suroor-e-tashnagee mein jab bhee maikhaane chale aaye
simat kar maikasho'n ke paas paimaane chale aaye
koee iss dushman-e-hosh-o-khirad ko kuchh nahee'n kahtaa
mujhee ko hazrat-e-naaseh bhee samjhaane chale aaye
b-qadr-e-josh-e-vahshat, vus'at-e-saharaa na thee shaayad
chaman mein khaak urhaane kyo'n ye deevaane chale aaye
ye maanaa door kee ik nisbat hai fir bhee ik ta'alluq hai
haram vaalo'n kee yaad aayee to butkhaane chale aaye
niyaaz-o-naaz ka ye rabt ba-ham ai muaaz allaah
hujoor-e-sham'a khud laharaa ke parvaane chale aaye
gumaa'n ke tazkire bazm-e-yakee'n tak aa gaye aakhir
haqeeqat ke labo'n tak yoo'n bhee afsaane chale aaye
kuchh iss andaaz se fasl-e-bahaaraa'n ab ke aayee hai
ke gulshan mein tamaashaa ban ke veeraane chale aaye
tamannaa-e-sukoo'n mein ab ye apnaa haal hai ''bekal''
haram mein dil jo ghabraayaa to maikhaane chale aaye
''bekal'' utsaahee
ek ghazal...bekal utsahi sahab kee
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar