er se kam naheeN hota. Ya'nee sare hee she'er aek se baRh~ kar aek hote haiN. Yeh maiN rasmee t^aor par naheeN keh raha. balkeh mere nazdeek yeh rashan Haqiqat hai! aor is khubee ko maiN do aek saal se mehsoos kar raha hooN. aor Yeh khubee jin SaHebaan-e-fan meN hai woh ungaliYooN par gine ja sakte haiN.


janaab, aap ne to goya par lagaa deiye ! ab jee kartaa hai k hamesha uRtaa hii rahooN in havaa'oN meiN kaheeN ;)

SaaHib, aap kaa Husn-e-nazar hai !




1,

bahaa hai Khoon to gulshan farozaaN kyooN naheeN hota?
jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota?

kiYa kehne! waah waah! bohot u'mdah janaab! inteha hai.

2.

agar shab Dhal chukii hai aur saHar kaa noor phailaa hai
to phir yeh noor chehrooN par numaayaaN kyooN naheeN hota?

kiYa kehne! waah waah!

3.

dareedaa-daamanoN ne gar lahoo se bhar diyaa SaHraa
to us se nam koii Khaar-e-muGheelaaN kyooN naheeN hota?

bohot khoob!waah! waah!

4.

agar bastii hai yeh ahl-e-junooN kii to yeh batlaao
k is bastii meiN phir chaak-e-garebaaN kyooN NaheeN hota?

kiYa kehne! waah!

5.

Sadaa'eN dii to haiN maiN ne, bahaareN kyooN naheeN aateN?
koii murGh-e-chaman ab ke Ghazal-KhvaaN kyooN naheeN hota?

kiYa kehne! waah! waah!

6.

jise dekho darinda hai libaas-e-aadamiyyat meiN
bharii dunyaa meiN yaa rab! koi insaaN kyooN naheeN hota?

kiYa kehne! bohot khoob!! waah!

7.

Zia tum to yeh kehte the chaman hai yeh tumhaaraa bhii
to naGhmoN se tumhaare yeh gul-afshaaN kyooN naheeN hota?

bohot khoob!! waah!

meree janib se is kamYaab koshish par mubarak bad aor dilee dad qubool kijiYe! 

Wassalam
Muz^aaffar


Janaab ! tah-e-dil se mamnoon hooN ! aap ki daad se hamesha HoSla baRhtaa hai ! bahut bahut shukriya

Zia Baloch



[/quote]
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: Bahut khoob, waah waah

Post by Star Mind »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapki mandarja-e-zil ghazal jo aek musalsal ghazal ke andaaz meiN kahee gayee hei bahut pasand aayee. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

1.

bahaa hai Khoon to gulshan farozaaN kyooN naheeN hota?
jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota?

2.

agar shab Dhal chukii hai aur saHar kaa noor phailaa hai
to phir yeh noor chehrooN par numaayaaN kyooN naheeN hota?

3.

dareedaa-daamanoN ne gar lahoo se bhar diyaa SaHraa
to us se nam koii Khaar-e-muGheelaaN kyooN naheeN hota?

4.

agar bastii hai yeh ahl-e-junooN kii to yeh batlaao
k is bastii meiN phir chaak-e-garebaaN kyooN NaheeN hota?

5.

Sadaa'eN dii to haiN maiN ne, bahaareN kyooN naheeN aateN?
koii murGh-e-chaman ab ke Ghazal-KhvaaN kyooN naheeN hota?

6.

jise dekho darinda hai libaas-e-aadamiyyat meiN
bharii dunyaa meiN yaa rab! koi insaaN kyooN naheeN hota?

7.

Zia tum to yeh kehte the chaman hai yeh tumhaaraa bhii
to naGhmoN se tumhaare yeh gul-afshaaN kyooN naheeN hota?



Aapka MukhliS,

Nazir.

ustaad-e-moHtaram, Nazir SaaHib, aadaab !

kaise haiN aap?

javaab meiN taa'Kheer ke liye ma'zirat !

aap kii HoSla afzaa'ii mere liye Sad ifteKhaar ka sabab hai ! nehaayat mamnoon hooN ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

sara_j wrote:zia bhai ab muzaafar sahib aur nazir sahib ke kehne ke baad

aur kya kahun. is khoobsurat ghazal per dili daad aur

mubarakbaad qubool keejiye.
Saara behna, aadaab !

Khoob daaman bachaa rahii haiN aap ? :evil: ..............

mazaaq bar taraf ! aap kaa Husn-e-nazar hai ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Re: :jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN h

Post by muhammad_19k »

Zia sb.

iss meiN koi shak naheeN ke aap ki ghazal bohat hi khoobsoorat hai oar har aik shaAer bohat hi umdaa hai. Saara ji ne bilkul theek kahaa ke ustaad mohtaram ke sanad oar muzaffar sb ki pazeerai ke baad kuch kehne ki gunjaish hi naheeN rehti. haan aik do bataoN ki wazaahat agar ho ja-aye to mein behad shukar guzar hooN ga.



bahaa hai Khoon to gulshan farozaaN kyooN naheeN hota?
jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota?


iss ke pehle misra meiN agar lafz khoon ki jaga khooN isteAmaal kia ja-aye to ki misraA ke rawani baRh naheeN jaati?

bahaa hai khooN to gulshan meiN farozaaN kyooN naheeN hota?

kia meiN theek samajh rahaa hoo? oar agar meiN theek samajh rahooN hoN toa yaqeenun aap ne aisa socha hoga. ubb kyooN naheeN isteAmaal kiya woah aik bareek baat ho gi. jis ki wazaahat farmaa kar agar aap mujhe bhi kuch samajhne ka moqa inaayat karaiN to shukar guzaar hooN ga.

"Sadaa'eN dii to haiN maiN ne, bahaareN kyooN naheeN aateN?
koii murGh-e-chaman ab ke Ghazal-KhvaaN kyooN naheeN hota?"


iss taraH ooper wale shaAer ke doosre misraa meiN mujhe lagaa ke "ke" ki jaga "bhi" se baat khoobsoorat ho sakti hai.

koii murGH e chaman ab bhi Ghazal khwaaN kyooN naheeN hota?

Zia sb pehli baar aap se mukhaatib hooN. yaqeeN janiaye janab. meiN sirf in batoaN ki vazaahat iss leeaye chahtaa hoooN ta ke mujhe kuch seekhne ka moqaa mile.

Aap ka shukarguzar,
Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: :jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN h

Post by Star Mind »

muhammad_19k wrote:Zia sb.

iss meiN koi shak naheeN ke aap ki ghazal bohat hi khoobsoorat hai oar har aik shaAer bohat hi umdaa hai. Saara ji ne bilkul theek kahaa ke ustaad mohtaram ke sanad oar muzaffar sb ki pazeerai ke baad kuch kehne ki gunjaish hi naheeN rehti. haan aik do bataoN ki wazaahat agar ho ja-aye to mein behad shukar guzar hooN ga.

janaab ! yeh aap aHbaab ki maHabbat hai ! is ke liye maiN aap kaa jitnaa bhii shukriya adaa karooN kam hai !
mujhe vazaaHat karte hove Khushii hogii ! :-)


bahaa hai Khoon to gulshan farozaaN kyooN naheeN hota?
jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota?


iss ke pehle misra meiN agar lafz khoon ki jaga khooN isteAmaal kia ja-aye to ki misraA ke rawani baRh naheeN jaati?

bahaa hai khooN to gulshan meiN farozaaN kyooN naheeN hota?

janaab ! burii baat to naheeN , magar aap hi bataayeN kyaa "gulshan meiN farozaaN" hona Theek hai pore jumle ko madd-e-nazar rakhte hove? :wink:


kia meiN theek samajh rahaa hoo? oar agar meiN theek samajh rahooN hoN toa yaqeenun aap ne aisa socha hoga. ubb kyooN naheeN isteAmaal kiya woah aik bareek baat ho gi. jis ki wazaahat farmaa kar agar aap mujhe bhi kuch samajhne ka moqa inaayat karaiN to shukar guzaar hooN ga.


janaab ! ab to baat mere Khayaal meiN vaaZiH hoga'ii hai , kyoN-k agar aap ki baat maan leN to savaal yeh paida hotaa hai k gulshan meiN kyaa cheez farozaaN naheeN hotii ? jab-k meri muraad Khud nafs-e-gulshan hai ! :-)

"Sadaa'eN dii to haiN maiN ne, bahaareN kyooN naheeN aateN?
koii murGh-e-chaman ab ke Ghazal-KhvaaN kyooN naheeN hota?"


iss taraH ooper wale shaAer ke doosre misraa meiN mujhe lagaa ke "ke" ki jaga "bhi" se baat khoobsoorat ho sakti hai.

koii murGH e chaman ab bhi Ghazal khwaaN kyooN naheeN hota?

shukriya SaaHib, maiN dosre miSra' ko aek aur ustaad shaai'r ki tajveez karda miSra' se tabdeel kar chukaa hooN , ya'nii aise :

koii murGh-e-gulistaaN ab Ghazal-KhvaaN kyooN naheeN hota :wink:



Zia sb pehli baar aap se mukhaatib hooN. yaqeeN janiaye janab. meiN sirf in batoaN ki vazaahat iss leeaye chahtaa hoooN ta ke mujhe kuch seekhne ka moqaa mile.

Aap ka shukarguzar,
Muhammad Khawar.

Khawar bhaii, yeh to mere liye i'zaaz kii baat hai ! maiN Khud abhii tifl-e-maktab hooN ! mujhe aap se bhii bahut kuchh seekhnaa hai abhii ! mujhe be-Had Khushii hovii ! :-)

tah-e-dil se mamnoon hooN

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Zia sb,

Mein aap ki wazahaat ke leeaye shukar guzar hooN.

Allah taala aap ko khush rakhay,

Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Post Reply