Page 1 of 1

Yeh Ghazal Kaisi Hai ???

Posted: Sat Dec 23, 2006 2:14 pm
by munir-armaan-nasimi
Dear Friends,

Salam-o-Rehmat!! I dont know whether I've posted this "Ghazal" in this site or not??? If yes then forgive me otherwise..... Enjoy.....!!

Plz. give me your honest 'comments' and obliged.

Awaiting your response.

Regards,

armaan

Posted: Sat Dec 23, 2006 7:58 pm
by muhammad_19k
Salam Nasmi Sb,

Ye hai hamari eemandaraana raa-aye. Tessra shaAer bohat pasand aayaa. oar aakhri shaAer kuch samajh naheeN aaya. :-). Ishaq meiN khasaraa ki parwa na karnaa to samajh aataa hai. chaliaye khasaaraa maangna bhi samajh meiN aataa hai. laikin khasaaraa "naa maangna" kuch samajh naheeN ayaa.

Allah kare zor e qalam oar ziada.

aap ka mukhlis,
Muhammad Khawar.

zameen bahut sanglaakh hei

Posted: Tue Dec 26, 2006 5:38 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Munir armaan Nasimi SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne koushish zaroor kee hei lekin bilkul banjar zameen kee jaisi Zameen meiN . Aapko chaahiye ke Aam Zameen meiN likhkhaa kareN taakeh un per khulkar tabSirah kiyaa jaaske.

MaiN apni is raaye per iktifaa kartaa hooN aur ummeed hei aapke liye mufeed caabit hougi. Shukriyah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed Dec 27, 2006 8:25 pm
by munir-armaan-nasimi
Qaabil-e-Sad-Ehteram Nazir Bhai
Aur
Saara J.

Aap dono ki baat bilkul sahi hai; Magar Banjar Zameen ko Gulistaan banane ki main ne koshish to kii? Ab ye alag baat hai ke..... kaamyaab nahin hoa. Hairat ki baat yeh bhi hai ke yahi Ghazal main ne All India Mushaira main padh ke Mushaira Loot Chuka Hoon....!!

Anyway, Mushaira kii baat alag hai ye main jaanta hoon. Insha'Allah agli baar apni koshish main jaroor kaamyaab honga.

aap ka apna,

armaan

Posted: Thu Dec 28, 2006 8:41 am
by ROSE
bohat achi ghazal likh hai aapney dahrooooooooooooo daad qabool kareN

Posted: Thu Dec 28, 2006 3:35 pm
by munir-armaan-nasimi
ROSE Bhai.... armaan-nawazi kaa dheron shukriya..... jaldi qobool karein... the offer valid upto 32nd Dec. 2006.