ehtamam-e-bahar karte haiN!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

ehtamam-e-bahar karte haiN!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]


Yaran-e-meHfil aadaab! :-)

tazah koshish pesh-e-khidmat hai. mulaheZ^ah farma kar shukriYah ada karne ka maoqa' faraham kijiYe!

beHer=khafeef/musaddas/makhbon/meHz^of.
=2122.....1212.....22.

1,

seenah-o-dil figaar karte haiN
ehtamam-e-bahaar karte haiN.

2,

ham haiN maqroZ^-e-zeest kuch~ aese
zindagee musta'aar karte haiN.


3,

e'shq meN tishnah kaam rehte haiN
jo Gham-e-ruzgaar karte haiN.

4,

YoN tira naam lab peh hai gaoYa
zikr-e-parwardigaar karte haiN.

5,

ham saNwareeN ge gesu-e-urdu
e'hd Yeh ustawaar karte haiN.

6,

ToTee kashtee meN beTh~ne wale
kab samundar ko paar karte haiN?

7,

apnee sadah dilee hai duchman ko
dostooN meN shumaar karte haiN.

8,

rang lae gee apnee mae naoshee
jaam par inHeSaar karte haiN.
( mae naoshee=sharab naoshee)

9,

dasht-e-Ghurbat meN luT gae lekin
shukr-e-parwardigaar karte haiN.

10,

jin ko milta naheeN sukooN aakhir
mae kashee ikhteyaar karte haiN.

11,

ham gurezaaN naheeN haiN maqtal se
ham SaleebooN se peYaar karte haiN.

(Q)

12,

jaan dene kee aakhree khuahish
qaed meN jaaN nisaar karte haiN.

13,

woh muz^affar najane kab aae?
aao akhtar shumaar karte haiN.

Wassalam
Muz^affar

_________________
[/align]
User avatar
dunya dehlawi
nau-waarid
Posts: 4
Joined: Sat Dec 16, 2006 3:26 am

achchi ghazal hei waah

Post by dunya dehlawi »


MuHtaram Muzaffar Ahmad Muzaffar Sahib,

Adaab o taslimaat,

Aapki ghazal paand aayi. Daad o mubarakbad hazir e khidmat hei.

seenah-o-dil figaar karte haiN
ehtamam-e-bahaar karte haiN.

Matla bahut khoob hei.

ham haiN maqroZ^-e-zeest kuch~ aese
zindagee musta'aar karte haiN.

Qiblah, aap ne is sh'r mein must'ar karte hein kaha hei jabke muhavirah "musta'ar lena" hei.

e'shq meN tishnah kaam rehte haiN
jo Gham-e-ruzgaar karte haiN.

Ach'cha sh'r hei. Wah wah.

YoN tira naam lab peh hai gaoYa
zikr-e-parwardigaar karte haiN.

Bahut khoob.

ham saNwareeN ge gesu-e-urdu
e'hd Yeh ustawaar karte haiN.

Waah waah.

ToTee kashtee meN beTh~ne wale
kab samundar ko paar karte haiN?

Achcha she'r hei. Waah.

apnee sadah dilee hai duchman ko
dostooN meN shumaar karte haiN.

Achcha she'r hei waah wah.

rang lae gee apnee mae naoshee
jaam par inHeSaar karte haiN.

Aap ne inhisar karte hein likhkha hei jabkike "inhisar houna" saheeh hei.

( mae naoshee=sharab naoshee)

dasht-e-Ghurbat meN luT gae lekin
shukr-e-parwardigaar karte haiN.

Waah, kya kehne.

jin ko milta naheeN sukooN aakhir
mae kashee ikhteyaar karte haiN.

Aap ne "aakhir" ke mani liye hein "aakhir e kar" ke liye heiN.

ham gurezaaN naheeN haiN maqtal se
ham SaleebooN se peYaar karte haiN.

Achcha she'r hei, waah.

(Q)

jaan dene kee aakhree khuahish
qaed meN jaaN nisaar karte haiN.

woh muz^affar najane kab aae?
aao akhtar shumaar karte haiN.

Ach'cha maqta hei, waah waah.

Khair andesh,
Dunya dehlawi
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram/moHtarmah Duniya Dehlawi SaHib/SaHibah aadaab! :-)

meree aor digar ehl-e-bazm kee janib se aap ko meHfil meN tashreef par khushaamdeed.

aap ne meree ma'mulee see koshish ko pasand farma kar mazeed mashq-e-sukhan karne ka HaoSilah a't^a kiYa hai. is ke liye aap ka minnat pazeer hooN. khuda aap ko salamat rakh~e!


ham haiN maqroZ^-e-zeest kuch~ aese
zindagee musta'aar karte haiN.

Qiblah, aap ne is sh'r mein must'ar karte hein kaha hei jabke muhavirah "musta'ar lena" hei.


1,

HuZ^oor is she'er meN farsee maSdar:zindagee kardan: Ya'nee : zindagee karna: kee rie'ayat se :zindagee karte haiN: muraad liya hai. ya'anee ham zindagee karte haiN (guzarte haiN) aor phi~r kis kaefiyat meN karte haiN musta'aar karte hai. :-)

:musta'aar lena bh~ee durust hai. lekin radeef "karte haiN ke taqaZ^ah ko khaat^ir nashaan rakh~te huwe Z^arurat-e-radeef khud is mushkil ka Hal faraham karne kee ehtamaam gar hai. aor Z^aruree naheeN keh mera kheyaal pukhtah ho. mukin hai meree khaam kheYalee ke zer-e-acar aesee taweelaat ban aaeeN haiN. leHaZ^ah in Hawalaajaat se aap ka ittefaaq-e-raeY Z^aruree naheeN.

2,


rang lae gee apnee mae naoshee
jaam par inHeSaar karte haiN.

Aap ne inhisar karte hein likhkha hei jabkike "inhisar houna" saheeh hei.


ise Typo kaha ja sakta hai. :-)

aakhir meN aap ka dobarah marhoon-e-minnat hooN. keh aap ne ne itnee takaash se meree Gazal ka mut^ale'ah kiYa. aor kalam ko pasand farma kar mashkoor huwe!

dua'a gao!
Muz^affr.
[/align]
Post Reply