[align=center]
Yaran-e-meHfil aadaab!
aek tazah Ghazal ho gaee hai. so baGharaZ^-e-mulaZ^hizaat pesh-e-khidmat hai. aap kee tanqeed-o-tabSirah ka muntaz^ir hooN.
Ghazal
1,
baGh meN a'ndaleeb-e-zaar aaYa
zakhm-e-dil le ke mushkbaar aaYa!
2,
surkaru ho geya maiN jaaN de kar
bakht-e-kuftah ko maiN saNwar aaya!
3,
Ghunchah-o-gul to tere naam aaeY
mere HaSSe meN reg zaar aaya!
4,
yooN geYa ch~oR kar woh Ghurbat meN
ph~ir palaT kar nah Ghamgusaar aaYa!
5,
Hashr meN ham siyaah bakhtooN ko
dushman-e-jaaN peh aa'tabaar aaYa!
6,
zikr ch~eRa th~a naok-e-miZgaaN ka
teer ik dil ke aar par aaYa!
7,
shaor kaesa hai aaj koche meN?
dekh~iYe kaon dilfgaar aaYa!
8,
dekh~ kar tere Husn ka a'alam
dast-e-qudrat peh mujh~ ko peyar!
9,
u'mr bh~ar maiN ne aabYaree kee
nakhl-e-ummeed par nah bar aaYa!
10,
ph~ir Muz^affar ne taoR dee taobah
pee ke meHfil meN t^arH dar aaYa!
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
[/align]
baGh meN a'ndaleeb-e-zaar aaYa!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact: