Page 1 of 1
"mira mukhticar yeh shabaab hai"taza tarhi ghazal
Posted: Tue Apr 03, 2007 8:21 am
by haamidbaaqri
dosto
taza tarhi ghazal hum aapki bacaaratoN kay hawaalay kar rahay haiN.
gar qubool uftad zahay.....
arz kiya hai......
maiN hoon kaun,kya haooN,kahaaN hooN maiN,mujhay chaahiye yeh jawaab hai
miree zeest miclay hubaab hai,mira mukhticar yeh shabaab hai
aye hawaa bataaday tu kaun hai ,nahiN aati kyuN tu mujhay nazar
tire dam say mera wujood hai, tu nahiN tau zindagi khwaab hai
woh zameeN pe hoN ya tahay zameeN,unheN zindah rehnay kay waastay
nah samajh saka maiN yeh aaj tak,kyuN hawa kay baad yeh aab hai
jahaaN dekho nazm hi nazm hai,yeh nizaam kaisa nizaam hai
"nah kalaam hai nah payaam hai,nah sawaal hai nah jawaab hai"
suno mere haamid e baaqari,keh banaaya tumko hai jisnay bhi
woh hai aik us saa nahiN koyee,tumheN dena uskau hisaab hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Posted: Sun Apr 15, 2007 6:59 am
by muhammad_19k
Janab Hamid Baaqri Saheb
Kya hi khoob beHr meiN ghazal likh daali hai aap ne. mubarakbaad qabool kijiaye. ye beHr mujhe sab se ziadaa dilkash lagti hai.
meiN hoon kaun,kya haooN,kahaaN hooN maiN,mujhay chaahiye yeh jawaab hai
miree zeest miclay hubaab hai,mira mukhticar yeh shabaab hai
bohat khoob. pehle miSra par agar kuch aor meHnat ho jaa-aye to sh'aer ka Husn baRh jaa-aye ga.
aye hawaa bataaday tu kaun hai ,nahiN aati kyuN tu mujhay nazar
tire dam say mera wujood hai, tu nahiN tau zindagi khwaab hai
pehlay miSra ka dooSra hiSSA naheeN aati kyooN to mujhe nazar ko agar too mujhe nazar naheeN aati kyooN? kar diyaa jaa-aye toa?
aor aisaa nazar aataa hai ke hawaa meiN koi kanyaa naheeN hai oar baat hawaa ki hi ho rahi hai to phir dooSre miSraa meiN agar wujood ki jagaa agar kissi taraH saans ka zikr kiyaa jaa-aye to kiyaa rabt ziadaa gehraa naheeN ho jaa-aye gaa?
aye hawaa bataaday tu kaun hai ,too mujhe nazar naheeN aati kyooN
tire dam say hi mira saans hai, tu nahiN tau zindagi khwaab hai
woh zameeN pe hoN ya tahay zameeN,unheN zindah rehnay kay waastay
nah samajh saka maiN yeh aaj tak,kyuN hawa kay baad yeh aab hai
miray khyaal meiN ishaara bohat bareek hai.
jahaaN dekho nazm hi nazm hai,yeh nizaam kaisa nizaam hai
"nah kalaam hai nah payaam hai,nah sawaal hai nah jawaab hai"
bohat khoob janab!
suno mere haamid e baaqari,keh banaaya tumko hai jisnay bhi
woh hai aik us saa nahiN koyee,tumheN dena uskau hisaab hai
bohat khoob janab,
aap ka mukhliS,
Muhamamd K. Siddiqui.
shukriya
Posted: Thu Apr 26, 2007 7:54 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:Janab Hamid Baaqri Saheb

mohtaram mohammed khawar saahib
Asslaam o alaikum
aapki purkhuloos daad ka hum tahe dil se shukriya ada karte haiN.
aapka mashwara sar aankhoN per.insha allah hum is per ghaur kerenge.
aapnay hamaare adna kalaam ko apne tabsere ke qaabil samjha yahi hamaaray liye khushee ka baaic hai.
der say jawaab denekeliye hum muaazirat chaahte haiN.
jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri