Ek Ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Shafeeq
-
-
Posts: 26
Joined: Wed Feb 22, 2006 6:10 am
Location: Hyderabad, A.P., India
Contact:

Ek Ghazal

Post by Shafeeq »

Chale jidhar se qayamat udhar bapa ke chale
Rahe hayat mein maqtal kayee saja ke chale

Jahan jahan se chale fitne who jaga ke chale
Badan ke apne tamawwuj ko kya badha ke chale

Kis ahtiyat se guzre akele dekho to
Nazar mein aake chale ya nazar bacha ke chale

Who seena taan ke aaye the seena kobi ko
Hamein jo hosh mein dekha to satpata ke chale

Hamein jo hosh mein dekha to aake pehlu se
Jhalak dikha ke chale ,hosh ko uda ke chale

Nazar nazar se le liya aur nazar nazar mein diya
Woh daur-e-jaam ko mehfil mein yun chala ke chale


Tadap ko dil to lahu rone ko jigar rakhte
Shafeeq teer-e-nazar unka le chubha ke chale
Shafeeq Ahmed
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Shafeeq AHmad SaHib aadaab!

kiYa kehne baRe khubSurat aor pur dard Ghazal kahe hai. sabh~ee she'er aap ke makhSooS t^arz-e-sukhan ke a'alamat haiN. aor aap kee musalsal qalamaee kawishooN ka cuboot haiN.


Chale jidhar se qayamat udhar bapa ke chale
Rahe hayat mein maqtal kayee saja ke chale

Jahan jahan se chale fitne who jaga ke chale
Badan ke apne tamawwuj ko kya badha ke chale

Kis ahtiyat se guzre akele dekho to
Nazar mein aake chale ya nazar bacha ke chale

Who seena taan ke aaye the seena kobi ko
Hamein jo hosh mein dekha to satpata ke chale

Hamein jo hosh mein dekha to aake pehlu se
Jhalak dikha ke chale ,hosh ko uda ke chale

Nazar nazar se le liya aur nazar nazar mein diya
Woh daur-e-jaam ko mehfil mein yun chala ke chale


Tadap ko dil to lahu rone ko jigar rakhte
Shafeeq teer-e-nazar unka le chubha ke chale


meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
Muz^affar
Post Reply