hamaari pehli musaddas "mirza ghalib" kay micray p

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

hamaari pehli musaddas "mirza ghalib" kay micray p

Post by haamidbaaqri »

Assalaam o alaikum
dosto

hum apni pehli musaddas aapkay hawaalay kar rahay hai.n.

gar qubool uftad zahay........

arz kiya hai.......

1. urdu hai jau zubaan woh sheeree.n zubaan hai
zeenat hai yeh sukhan ki' ceqaafat ki shaan hai
urdu zubaan saaray zubaano.n ki jaan hai
sab boliyaa.n zameen tau yeh aasmaan hai

apnaaogay jau dosto urdu zubaan ko
raukayga phir nah koyee tumhaari udaan ko

2. tahzeebe.n pal rahee hai.n kayee is zubaan say
lagtay hai.n josh aaj bhi ek naujawaan say
iqbaal jee rahay hai.n badee aan baan say
ghalib ka naam urdu bhi laytee hai shaan say

urdu ko day dee zindagee aabaad kar diya
ghalib nay urdudaano.n ka dil shaad kar diya

3. hai.n urdudaan aaj kay dekho kamaal kay
kehtay hai.n sab say urdu ko rakhna sambhaal kay
khud baithay zindagee say hai.n urdu nikaal kay
nah qaum kay rahay nah yeh ahl o 'ayaal kay

urdu peh zulm karkay bhi yeh urdudaan hai.n
jis mei.n nah ho.n makeen yeh aisay makaan hai.n

4. urdu mudarriso.n ka tumhe.n kya sunaaye.n haal
angrayzee madraso.n mei.n padhe.n inkay naunihaal
kehtay hai.n humsay urdu ka humko nahi.n khayaal
dekhay nah humnay dahr mei.n aisay namak halaal

urdu kee roti khaatay hai.n urdu say bair hai
jau bolay urdu inki nazar mei.n woh ghair hai

5. kya jaantay nahi.n hai.n yeh urdu ka martaba
urdu zubaa.n hai jaanay adab 'ilm ki zia
tahzeeb jis peh naaz karay aisee dilrubaa
aye sher o shayeri ki dil o jaan marhabaa

insaaniyat ka rishta bakhoobi nibhaati hai
har aik kau galay say yeh apnay lagaati hai

6. urdu zubaan karti hai haamid yeh iltaymaas
is maa.n ka dil khuda kay liye nah karo udaas
gar maadari zubaan ka thoda hai tumko paas
tum rakhna apni maa.n ko sada apnay dil kay paas

ghalib sa kaun hai keh maseeha kaheN jisay
"aisaa kahaa.n say laao.n keh tujh sa kahe.n jisay"

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Last edited by haamidbaaqri on Thu Apr 26, 2007 3:49 pm, edited 1 time in total.
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: hamaari pehli musaddas "mirza ghalib" kay micr

Post by Sarwar A. Raz »

haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
dosto

hum apni pehli musaddas aapkay hawaalay kar rahay hai.n.

gar qubool uftad zahay........

arz kiya hai.......

1. urdu hai jau zubaan woh sheeree.n zubaan hai
zeenat hai yeh sukhan ki' ceqaafat ki shaan hai
urdu zubaan saaray zubaano.n ki jaan hai
sab boliyaa.n zameen tau yeh aasmaan hai

apnaaogay jau dosto urdu zubaan ko
raukayga phir nah koyee tumhaari udaan ko

2. tahzeebe.n pal rahee hai.n kayee is zubaan say
lagtay hai.n josh aaj bhi ek naujawaan say
iqbaal jee rahay hai.n badee aan baan say
ghalib ka naam urdu bhi laytee hai shaan say

urdu ko day dee zindagee aabaad kar diya
ghalib nay urdudaano.n ka dil shaad kar diya

3. hai.n urdudaan aaj kay dekho kamaal kay
kehtay hai.n sab say urdu ko rakhna sambhaal kay
khud baithay zindagee say hai.n urdu nikaal kay
nah qaum kay rahay nah yeh ahl o 'ayaal kay

urdu peh zulm karkay bhi yeh urdudaan hai.n
jis mei.n nah ho.n makeen yeh aisay makaan hai.n

4. urdu mudarriso.n ka tumhe.n kya sunaaye.n haal
angrayzee madraso.n mei.n padhe.n inkay naunihaal
kehtay hai.n humsay urdu ka humko nahi.n khayaal
dekhay nah humnay dahr mei.n aisay namak halaal

urdu kee roti khaatay hai.n urdu say bair hai
jau bolay urdu inki nazar mei.n woh ghair hai

5. kya jaantay nahi.n hai.n yeh urdu ka martaba
urdu zubaa.n hai jaanay adab 'ilm ki zia
tahzeeb jis peh naaz karay aisee dilrubaa
aye sher o shayeri ki dil o jaan marhabaa

insaaniyat ka rishta bakhoobi nibhaati hai
har aik kau galay say yeh apnay lagaati hai

6. urdu zubaan karti hai haamid yeh iltaymaas
is maa.n ka dil khuda kay liye nah karo udaas
gar maadari zubaan ka thoda hai tumko paas
tum rakhna apni maa.n ko sada apnay dil kay paas

kehna keh maa.n tumhaaray siwaa maa.n kahe.n kisay
"aisaa kahaa.n say laao.n keh tujh sa kahe.n jisay"

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mukarramee Baaqri SaaHeb: tasleemaat!

aap kee naz^m zabaan, bayaan aur Khayaal har t^araH bohat Khoob hai. Urdu waaloN kaa naqshah aap ne bohat SaHeeH kheeNchaa hai. meraa apnaa bhee yehee yaqeen hai keh Urdu kaa nuqSaan Urdu waaloN ne sab se ziyaadah kiyaa hai.

aap dekheN keh Hindustan meN Sirf 50 saal ke andar ham ne us ko kam-o-besh tabaahee se aashnaa kar diyaa hai. aur udhar Pakistan meN (jis kee qaumee zabaan Urdu hai!) us kee jaanib koyee tawajjuh naheeN hai! TooTee phooTee English bol kar woh samajhte haiN keh taraqqee kar lee jab.k yeh waaqi,a'h hai keh jo qaum apnee zabaan se be-behrah hotee hai woh jald hee apnaa kirdaar aur Khud-daaree kho baiThtee hai. lekin yeh kis ko samjhaaYeN aur kaun samjhaaYe!

sach poochhiYe to maiN Urdu waaloN se bohat maayoos hooN. yeh dunyaa asbaab kee dunyaa hai. jab ham aise asbaab hee naheeN paidaa karen ge jis se hamaaree zabaan aur tehZeeb kee falaaH ho to bhalaa du,a'a se kyaa ho gaa?

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: hamaari pehli musaddas "mirza ghalib" kay micr

Post by haamidbaaqri »

Sarwar Raz wrote:
haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
dosto

hum apni pehli musaddas aapkay hawaalay kar rahay hai.n.

gar qubool uftad zahay........

arz kiya hai.......

1. urdu hai jau zubaan woh sheeree.n zubaan hai
zeenat hai yeh sukhan ki' ceqaafat ki shaan hai
urdu zubaan saaray zubaano.n ki jaan hai
sab boliyaa.n zameen tau yeh aasmaan hai

apnaaogay jau dosto urdu zubaan ko
raukayga phir nah koyee tumhaari udaan ko

2. tahzeebe.n pal rahee hai.n kayee is zubaan say
lagtay hai.n josh aaj bhi ek naujawaan say
iqbaal jee rahay hai.n badee aan baan say
ghalib ka naam urdu bhi laytee hai shaan say

urdu ko day dee zindagee aabaad kar diya
ghalib nay urdudaano.n ka dil shaad kar diya

3. hai.n urdudaan aaj kay dekho kamaal kay
kehtay hai.n sab say urdu ko rakhna sambhaal kay
khud baithay zindagee say hai.n urdu nikaal kay
nah qaum kay rahay nah yeh ahl o 'ayaal kay

urdu peh zulm karkay bhi yeh urdudaan hai.n
jis mei.n nah ho.n makeen yeh aisay makaan hai.n

4. urdu mudarriso.n ka tumhe.n kya sunaaye.n haal
angrayzee madraso.n mei.n padhe.n inkay naunihaal
kehtay hai.n humsay urdu ka humko nahi.n khayaal
dekhay nah humnay dahr mei.n aisay namak halaal

urdu kee roti khaatay hai.n urdu say bair hai
jau bolay urdu inki nazar mei.n woh ghair hai

5. kya jaantay nahi.n hai.n yeh urdu ka martaba
urdu zubaa.n hai jaanay adab 'ilm ki zia
tahzeeb jis peh naaz karay aisee dilrubaa
aye sher o shayeri ki dil o jaan marhabaa

insaaniyat ka rishta bakhoobi nibhaati hai
har aik kau galay say yeh apnay lagaati hai

6. urdu zubaan karti hai haamid yeh iltaymaas
is maa.n ka dil khuda kay liye nah karo udaas
gar maadari zubaan ka thoda hai tumko paas
tum rakhna apni maa.n ko sada apnay dil kay paas

kehna keh maa.n tumhaaray siwaa maa.n kahe.n kisay
"aisaa kahaa.n say laao.n keh tujh sa kahe.n jisay"

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mukarramee Baaqri SaaHeb: tasleemaat!
Assalaam o alaikum
mohtaram sarwar A raz saahib

aap kee naz^m zabaan, bayaan aur Khayaal har t^araH bohat Khoob hai. Urdu waaloN kaa naqshah aap ne bohat SaHeeH kheeNchaa hai.

bahut bahut shukriya aapka. aapki daad haamaray liye sanad hai mohtaram.hausalah afzaayee kay liye hum aapkay behad mamonoon hai.n.

meraa apnaa bhee yehee yaqeen hai keh Urdu kaa nuqSaan Urdu waaloN ne sab se ziyaadah kiyaa hai.

is mei.n koyee shak nahi.n hai.

aap dekheN keh Hindustan meN Sirf 50 saal ke andar ham ne us ko kam-o-besh tabaahee se aashnaa kar diyaa hai. aur udhar Pakistan meN (jis kee qaumee zabaan Urdu hai!) us kee jaanib koyee tawajjuh naheeN hai! TooTee phooTee English bol kar woh samajhte haiN keh taraqqee kar lee jab.k yeh waaqi,a'h hai keh jo qaum apnee zabaan se be-behrah hotee hai woh jald hee apnaa kirdaar aur Khud-daaree kho baiThtee hai. lekin yeh kis ko samjhaaYeN aur kaun samjhaaYe!

sach poochhiYe to maiN Urdu waaloN se bohat maayoos hooN.

hamaara bhi yahi haal hai.magar apni jo zimmhedaari hai usko ada karnay kee hum har mumkin kaushish kare.nge insha allah.

yeh dunyaa asbaab kee dunyaa hai. jab ham aise asbaab hee naheeN paidaa karen ge jis se hamaaree zabaan aur tehZeeb kee falaaH ho to bhalaa du,a'a se kyaa ho gaa?

Sarwar A. Raz "Sarwar"
bilkul sahi farmaarahay hai.n aap.

ab dekhiye na hamaaray kayee urdu albums hai jo hamaaray apnay urdudaan ya tau muft mei.n cassettes chaahtay hai.n ya itnay kam daamo.n mei.m khareedtay hai.n keh kya bataaye.n hame.n tau sharm aati hai.

aik baat tau taye hai keh harakat mei.n hi barakat hai.

hum al hamdulillah himmat haarnay walo.n mei.n say nahi.n hai.apna kaam hum kartay chalay jaaye.nge insha allah.

iltay maasay dua
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

sara_j wrote:waah hamid bhai aaj hi aapki nazm parhi aur bohat pasand aayi.

haqeeqat se bharpoor aur bohat hi rawaaN dawaaN...........

bohat saari daad qubool keejiye.
azeezah sara saahebah
Assalaam o alaikum

nazm ko pasand farmaanay ka bahut bahut shukriya.aapki musalsal hausalah afzaayee kay liye hum aapkay behad mamnoono mashkoor hai.n.

jazakallah
aapka bhai