/// naamah-e-Iqbal ba.ma' naZ'm \\\

Allamah Iqbaal kii shakhsiyat unki shayeri falsafe aur mazmoon aapke yaa kisi aur ke mazameen se iqtibaas

Post Reply
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

/// naamah-e-Iqbal ba.ma' naZ'm \\\

Post by yasir shah »

naamah banaam-e-Maulaanaa Shoukat Ali


bhaai shaukat ! Iqbaal u'zlat.nasheen hay aur is t'oofaan-e-bai.tameezee ke zamaanay meN ghar ki chaar deewaaree ko kashti-e-NooH samajhtaa hay -dunyaa aur ahl-e-dunyaa ke saath thoRaa bahut ta'alluq Zaroor hay magar maHaZ si wajah se keh roTee kamaanay ki majbooree hay - tum mujhe "AliGaRh" bulaatay ho , meN aik a'rSah se khudaaGaRh meN rahtaa hooN aur is maqaam ki sair ka.ee u'mroN meN khatm naheeN ho saktee-"AliGaRh" waaloN se meraa salaam kahiye-mujhe un se Ghaaibaanah maHabbat hay aur is qadar keh mulaaqaat-e-Z'aahiree se us meN kuCh iZ'aafah honay kaa imkaan bahut kam hay- yeh chand ash.'aar meree t'araf se un ki khidmat meN a'rZ kar deejiye-

wassalaam




kabhee ai nojawaaN muslim tadabbur bhi kiyaa too ne
woh kyaa gardooN thaa too jis kaa hay ik TooTaa huwaa taaraa

tujhe us qaum ne paalaa hay aaGhosh-e-maHabbat meN
kuchal daalaa thaa jis ne paaoN meN taaj-e-sar-e-daaraa

tamaddun aafreeN , khallaaq-e-aaeen-e-jahaaNdaaree
woh SaHraa-e-Arab , ya'nee shaturbaanoN kaa gehwaarah

samaaN "al.faqru fakhree" kaa rahaa shaahaan imaarat meN
ba.aab-o-raNg-o-khaal-o-khat' cheh Haajat roo-e-zaibaa raa

gadaaee meN bhi woh Allaah waalay thay Ghuyoor itnay
keh mun'im ko gadaa ke Dar se bakhshish kaa nah thaa yaaraa

GharaZ meN kyaa kahooN tujh se keh woh SaHraa.nasheeN kyaa thay
jahaaNgeer-o-jahaaNdaar-o-jahaaNbaan-o-jahaaNaaraa

agar chaahooN to naqshah Khainch kar alfaaZ' meN raKh dooN
magar tere takhayyul se fazooN.tar hay woh naZ'Z'aaraa

tujhe aabaa se apnay koi nisbat ho naheeN saktee
keh too guftaar woh kirdaar ' too caabit woh sayyaarah

GaNwaa dee ham ne jo aslaaf se meeraac paaee thee
curayyaa se zameeN par aasmaaN ne ham ko day maaraa

Hukoomat kaa to kyaa ronaa keh woh ik 'aariZee shay thee
naheeN dunyaa ke aaeen-e-musallam se koi chaaraa

magar woh i'lm ke motee kitaabeN apnay aabaa kee
jo daiKhooN un ko yorap meN to dil hotaa hay seepaaraa

Ghanee rauz-e-siyaah-o-peer-e-kin'aaN raa tamaashah kun
keh noor-e-deedah ash raushan kunad chashm-e-zulaikhaa raa
Post Reply