Welcome Khalish Saahib.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
KHUSHAAMADED
MuHtaram Bhaayi
NAZIM KHALISH Saahib
Purkhuloos Tasleemaat,
MaiN aapki hi is site per tah-e-dil se aapka isteqbaal kartaa hooN. Zehe naseeb ke aap is meHfil meiN tashreef laaye aur aik bahut hii dlkash ghazal ke saath.
Umeed hei ke aap isi tarah se hameN apni takhleeqaat se navaazte rahenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
WELCOME Khalish sahab..kya aap wahi Ebazm mailing list waale khalish hain jin se meri bahut pehle salam duaa thi..? agar han to bahut bahut khushi hui aap ko yahan dekh kar...a very warm welcome to u...aate rahiyega aur mehfil mein shareek hote rahiyega :D
Shumaila
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Re: Welcome Khalish Saahib.
Sara Behan: Aadaab:sara_j wrote:[rainbow][h1]Khushamdeed Khalish saahib[/rainbow][/h1]
Janaab Khalish saahib ka dil ki gehraiyon se urudbandhan per isteqbal karti hoon, aapka tahe dil se shukriya.
umeed hai ke aapse humein bohat kuch seekhne milega. aapki taqleeqat ka intezar hai.
sara
Buhot buhot shukria, buhot nawaazish keh aap ne na.cheez ki iss tarah pazeeraaee ki.
Aap ke forum per aa kar dili musarrat hoi. Meri jaanib se iss khoobsurat mehfil ka ehtimaam karne per buhot buhot mubarakbaad qabool kijiay.
MaiN inshaa.allah haazir hota rahooNga.
Mukhlis
Nazimuddin :Khalish:
suno ! kuch dair hum se baat karloo
zaraa yeh dil behalna chahataa hai
zaraa yeh dil behalna chahataa hai
Re: KHUSHAAMADED
Muhtaram: Assalaam.o.Alaikum:Abdullah Nazir wrote:
MuHtaram Bhaayi
NAZIM KHALISH Saahib
Purkhuloos Tasleemaat,
MaiN aapki hi is site per tah-e-dil se aapka isteqbaal kartaa hooN. Zehe naseeb ke aap is meHfil meiN tashreef laaye aur aik bahut hii dlkash ghazal ke saath.
Umeed hei ke aap isi tarah se hameN apni takhleeqaat se navaazte rahenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Inn pur.khuloos kalamaat per maiN aap ka tah.e.dil se mamnoon hooN. Buhot innayat hai aap ki.
Itni khoobsurat mehfil ka ehtimaam karne per meri jaanib se dili mubarakbaad qabool kijiay. MaiN inshaa.allah haazir hota rahooNga. MaiN bradaram Mehtab Qadr se waada kar chuka hooN keh iss dafa jab bhi Jeddah aaouNga tu aapki khidmat meiN haazri zaroor dooNga.
Apna khayyal rakhiye aur mujhe duaaouN meiN yaad rakhiye.
niyaazmand
Nazimuddin :Khalish:
suno ! kuch dair hum se baat karloo
zaraa yeh dil behalna chahataa hai
zaraa yeh dil behalna chahataa hai
Assalaam.o.Alaikum:Shummu wrote:WELCOME Khalish sahab..kya aap wahi Ebazm mailing list waale khalish hain jin se meri bahut pehle salam duaa thi..? agar han to bahut bahut khushi hui aap ko yahan dekh kar...a very warm welcome to u...aate rahiyega aur mehfil mein shareek hote rahiyega :D
Shumaila
Jahaan tak meri yaadaasht kaam kar rahi hai aap ka shak durust hai maiN ebazm per bhi kisi zamaane meiN jaata raha hooN.
Thanks for the welcoming note. Buhot khushi hoi yahaan aa kar. Aap ko modship ki mubarakbaadi ... iss qism ke ma'amlaat meiN dair sawair ko nahi daikha jaata.
Khush RahaiN
Mukhlis
Khalish
suno ! kuch dair hum se baat karloo
zaraa yeh dil behalna chahataa hai
zaraa yeh dil behalna chahataa hai
arey wah tab to aap se ek arse baad mil ke bahut zyaada khushi hui..tah-e-dil se khushaamadeed ek baar phir aur shukriya mubarakbaad ka :DKhalish wrote:Assalaam.o.Alaikum:Shummu wrote:WELCOME Khalish sahab..kya aap wahi Ebazm mailing list waale khalish hain jin se meri bahut pehle salam duaa thi..? agar han to bahut bahut khushi hui aap ko yahan dekh kar...a very warm welcome to u...aate rahiyega aur mehfil mein shareek hote rahiyega :D
Shumaila
Jahaan tak meri yaadaasht kaam kar rahi hai aap ka shak durust hai maiN ebazm per bhi kisi zamaane meiN jaata raha hooN.
Thanks for the welcoming note. Buhot khushi hoi yahaan aa kar. Aap ko modship ki mubarakbaadi ... iss qism ke ma'amlaat meiN dair sawair ko nahi daikha jaata.
Khush RahaiN
Mukhlis
Khalish
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
moHtaramii wa mukarramii janaab-e-"Khalish" saaHib,
ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
yeh hamaarii Khush_qismatii hai ki aapne hamaarii meHfil meN aa kar is bazm ko 'izzat baKhshii hai aur be-shak yeh amr hamaare liye baai's-e-sad hazaar masarrat aur faKhr hai.
hameN aapkii nigaarishaat aur taKhliqaat ka be_chainii se intezaar rahegaa aur yeh bhii ummeed-e-qawii hai ki hameN aap se 'ilm_o_'irfaan naseeb hota rahegaa.
shukria.
faqat aapkaa Khaadim,
hashmat
ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
[h2][rainbow]Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman
[/h2][/rainbow]yeh hamaarii Khush_qismatii hai ki aapne hamaarii meHfil meN aa kar is bazm ko 'izzat baKhshii hai aur be-shak yeh amr hamaare liye baai's-e-sad hazaar masarrat aur faKhr hai.
hameN aapkii nigaarishaat aur taKhliqaat ka be_chainii se intezaar rahegaa aur yeh bhii ummeed-e-qawii hai ki hameN aap se 'ilm_o_'irfaan naseeb hota rahegaa.
shukria.
faqat aapkaa Khaadim,
hashmat
Muhtaram Hashmat Saahib: Taslimaat !Hashmat Usmani wrote:moHtaramii wa mukarramii janaab-e-"Khalish" saaHib,
ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
[h2][rainbow]Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman[/h2][/rainbow]
yeh hamaarii Khush_qismatii hai ki aapne hamaarii meHfil meN aa kar is bazm ko 'izzat baKhshii hai aur be-shak yeh amr hamaare liye baai's-e-sad hazaar masarrat aur faKhr hai.
hameN aapkii nigaarishaat aur taKhliqaat ka be_chainii se intezaar rahegaa aur yeh bhii ummeed-e-qawii hai ki hameN aap se 'ilm_o_'irfaan naseeb hota rahegaa.
shukria.
faqat aapkaa Khaadim,
hashmat
Buhot buhot shukria, buhot inaayat hai aap ki. Aapki mehfil meiN aa kar mujhe bhi buhot khushi hoi hai. MaiN inshaa.allah haazir hota rahooNga.
Aik baar phir, buhot buhot shukria.
Mukhlis
Nazimuddin Khalish
suno ! kuch dair hum se baat karloo
zaraa yeh dil behalna chahataa hai
zaraa yeh dil behalna chahataa hai