aek taazah ghazal apne imtiHan ke liye - -- - Abdullah Nazir
Posted: Tue Jan 09, 2007 9:22 am
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan
PurkhulooS Tasleemaat,
Apni aazmaayish ke liye aek mushkil Zameen meiN aek taazah ghazal pesh karrahaa hooN. Umeed ke aapki nazar-e-naqd o baSar se guzregi aur apni giraaNqadr aaraa se mujhe mustafeed houne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN :rose
baZd maujeN heiN unkaa dil nah TooTaa
magarr qufl-e-lab-e- saaHil nah TooTaa
tamannaoN kaa khooN karke wo khush hei
kabhee manSooba-e-qaatil na TooTaa
kasar koii uThaa rakhkhi nah us ne
miri qismat keh meraa dil nah TooTaa
rah-e-ulfat meiN sar peeTe hei rehzan
keh ham se rishta-e-manzil nah TooTaa
ukhaR jaati heiN tanhaayi meiN saanseN
hamaara dam sar-e-meHfil nah TooTaa
bakheelaoN ke gharaoN se kuch nah paakar
kisi din kaasa-e-saayil nah TooTaa
tire gaisoo-e-pechaaN aur maiN hooN
keh khwaab-e-uqda-e-mushkil nah TooTaa
houe barbaad khush-fehmi meiN :Nazir:
HiSaar-e-daam-e-mustaqbil nah TooTaa
Aapka MukhliS,
Nazir.