taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Jeddah, Saudi-Arab meiN MuHtaram o Azeez bhaayi Zafar Mehdi SaaHib ke saalaanah mushaaAire ke liye 4 TaraHi miSreAe diye gaye thay. Unke baRe bhaayi, mash'hoor adeeb, naqqad aur shaayer Baaqir Mehdi SaaHib kaa qareeb hee intiqaal houaa thaa tou is munaasibat se unkaa bhee aek miSraA shaamil thaa.

Apni beHad maSroofiyat kee vajh maiN bamushkil aek ghazal keh sakaa aur mushaaAire meiN shareek houne kee saAaadat HaaSil houee. Bhaayi Ihsan RaZa Badauni ne zehmat gawaara kee ke meri ghazal apne bahut hee dilkash tarannum se paRhkar uskin pazeeraayi meiN iZaafah kareN. BaharHaal vohi ghazal yaaaN pesh-e-khidmat hei. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN

aankhaoN kaa sail-e-eashk-e-ravaaN khatm hougayaa
anjaam yeh keh marcia-khwaaN khatm hougayaa

tuu kyaa gayi keh hougaye taareek shash jihat
meraa wujood hee miri maaN khatm hougayaa

deewaar-e-SeHn-e-gul peh parinde udaas heiN
kaise kahooN ke daur-e-khizaaN khatm hougayaa

pahouchaadiyaa hei tum ne muHabbat se qabr tak
"achchaa houaa ke souz-e-nihaaN khatm hougayaa"

moNh pher kar chale gaye eefaay-e-Ahd se
shayad tawaafuq-e-dil o jaaN khatm hougayaa

MaiN naqsh-e-paay-e-yaar nahiN hooN tou aur kyaa
jab imtiyaaz-e-sood o ziyaaN khatm hougayaa

tahzeeb-e-nau khud apni HadaoN se guzar gayi
yuN hee nah farq-e-khurd o kalaaN khatm hougayaa

lo do dilaoN meiN aas muHabbat kee jaag uThee
ab inqiyaad-e-vehm o gumaaN khatm hougayaa

:Nazir: charaagh-e-aakhair-e-shab kee TaraH thay ham
jal jal ke bujhgaye tou dhuaaN khatm hougayaa.
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.

Attachments
a_na_zafar_jed_070.jpg
a_na_zafar_jed_070.jpg (183.94 KiB) Viewed 132 times
Last edited by Abdullah Nazir on Sun Jan 14, 2007 1:03 am, edited 1 time in total.
Image
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Re: taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir.

Post by tahira Masood »

WEBMASTER wrote:
GHAZAL roman meiN

aankhaoN kaa sail-e-ashk-e-ravaaN khatm hougayaa
anjaam yeh keh marcia-khwaaN khatm hougayaa


bohat khoooooob janaab bohat a'alaa :rose

tuu kyaa gayi keh hougaye taareek shash jihat
meraa wujood hee miri maaN khatm hougayaa

zabardast!!! Haqeeqat bayaan ki hai aap ne

deewaar-e-SeHn-e-gul peh parinde udaas heiN
kaise kahooN ke daur-e-khizaaN khatm hougayaa

pahouchaadiyaa hei tum ne muHabbat se qabr tak
"achchaa houaa ke souz-e-nihaaN khatm hougayaa"

moNh pher kar chale gaye eefaay-e-Ahd se
shayad tawaafuq-e-dil o jaaN khatm hougayaa

MaiN naqsh-e-paay-e-yaar nahiN hooN tou aur kyaa
jab imtiyaaz-e-sood o ziyaaN khatm hougayaa

tahzeeb-e-nau khud apni HadaoN se guzar gayi
yuN hee nah farq-e-khurd o kalaaN khatm hougayaa

lo do dilaoN meiN aas muHabbat kee jaag uThee
ab inqiyaad-e-vehm o gumaaN khatm hougayaa

:Nazir: charaagh-e-aakhair-e-shab kee TaraH thay ham
jal jal ke bujhgaye tou dhuaaN khatm hougayaa.

Mashallah!! moHteram aik muraasah ghazal per meri jaanib se dilee daad Haazir hai

khushrehaiN

wassalam

=======
[/color]

Aapka MukhliS,
Nazir.[/i]
[/b]]
live and let live

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Abdullah Nazir SaHib aadaab! :rose

aaj aap kee t^arHee Ghazal dekh~ne ka sharf mila. Haerat hai keh meree nigah se kaese bachee rahee. lahazah aaj maoqa' mila hai. to baGhaor mut^alea'ah kiYa hai.

mashAllah aap ne apnee qalamee rawayat ko barqaraar rakh~te huwe baRee u'mdah aor dard bh~aree Ghazal kahee hai. aor jaesa keh aap ne apne iqtabaas meN farmaya hai. keh mash'hoor adeeb, naqqad aur shaayer Baaqir Mehdi SaaHib kaa qareeb hee intiqaal houaa thaa tou is munaasibat se unkaa bhee aek miSraA shaamil thaa. isee liye kalam meN Gham aor judaee kee kaefiyat zeyadah acar andaaz hai.


aankhaoN kaa sail-e-eashk-e-ravaaN khatm hougayaa
anjaam yeh keh marcia-khwaaN khatm hougayaa

kiya kehne, waah waah

mat^la' meN dard zeyadah hai. aor isee t^arH agarcheh digar asha'aar meN rang-e-marciyah numaayaaN hai.

tuu kyaa gayi keh hougaye taareek shash jihat
meraa wujood hee miri maaN khatm hougayaa

kiYa khoob kaefiyat-e-dilee kee is she'er meN numae,indagee kee gaee hai. keh tere jane se shish jihaat meN tareekee ch~a gaee gaoya agar noor th~a to woh tere dam se hee th~a ab teree a'adam maojudagee meN zulmat aor tareekee ke siwa kuch~ naheeN..........aor mera wujood jo us tere noor se munawwar th~a aesa be noor huwa hai keh gaoya yeh apne anjaam ko pohonch geya. yaa'nee tamaam huwa. aor yahaaN :miree jaaN: kehna bh~ee isee t^araf isharah kar raha hai. yaa'nee yahaaN aap ne meHboob ko jaan kikh~ kar baat ko mazeed waZ^eH aor Saaf kar diya hai. waah, waah kiya kehne!


deewaar-e-SeHn-e-gul peh parinde udaas heiN
kaise kahooN ke daur-e-khizaaN khatm hougayaa

bohot khoob, waah, waah

is she'er meN nihayat u'mdagee se weeranee-e-deewar-e-SeHen-e-gul kee taSweer kashee ka ehtaamaam kiya geya hai. keh meHboob tire Gham meN parinde bh~ee Ghamgeen-o-udaas haiN. yaa'nee hamare liye to yeh a'arSah-e-Gham manand-e-khizaaN hai. is ko yooN bh~ee dekh~a ja sakta hai. keh maiN naheeN manta keh bahaar baqee hai. aor aap daleel ke t^aor par "deewaar-e-SeHn-e-gul " kee t^araf isharah kar rahe haiN keh use dekh~ kar kiya koee keh sakta hai keh khizaaN rukhSat ho gaee hai. to maiN kaese maan looN. keh khizaaN ka daor khatm ho geya!!!


pahouchaadiyaa hei tum ne muHabbat se qabr tak
"achchaa houaa ke souz-e-nihaaN khatm hougayaa"

bohot khoob, waah, waah,

Baqir Mehdee SaHib ke miSra' par aap ne khob girah lagaee hai. aap yahaaN marhoon-e-minnat haiN keh tu ne achch~a hee kiya keh mujh~e aHat^ah-e-qabr meN dh~kel diya warnah yeh saoz-e-nihaaN zeyadah jaaN gusal th~a. yeh khalwat-e-gaor is se behtar hai. keh yahaan dard-e-nihanee aor saoz-e-qalabee naheeN. kiya kehne!

moNh pher kar chale gaye eefaay-e-Ahd se
shayad tawaafuq-e-dil o jaaN khatm hougayaa

kiya kehne, waah

bohot khubSurat she'er hai. waah, waah keh ae daost tum mujh~ se rooTh~ kar chalte bane, wiSaal kar gaye, chal base, inteqaal kar gae aor saath~ nibh~ane ka ehed nah pura kiya dusre miSra' meN aap khadshah z^ahir kar rahe haiN keh lagta hai. ham meN woh tawaafuq, woh yak jaanee, woh mut^abaqat, ya woh yakjehtee nah rahee is liye tum muNh ph~er kar chal diye. aor woh saath~ jene marne ka wa'adah eefa nah huwa....bohot u'mdah she'er hai. waah, waah.


MaiN naqsh-e-paay-e-yaar nahiN hooN tou aur kyaa
jab imtiyaaz-e-sood o ziyaaN khatm hougayaa

kiya kehne, waah, waah aap ne baRee u'mdagee se meHboob se daryaft kiya hai keh bata ab meree kiya Heciyat hai. keh mujh~e to lagta hai keh maiN meHZ^ naqsh-e-pa-e-yaar hooN. jab tak imteyaaz-e-sood-o-ziyaaN baqee th~a tab meree bh~ee koee wuqqa'at th~ee waqaar th~a par ab to aesa koee salook tu mujh~ se rawa naheeN rakh~ta......keh ab amteyaaz-e-sood-o-ziyaaN khatm hogeya.

tahzeeb-e-nau khud apni HadaoN se guzar gayi
yuN hee nah farq-e-khurd o kalaaN khatm hougayaa

kiya kehne! waah,waah.

aap ne baRee maharat aor saleeqe se tehzeeb-e-nao ka naqshah qalam band kiya hai. aor yeh Haqiqat hai. keh aaj kee naee nasl ko imteyaaz-e-khurd-o-kalaaN nah raha hai, yaa'nee ch~oTe baRe ka leHaaz^ aor eHtaraam khatm ho kar reh geya hai. khuda kare keh yeh Surat-e-Haal behtar ho jae.


lo do dilaoN meiN aas muHabbat kee jaag uThee
ab inqiyaad-e-vehm o gumaaN khatm hougayaa

bohot khoob, aap ne khushee o inbeesaat^ ka iz^haar karte huwe baRe khubSurat andaaz meN kaha hai keh ab do dilooN meN aa'tabaar kee fiZ^a=faZ^ qaae,im ho gaee hai. aor woh inqeeyaad jis kee wajah se do dilooN meN faSile Hae,il rahe ab woh khatm huwa.

:Nazir: charaagh-e-aakhair-e-shab kee TaraH thay ham
jal jal ke bujhgaye tou dhuaaN khatm hougayaa.

bohot khoob, waah, waah, bohot hee achch~e andaaz se aap ne apnee kaefiyat kee t^araf isharah kiya hai. bohot dard hai is she'er meN. waah.

meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
Muz^affar A Miz^affar
Post Reply