aek taazah ghazal apne imtiHan ke liye - -- - Abdullah Nazir

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aek taazah ghazal apne imtiHan ke liye - -- - Abdullah Nazir

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan

PurkhulooS Tasleemaat,

Apni aazmaayish ke liye aek mushkil Zameen meiN aek taazah ghazal pesh karrahaa hooN. Umeed ke aapki nazar-e-naqd o baSar se guzregi aur apni giraaNqadr aaraa se mujhe mustafeed houne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN :rose

baZd maujeN heiN unkaa dil nah TooTaa
magarr qufl-e-lab-e- saaHil nah TooTaa

tamannaoN kaa khooN karke wo khush hei
kabhee manSooba-e-qaatil na TooTaa

kasar koii uThaa rakhkhi nah us ne
miri qismat keh meraa dil nah TooTaa

rah-e-ulfat meiN sar peeTe hei rehzan
keh ham se rishta-e-manzil nah TooTaa

ukhaR jaati heiN tanhaayi meiN saanseN
hamaara dam sar-e-meHfil nah TooTaa

bakheelaoN ke gharaoN se kuch nah paakar
kisi din kaasa-e-saayil nah TooTaa

tire gaisoo-e-pechaaN aur maiN hooN
keh khwaab-e-uqda-e-mushkil nah TooTaa

houe barbaad khush-fehmi meiN :Nazir:
HiSaar-e-daam-e-mustaqbil nah TooTaa


Aapka MukhliS,

Nazir.

Attachments
a_na_with_after_25ub.jpg
a_na_with_after_25ub.jpg (106.53 KiB) Viewed 154 times
Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Mohatram Abdullah bhai salaam e masnoon
Aapki ye taaza ghazal bahut pasand aai. aap apna imtehan leiN ya na leiN hameiN to aapki har ghazal kamil aur khooobsurat lagti haiN. zameen yaqeenan choti hone ke sabab sher kahna asaan na tha par asaatizah ko is se kia .. aap ki fikr o fan par jo girift hai vo aapke lye saare raaste khool deti hai.
shukria
Post Reply