Ek Ghazal
Posted: Tue Jan 16, 2007 9:38 am
Chale jidhar se qayamat udhar bapa ke chale
Rahe hayat mein maqtal kayee saja ke chale
Jahan jahan se chale fitne who jaga ke chale
Badan ke apne tamawwuj ko kya badha ke chale
Kis ahtiyat se guzre akele dekho to
Nazar mein aake chale ya nazar bacha ke chale
Who seena taan ke aaye the seena kobi ko
Hamein jo hosh mein dekha to satpata ke chale
Hamein jo hosh mein dekha to aake pehlu se
Jhalak dikha ke chale ,hosh ko uda ke chale
Nazar nazar se le liya aur nazar nazar mein diya
Woh daur-e-jaam ko mehfil mein yun chala ke chale
Tadap ko dil to lahu rone ko jigar rakhte
Shafeeq teer-e-nazar unka le chubha ke chale