tarahi ghazal kaatoon men sarwo ko jo baRhe qadd e yaar se
Posted: Thu Feb 03, 2005 1:17 pm
hazreen e mehfil assalam o alaikum
apni tarahi ghazal ke saath hazir e mehfil hoon aur aap ki garaaN qadr aaraa ka betaabi se muntazir rahoonga
husaini
ghazal
nok e sinaaN se aur nah Khanjar ki dhaar se
dil ne yeh zaKHm khaye hen abroo e yaar se
dil , kar duAa e KHair e sanam kirdagaar se
bezaar kiyoN he aaj shikaari shikaar se
parhaiz umr bhar tha jinheN KHaaksaar se
rote heN ab lipaT ke woh mere mazaar se
sar KHam rahe to pesh meN aaoonga piyaar se
kaToon meN sarwo ko jo baRhe qadd e yaar se
lamhaat e intezaar qiyaamat se kam nah the
nazil huaa Azaab tire intezaar se
ab sar kashi e qalb ka Aalam nah poochhiye
baher he aajkal woh mire iKHtiyaar se
GHalib ho lalahzaar pay ehsaas e kamtari
hojaye roobaroo jo dil e daaGHdaar se
yakjaa huye heN dil meN GHam e zindagi tamaam
mehfooz kaise rakkhoon ise inteshaar se
GHarq e fuGHaaN rahega yonhi ta dam e ajal
ab aur kiya ummeed karoon sogawaar se
heN aasteeN pay jinki husaini luhoo ke daaGH
woh log aa rahe hen nazar shamsaar se
husaini khandwi