Yaaran-e-meHfil, aadaab !
aaj aap ke saamne apnii aek taaza Ghazal paish karne ki jasaarat kar rahaa hooN , ummeed hai k
apnii qeematii aaraa se mustafeez farmaai'eN ge ! shukriya
to lejiye Ghazal Haazir hai
:: Urdu V ::
:: Roman V ::
1.
ik zaraa Sabr aye dil-e-kaafir !
khulne vaalaa hai but-kade kaa dar
2.
yuuN na baarish meiN gungunaa dil-bar !
jal na jaaye kaheeN koii shah-par !
3.
parda-e-Husn se nikal baahar !
fitna-e-shauq ko javaaN-tar kar !
4.
lutf-e-Sad baaGh-e-a'aalam-e-firduas
ik tire ruKh ka dil-rubaa manzar
5.
haaye andaaz-e-guft-goo teraa
khul gayaa jaise Husn kaa daftar
6.
tum se rauhsan hai deed kii dunyaa
tum hi ho meri aaNkh kaa maHvar !
7.
meri tishna labii ki aaNch na poochh !
mera saaqii hai saaqiy-e-kausar
8.
kaise bhaTkooN ga raah-e-ulfat se ?
jazba-e-i'shq hai miraa rah-bar !
9.
khulte jaai'eN ge i'shq ke asraar
aur chhalkaao dard ke saaGhar !
10.
be-zabaanii ki intehaa kahye !
dil ki baat aa ke ruk gai'ii lab par !
11.
shaai'rii har kisii ke bas meiN kahaaN ?
naaz kar tuu Zia ! Ghazal keh kar !
Zia Baloch
:: ik zaraa Sabr aye dil-e-kaafir ! ::
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
:: ik zaraa Sabr aye dil-e-kaafir ! ::
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Zia sb,
aik oar khoobsoorat oar maiyaari ghazal paish karne par shukriya oar daad qabool keejiaye. Muzaffar sb pehle hi aik tabseray mein farma chuke haiN ke aap ki khuda daad salahiat ke ghazal ke tamaam ashaar aik jaise khoobsoorat maAeaar par hote haiN. laikin phir bhi aap jaante haiN ke har qaari ka apna apna zouq hai. aap ke iss shaAer ne bohat mutaSSir kiya,
kaise bhaTkooN ga raah-e-ulfat se ?
jazba-e-i'shq hai miraa rah-bar !
Allah taaala aap ko khush rakhay,
aap ka mukhlis,
Muhamamd Khawar.

Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Khawar bhaii, aadaab !muhammad_19k wrote:Zia sb,
aik oar khoobsoorat oar maiyaari ghazal paish karne par shukriya oar daad qabool keejiaye. Muzaffar sb pehle hi aik tabseray mein farma chuke haiN ke aap ki khuda daad salahiat ke ghazal ke tamaam ashaar aik jaise khoobsoorat maAeaar par hote haiN. laikin phir bhi aap jaante haiN ke har qaari ka apna apna zouq hai. aap ke iss shaAer ne bohat mutaSSir kiya,
kaise bhaTkooN ga raah-e-ulfat se ?
jazba-e-i'shq hai miraa rah-bar !
Allah taaala aap ko khush rakhay,
aap ka mukhlis,
Muhamamd Khawar.
yeh sab aap kaa Husn-e-nazar hai ! muzaffar bhaii ki maHabbat hai, varna to mujh meiN aur mere kalaam meiN koi Khoobii naheeN hai ! nehaayat mamnoon hooN! shukriya
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Re: :: ik zaraa Sabr aye dil-e-kaafir ! ::
Saara behna , w/salaam !sara_j wrote:Zia bhai,Star Mind wrote::: Roman V ::
1.
ik zaraa Sabr aye dil-e-kaafir !
khulne vaalaa hai but-kade kaa dar
2.
yuuN na baarish meiN gungunaa dil-bar !
jal na jaaye kaheeN koii shah-par !
3.
parda-e-Husn se nikal baahar !
fitna-e-shauq ko javaaN-tar kar !
4.
lutf-e-Sad baaGh-e-a'aalam-e-firduas
ik tire ruKh ka dil-rubaa manzar
5.
haaye andaaz-e-guft-goo teraa
khul gayaa jaise Husn kaa daftar
6.
tum se rauhsan hai deed kii dunyaa
tum hi ho meri aaNkh kaa maHvar !
7.
meri tishna labii ki aaNch na poochh !
mera saaqii hai saaqiy-e-kausar
8.
kaise bhaTkooN ga raah-e-ulfat se ?
jazba-e-i'shq hai miraa rah-bar !
9.
khulte jaai'eN ge i'shq ke asraar
aur chhalkaao dard ke saaGhar !
10.
be-zabaanii ki intehaa kahye !
dil ki baat aa ke ruk gai'ii lab par !
11.
shaai'rii har kisii ke bas meiN kahaaN ?
naaz kar tuu Zia ! Ghazal keh kar !
Zia Baloch
salaam.
ghazal paRh ker ehsaas houta hai ke aap meHboob kee adaa'oN ke nashshe meiN doob kar likhe heiN. har shair lajawaab hai.
ghazal bohat pasand aayi daad aur mubarakbaad qubool keejiye :rose
sara
aap ne bajaa farmaayaa ! aisa hi a'aalam thaa !
is qadar KhoobSoorat daad ke liye nehaayat mamnoon hooN ! shukriya
ZIa Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
moHtaram janaab ! nehaayat mamnoon hooN ! shukriyasbashwar wrote:Mohtaram Zia Sahib
Bohat achchi ghazal kahi. Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye. Quoted 2 sheir bohat pasand aye.haaye andaaz-e-guft-goo teraa
khul gayaa jaise Husn kaa daftar
khulte jaai'eN ge i'shq ke asraar
aur chhalkaao dard ke saaGhar !
ZiaBaloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch