:: ik zaraa Sabr aye dil-e-kaafir ! ::
Posted: Thu Dec 21, 2006 7:11 pm
Yaaran-e-meHfil, aadaab !
aaj aap ke saamne apnii aek taaza Ghazal paish karne ki jasaarat kar rahaa hooN , ummeed hai k
apnii qeematii aaraa se mustafeez farmaai'eN ge ! shukriya
to lejiye Ghazal Haazir hai
:: Urdu V ::
:: Roman V ::
1.
ik zaraa Sabr aye dil-e-kaafir !
khulne vaalaa hai but-kade kaa dar
2.
yuuN na baarish meiN gungunaa dil-bar !
jal na jaaye kaheeN koii shah-par !
3.
parda-e-Husn se nikal baahar !
fitna-e-shauq ko javaaN-tar kar !
4.
lutf-e-Sad baaGh-e-a'aalam-e-firduas
ik tire ruKh ka dil-rubaa manzar
5.
haaye andaaz-e-guft-goo teraa
khul gayaa jaise Husn kaa daftar
6.
tum se rauhsan hai deed kii dunyaa
tum hi ho meri aaNkh kaa maHvar !
7.
meri tishna labii ki aaNch na poochh !
mera saaqii hai saaqiy-e-kausar
8.
kaise bhaTkooN ga raah-e-ulfat se ?
jazba-e-i'shq hai miraa rah-bar !
9.
khulte jaai'eN ge i'shq ke asraar
aur chhalkaao dard ke saaGhar !
10.
be-zabaanii ki intehaa kahye !
dil ki baat aa ke ruk gai'ii lab par !
11.
shaai'rii har kisii ke bas meiN kahaaN ?
naaz kar tuu Zia ! Ghazal keh kar !
Zia Baloch
aaj aap ke saamne apnii aek taaza Ghazal paish karne ki jasaarat kar rahaa hooN , ummeed hai k
apnii qeematii aaraa se mustafeez farmaai'eN ge ! shukriya
to lejiye Ghazal Haazir hai
:: Urdu V ::
:: Roman V ::
1.
ik zaraa Sabr aye dil-e-kaafir !
khulne vaalaa hai but-kade kaa dar
2.
yuuN na baarish meiN gungunaa dil-bar !
jal na jaaye kaheeN koii shah-par !
3.
parda-e-Husn se nikal baahar !
fitna-e-shauq ko javaaN-tar kar !
4.
lutf-e-Sad baaGh-e-a'aalam-e-firduas
ik tire ruKh ka dil-rubaa manzar
5.
haaye andaaz-e-guft-goo teraa
khul gayaa jaise Husn kaa daftar
6.
tum se rauhsan hai deed kii dunyaa
tum hi ho meri aaNkh kaa maHvar !
7.
meri tishna labii ki aaNch na poochh !
mera saaqii hai saaqiy-e-kausar
8.
kaise bhaTkooN ga raah-e-ulfat se ?
jazba-e-i'shq hai miraa rah-bar !
9.
khulte jaai'eN ge i'shq ke asraar
aur chhalkaao dard ke saaGhar !
10.
be-zabaanii ki intehaa kahye !
dil ki baat aa ke ruk gai'ii lab par !
11.
shaai'rii har kisii ke bas meiN kahaaN ?
naaz kar tuu Zia ! Ghazal keh kar !
Zia Baloch