Posted: Sun Feb 06, 2005 11:25 pm
bphat khoob kalam hay apka, dhern daad qubool kijiyey.allah karay zor-e-qalam aur ziyadah
:)
:)
daaman mira ye ashkoN se kab tar naheeN rahaa
kyaa dil ka dasht pehle sumandar naheeN rahaa!
jab tak shaoor-e-zaat thaa tuHmat hi sar rahii
Had se baRha shaoor to phir sar naheeN rahaa!
sun.te haiN k wafaa pe ab woh Harf aa.Ye haiN
sun.te haiN koi shehr meiN dilbar naheeN rahaa
Najm sahib ,salaam e masnoonnajm wrote:aHbaab-e-meHfil, aadaab-o-tasleemaat,
aek Ghazal pesh-e-Khidmat kar rahaa hooN. ummeed hai k aap ko pasand aae gii.
aap ki aaraa ka muntazir,
Najm
Ghazal
daaman mira ye ashkoN se kab tar naheeN rahaa
kyaa dil ka dasht pehle sumandar naheeN rahaa!
jab tak shaoor-e-zaat thaa tuHmat hi sar rahii
Had se baRha shaoor to phir sar naheeN rahaa!
nok-e-sinaaN ki baat hi kuch aur hai k ab
"maiN shehr meiN kisi k baraabar naheeN rahaa"
sun.te haiN k wafaa pe woh ab Harf aa.Ye haiN
sun.te haiN koi shehr meiN dilbar naheeN rahaa
qaHt^-e-wafaa ka zikr maiN ab aur kyaa karoN
sar phoRne k waast^e patthar naheeN rahaa