Guzarish 25 ------ Muhammad Khawar.
Posted: Wed Jan 24, 2007 2:38 pm
Salam dosto,
yaqeenun bohat ziadaa dair ho gayee ghazal paish karne meiN laikin mairaa khayal hai mujh jaise shakhs ka kuch paish kar dainaa hi bohat hai. jald ya dair to bohat door ki baat hai.
Toa janab ye rahi mairi koshish.
1. mujh pe kia guzri bataaooN tujhe jaanaaN kia kia
ho gaye khaak mire dil k haiN armaaN kia kia
2. too banaataa hai mohabbat ke usool apnay hii
jeet jaane k tire paas haiN saamaaN kia kia
3. khoon karte haiN jigar ko kaheeN ja kar tab,
shaAer kehte haiN tirii Hub* meiN qadar daaN kia kai.
4. saaNs laine ko hawa milti rahi thi jab tak
qazi e shehr ne jaari kiaye farmaaN kia kia
5. meiN huwa kalmaa goa oar ummati aaqaa ka huwaa,
"maire Allah ne mujh par kiaye eHsaaN kia kia"
6. woh hai ik chaand sitaaroaN ke HaseeN jhurmat meiN
uss ke meHfil meiN haiN roushan rukh e taabaaN kia kia
7. zikr hi uss ka mire zakhm haray rakhtaa hai
gul khilaa-e gi mire dil meiN bahaaraN kia kia
8. jab chamakte haiN tiri yaad ke jugnoo shab koa
dil ke veerane meiN hote haiN chiraaghaN kia kia.
9. hai ye khaahish k meiN ik baar to daikhooN ja kar
uss ne seHraa meiN khilaaaye haiN gulistaaN kia kia
10. meiN gira bhi taire dar pe giraa hooN aa kar
kia khabar mujh ke raste meiN thay darmaaN kia kia.
11. un se doori ke siwaa kia hai jahanum :khawar:
sochtaa hooN mirii bakhshish ke haiN imkaaN kia kia
aap ne iss ko daikh leeaye. iss ki shaan baRh gayee. meiN shukar guzaar hooN ke mairaa naam daikhne ke baad bhi aap ne "click" karne ki zehmat ki.
Ashaar jaise bhi toote phootaiN haiN. haazir haiN. kia aap mujhe bataana pasand karaiN gay ke konse teen ashhaar aap ko nisbatan behtar lage?
aap ka shukarguzaar,
Muhammad Khawar.
* iss jageh par lafz "chah" shaAer ko bewazn kar rahaa thaa. iss leeaye "Hub" se replace kar diyaa hai.