bphat khoob kalam hay apka, dhern daad qubool kijiyey.allah karay zor-e-qalam aur ziyadah
:)
maiN shehr meiN kisi k baraabar naheeN rahaa
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob Waah Waah
MuHtarami
NAJM Saahib
Pukhuloos Tasleemaat, :)
Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Aap jaise shoAaraa hazraat ne is meHfil kii raunaq baRhaayi hei jiske liye ham URDUBANDHAN se munsalik afraad aapke beHad shukrguzaar heiN.
Aapke saare ke saare ashAaar bahut hii dilkash heiN.
Ummeed karte heiN ke aayindah bhii aap hameN apne kalaam se navaazte rahenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
daaman mira ye ashkoN se kab tar naheeN rahaa
kyaa dil ka dasht pehle sumandar naheeN rahaa!
jab tak shaoor-e-zaat thaa tuHmat hi sar rahii
Had se baRha shaoor to phir sar naheeN rahaa!
sun.te haiN k wafaa pe ab woh Harf aa.Ye haiN
sun.te haiN koi shehr meiN dilbar naheeN rahaa
Wah bahut khoob Najm sahab....ye ash'aar bahut pasand aaye..daad haazir hai. :)
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: maiN shehr meiN kisi k baraabar naheeN rahaa
Najm sahib ,salaam e masnoonnajm wrote:aHbaab-e-meHfil, aadaab-o-tasleemaat,
aek Ghazal pesh-e-Khidmat kar rahaa hooN. ummeed hai k aap ko pasand aae gii.
aap ki aaraa ka muntazir,
Najm
Ghazal
daaman mira ye ashkoN se kab tar naheeN rahaa
kyaa dil ka dasht pehle sumandar naheeN rahaa!
jab tak shaoor-e-zaat thaa tuHmat hi sar rahii
Had se baRha shaoor to phir sar naheeN rahaa!
nok-e-sinaaN ki baat hi kuch aur hai k ab
"maiN shehr meiN kisi k baraabar naheeN rahaa"
sun.te haiN k wafaa pe woh ab Harf aa.Ye haiN
sun.te haiN koi shehr meiN dilbar naheeN rahaa
qaHt^-e-wafaa ka zikr maiN ab aur kyaa karoN
sar phoRne k waast^e patthar naheeN rahaa
bahut umda laikin mukhtasar ghazal bahut pasand aai, daad qubool farmaiN.
shukria
Mahtab Qadr