moHtarmah Sara Jabeen SaHibah aadaab! :rose
Is Ghazal kee jitnee bh~ee ta'reef kee jae utnee kam ho gee. dekh~eeN kaesa dard hai is ke she'erooN meN waah meree khush qismatee hai keh maiN ne yeh Ghazal ba zabaan-e-khaliq-e-Ghazal sunee hai. lekin ab aek muddat ba'd bh~ee is ka lut^f aor saoz kam naheeN hone pata. zeyadah kiya likh~ooN keh GhaZ^ab Dh~a rahee hai.
kare dariyaa na pul mismaar mere
Mahashar Badayuni
kare dariyaa na pul mismaar mere
abhii kuchh log hain us paar mere
bahut din guzre ab dekh aauuN ghar ko
kaheinge kyaa dar-o-diivaar mere
vahiin suuraj kii nazarein thiien ziyaadaa
jahaaN the peRh saayaadaar mere
vahiin ye shahar hai to shahar vaalo
kahaaN hai kuuchaa-o-baazaar mere
tum apnaa haal-e-mahajuurii sunaao
mujhe to khaa gaye aazaar mere
jinhein samjhaa thaa jaan_parvar main ab tak
vo sab nikle kafan bar_daar mere
guzarte jaa rahe hain din havaa se
rahein zindaa salamaat yaar mere
dabaa jis se usii patthar mein Dhal kar
bike chehre sar-e-baazaar mere
dariichaa kyaa khulaa merii ghazal kaa
havaayein le uRhii ashaar mere
ise bazm meN pesh karne ke liye aap ka shukrguzaar hooN.
Wassalam
Muz^affar
Ghazal ............. Mahshar Badauni
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact: