yaaraan-e-Bandhan: aadaab!
muddat huyee keh aashtee-e-chashm-o-gosh hai!
ek a'rSeh ke ba'd ek taazah Ghazal le kar HaaZ^ir huwaa hooN. dekhiYe kisee qaabil hai bhee keh naheeN. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
===============================
GHAZAL
aashnaa the Khud se, phir naa-aashnaa hote gaYe
ho bhalaa is i'shq kaa, ham kyaa se kyaa hote gaYe!
ashk-e-Gham behte rahe aur naqsh-e-paa hote gaYe
zindagee ke qarZ^ saare yooN adaa hote gaYe
naa-rasaayee kaa fasaanaa kyaa kaheN, kis se kaheN?
manzileN aayeeN to ham be-dast-o-paa hote gaYe
ittifaaqa" apnee Haalat par naz^ar jab jab paRee
ham nigaahoN meN Khud apnee be-ridaa hote gaYe
regzaar-e-aarzoo meN waqt woh ham par paRaa
raahzan chehre badal kar rehnumaa hote gaYe
ahl-e-dunyaa kee Zaraa dekho karam-farmaa,iyaaN
aaR meN eemaaN kee bande bhee Khudaa hote gaYe
i'shq kee be-taabiyoN kee laZZateN mat poochhiYe
naalah-haaYe aarzo Harf-e-du,a'a hote gaYe
yeh kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?
tum bhee dunyaa kee t^araH kyoN Khud-numaa hote gaYe?
aashnaa the pehle, phir naa-aashnaa hote gaYe!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
aashnaa the pehle, phir naa-aashnaa hote gaYe!
- Attachments
-
- gg-aashnaathepehle_cr.gif (18.49 KiB) Viewed 134 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:

- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: aashnaa the pehle, phir naa-aashnaa hote gaYe!
Assalaam o alaikumSarwar Raz wrote:yaaraan-e-Bandhan: aadaab!
muddat huyee keh aashtee-e-chashm-o-gosh hai!
ek a'rSeh ke ba'd ek taazah Ghazal le kar HaaZ^ir huwaa hooN. dekhiYe kisee qaabil hai bhee keh naheeN. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
===============================
GHAZAL
aashnaa the Khud se, phir naa-aashnaa hote gaYe
ho bhalaa is i'shq kaa, ham kyaa se kyaa hote gaYe!
ashk-e-Gham behte rahe aur naqsh-e-paa hote gaYe
zindagee ke qarZ^ saare yooN adaa hote gaYe
naa-rasaayee kaa fasaanaa kyaa kaheN, kis se kaheN?
manzileN aayeeN to ham be-dast-o-paa hote gaYe
ittifaaqa" apnee Haalat par naz^ar jab jab paRee
ham nigaahoN meN Khud apnee be-ridaa hote gaYe
regzaar-e-aarzoo meN waqt woh ham par paRaa
raahzan chehre badal kar rehnumaa hote gaYe
ahl-e-dunyaa kee Zaraa dekho karam-farmaa,iyaaN
aaR meN eemaaN kee bande bhee Khudaa hote gaYe
i'shq kee be-taabiyoN kee laZZateN mat poochhiYe
naalah-haaYe aarzo Harf-e-du,a'a hote gaYe
yeh kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?
tum bhee dunyaa kee t^araH kyoN Khud-numaa hote gaYe?
mohtaram sarwar A raz saahib
bahut umdah ghazal hai aapki.
"ittefaaqa apnee haalat per nazar jab jab huee
hum nigaahoN meiN khud apni bay ridaa hotay gaye"
yeh sher hameN behad pasand aaya.
is dilkash ghazal per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN. :rose :rose :rose
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
a'zeezah Sara: aadaab!sara_j wrote:Mohtaram Sarwar sahib,
Tasliimaat!
kitni awaazaein di phir bhi idhar ka rukh nahi kiye.........ab aaye tou aek khoobsurat ghazal ke saath.
Nazir sahib ki kami tou jaiz hai lekin aap kyun nahi aate kya ye bhi aapka forum nahi? khair shikayatein
tou houti rahengi us mein kabhi kami tou ayegi nahi lekin is tarah
aap sab humein tanha choR denge nahi samjhi thi.
GHAZAL
aashnaa the Khud se, phir naa-aashnaa hote gaYe
ho bhalaa is i'shq kaa, ham kyaa se kyaa hote gaYe!
ashk-e-Gham behte rahe aur naqsh-e-paa hote gaYe
zindagee ke qarZ^ saare yooN adaa hote gaYe
naa-rasaayee kaa fasaanaa kyaa kaheN, kis se kaheN?
manzileN aayeeN to ham be-dast-o-paa hote gaYe
ittifaaqa" apnee Haalat par naz^ar jab jab paRee
ham nigaahoN meN Khud apnee be-ridaa hote gaYe
regzaar-e-aarzoo meN waqt woh ham par paRaa
raahzan chehre badal kar rehnumaa hote gaYe
ahl-e-dunyaa kee Zaraa dekho karam-farmaa,iyaaN
aaR meN eemaaN kee bande bhee Khudaa hote gaYe
i'shq kee be-taabiyoN kee laZZateN mat poochhiYe
naalah-haaYe aarzo Harf-e-du,a'a hote gaYe
yeh kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?
tum bhee dunyaa kee t^araH kyoN Khud-numaa hote gaYe?
har har shair dil ko chuu gaya balke jaise mere hi dil ki awaaz ho.....is khoobsurat takhleeq ke liye dili daad qubool keejiye.
niyazmand
sara
daad kaa shukriyah!
bazm :chhoRne: kaa koyee sawaal naheeN hai lekin meree maSroofiyaat is qadar baRh gayee haiN keh baa-qaa,idagee se har jagah jaanaa mumkin naheeN rahaa! apnee site, UrduAnjuman kee tarweej, Mizraab ke ijraa kaa kaam, kayee mushaa,iroN kee :munSifee: (jis kaa waqt par honaa Z^arooree hai), net par aur emails par iSlaah kaa kaam (jo mere i'laawah koyee aur naheeN kar rahaa hai), ghar kee maSroofiyaat, shaa,i'ree aur maZ^moon nigaaree, kitaaboN par tabSire --kyaa kyaa ginwaa,ooN aap ko? Khair, mujh se jo mumkin hai woh kartaa hooN. agar woh aap kee ummeed se kam hai to yeh meree majbooree hai!
aur raawee sab chain boltaa hai.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Sarwar-e-sukhan janab Sarwar A'alam Raz Sarwar SaHib tasleem!
kiya kehne qiblah bohot hee dilpazeer she'er kahe haiN. u'muma" kaha jata hai keh she'er kehna mushkil kaam hai. lekin jo shae'ir ho us ke liye yeh kaam mushkil naheeN. baqaol-e-shae'ir,
maiN to bas Harf se ik dh~und haTa deta hooN
she'er pehle se kheyalooN meN likh~a hota hai.
aap ke kalam ko dekh~ kar andazah hota hai keh aap aHsasat, jazbaat, aor kheyalaat ke iz^haar ka hunar jante haiN.
achch~ee shae'iree ujlee sochooN shaffaaf jazbooN aor fit^rat kee taamaam rangeeniyooN kee aae'lnah daar hotee hai.
achch~ee shae'iree meN mubaalGhah ka a'ks dikh~aee desakta hai. lekin makr-o-jh~ooT ka kaheeN koee nishaan tak naheeN dikh~aee deta.baqaol-e-Z^ameer Ja'faree,
shae'er to sab sach ho ga
she'er koee akhbaar naheeN.
jis t^arH achch~a she'er kehne kee khuwahish har achch~e shae'ir ko hotee hai. isee t^arH achch~a she'er sunne kee tamanna bh~ee achch~ee qaree ko rehtee hai.
marqumah-e'-bala Ghazal ke aaNgan meN aese hee haseeN she'erooN kee khushbu hai. jis kee aarzu hameeN SadiyooN se be qaraar kiye huwe th~ee.
zeyadah kiya kahooN keh adab mana' hai. pas aek she'er meN baat ko sameTne kee koshish karta hooN.
mataa'-e-lalah-o-gul ho gaee nicaar is par
jo seeNcha khun-e-rag-e-jaaN se gulsitaan-e-Ghazal.
aashnaa the Khud se, phir naa-aashnaa hote gaYe
ho bhalaa is i'shq kaa, ham kyaa se kyaa hote gaYe!
bohot khoob! waah,waah, lajawaab mat^la' hai.
ashk-e-Gham behte rahe aur naqsh-e-paa hote gaYe
zindagee ke qarZ^ saare yooN adaa hote gaYe
kiya kehne, waah waah waah, naee baat kahee hai waah.
naa-rasaayee kaa fasaanaa kyaa kaheN, kis se kaheN?
manzileN aayeeN to ham be-dast-o-paa hote gaYe
bohot khoob, inteha kar dee hai aap ne waah waah kiya khoob hai. jawaab naheeN. jitnee bh~ee dad doN kam hai.
ittifaaqa" apnee Haalat par naz^ar jab jab paRee
ham nigaahoN meN Khud apnee be-ridaa hote gaYe
achch~a hai. daad! lekin aek Surat yeh bh~ee th~ee. is se jab jab kee taqraar baqee nah rehtee.
"ittifaaqa" apnee Haalat par naz^ar jab bh~ee paRee"
regzaar-e-aarzoo meN waqt woh ham par paRaa
raahzan chehre badal kar rehnumaa hote gaYe
kiya kehne, jawab kahaan se laooN waah waah.bohot khob Sarwar SaHib. yeh she'er aap hee keh sakte th~e.
ahl-e-dunyaa kee Zaraa dekho karam-farmaa,iyaaN
aaR meN eemaaN kee bande bhee Khudaa hote gaYe
bohot khoob, waah waah yeh bh~ee lajawaab hai. waah,waah,
i'shq kee be-taabiyoN kee laZZateN mat poochhiYe
naalah-haaYe aarzo Harf-e-du,a'a hote gaYe
kiya kehne, waah waah, sarwar SaHib lagta hai keh t^abiyat in rozooN Z^aorooN par hai.
yeh kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?
tum bhee dunyaa kee t^araH kyoN Khud-numaa hote gaYe?
waah jee waah t^abiyat khush ho gaee. bohot garam asha'aar nikale haiN. sarwar SaHib meree dilee dad aor mubarak baad Z^aroor qubool kijiye!
aek Surat maqt^a' ke miSra'-e-ula kee yooN ho saktee th~ee.
" kuch~ kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?"
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar

biraadaram Muzaffar SaaHeb: aadaab!
aap kaa mamnoon hooN keh hameshah kee t^araH meree Ghazal par mufaSSil tabSirah kiyaa aur pasandeedagee kaa iz^haar bhee kiyaa. is kaa bhee ab yaqeen ho gayaa hai keh England meN din ke 36 ghanTe hote haiN warnah itnaa kaam itne se waqt meN koyee kaise kar saktaa hai?
aap ne do jagah sawaal uThaaYe haiN:
(1) ittifaaqa" apnee Haalat par naz^ar jab jab paRee
ham nigaahoN meN Khud apnee be-ridaa hote gaYe
achch~a hai. daad! lekin aek Surat yeh bh~ee th~ee. is se jab jab kee taqraar baqee nah rehtee.
"ittifaaqa" apnee Haalat par naz^ar jab bh~ee paRee"
jee haaN ek shakl yeh Z^aroor mumkin thee leikn maiN ne :jab jab: ko zor-e-bayaan ke pesh-e-naz^r tarjeeH dee. :jab bhee: aur :jab jab: donoN ham-ma'nee haiN lekin mere Khayaal meN jo baat :jab jab: kee takraar meN hai woh :jab bhee: ke u'moom meN naheeN hai. is baat meN do raaYe ho saktee haiN jaisaa keh aap ke Khat^ se z^aahir hai!
(2) yeh kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?
tum bhee dunyaa kee t^araH kyoN Khud-numaa hote gaYe?
waah jee waah t^abiyat khush ho gaee. bohot garam asha'aar nikale haiN. sarwar SaHib meree dilee dad aor mubarak baad Z^aroor qubool kijiye!
aek Surat maqt^a' ke miSra'-e-ula kee yooN ho saktee th~ee.
" kuch~ kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?"
yahaaN bhee wohee baat hai jo oopar kahee gayee. :yeh kaho: ya'nee tanza" :yeh to kaho!: ba-muqaabilah :kuch kaho: mujh ko ziyaadah mu,accar meHsoos huwaa.
ek baar phir shukriyah qubool keejiYe.

- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Janab Mohtaram o Makkram Sarwar SaHeb,
Ghazal par chooNke tabSiraaa aap ki meHfil meiN kar chukaa hooN. iss leeaye baraah e rast us baat par aataa hooN jo aap ke Muzaffar Sb ko likhe huwaa khtaa meiN paRhne ke baad zahn meiN aa-ai. Agar manasib jaaniaye to is ki bhi do lafzi wazahat farmaa dijiaye,
ke
yeh kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?
tum bhee dunyaa kee t^araH kyoN Khud-numaa hote gaYe?
meiN agar ub istemaal kiyaa jaa-aye to sha'er par kia asar paRay gaa?
ab kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?

muntazir,
Muhamamd K. Siddiqui.

Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
janaab Muhammad K. SaaHeb:aadaab!muhammad_19k wrote:Janab Mohtaram o Makkram Sarwar SaHeb,
Ghazal par chooNke tabSiraaa aap ki meHfil meiN kar chukaa hooN. iss leeaye baraah e rast us baat par aataa hooN jo aap ke Muzaffar Sb ko likhe huwaa khtaa meiN paRhne ke baad zahn meiN aa-ai. Agar manasib jaaniaye to is ki bhi do lafzi wazahat farmaa dijiaye,
ke
yeh kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?
tum bhee dunyaa kee t^araH kyoN Khud-numaa hote gaYe?
meiN agar ub istemaal kiyaa jaa-aye to sha'er par kia asar paRay gaa?
ab kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?
tum bhee dunyaa kee t^araH kyoN Khud-numaa hote gaYe?
muntazir,
Muhamamd K. Siddiqui.
Khat^ kaa shukriyah. aap kee tajweez achhee hai. is se she'r par achhaa acar hotaa hai aur meraa mafhoom baKhoobee adaa ho jaataa hai. ek hee baat kayee t^araH kahee jaa saktee hai. maiN ne doosree raah iKhtiyaar kee. so is meN koyee harj naheeN!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: aashnaa the pehle, phir naa-aashnaa hote gaYe!
biraadar-e-a'zeez Baaqri SaaHeb: aadaab!haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikumSarwar Raz wrote:yaaraan-e-Bandhan: aadaab!
muddat huyee keh aashtee-e-chashm-o-gosh hai!
ek a'rSeh ke ba'd ek taazah Ghazal le kar HaaZ^ir huwaa hooN. dekhiYe kisee qaabil hai bhee keh naheeN. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
===============================
GHAZAL
aashnaa the Khud se, phir naa-aashnaa hote gaYe
ho bhalaa is i'shq kaa, ham kyaa se kyaa hote gaYe!
ashk-e-Gham behte rahe aur naqsh-e-paa hote gaYe
zindagee ke qarZ^ saare yooN adaa hote gaYe
naa-rasaayee kaa fasaanaa kyaa kaheN, kis se kaheN?
manzileN aayeeN to ham be-dast-o-paa hote gaYe
ittifaaqa" apnee Haalat par naz^ar jab jab paRee
ham nigaahoN meN Khud apnee be-ridaa hote gaYe
regzaar-e-aarzoo meN waqt woh ham par paRaa
raahzan chehre badal kar rehnumaa hote gaYe
ahl-e-dunyaa kee Zaraa dekho karam-farmaa,iyaaN
aaR meN eemaaN kee bande bhee Khudaa hote gaYe
i'shq kee be-taabiyoN kee laZZateN mat poochhiYe
naalah-haaYe aarzo Harf-e-du,a'a hote gaYe
yeh kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?
tum bhee dunyaa kee t^araH kyoN Khud-numaa hote gaYe?
mohtaram sarwar A raz saahib
bahut umdah ghazal hai aapki.
"ittefaaqa apnee haalat per nazar jab jab huee
hum nigaahoN meiN khud apni bay ridaa hotay gaye"
yeh sher hameN behad pasand aaya.
is dilkash ghazal per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN. :rose :rose :rose
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
mukhlis
haamidbaaqri
sab se pehle to aap meree ma'Zirat qubool keejiYe. logoN ko jawaab dene meN aur apnee Zehnee :bhaag-dauR: meN aap kaa Khat reh gayaa warnah meree pooree koshish yeh hotee hai keh har dost ko shukriyah ke saath jawaab dooN. sharmindah hooN!
aap kee muHabbat aur i'naayaat kaa maiN muddat se qaa,il hooN. aap kee aawaaz meN woh GhazleN shauq se suntaa hooN jo aap gaahe gaahe bhejte rehte haiN. meree Ghazal kaa aap ko pasand aa jaanaa mere liYe i'zzat aur masarrat kaa baa,ic hai jis ke liYe maiN aap kaa dilee mamnoon hooN!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Sir aap ki wazaaHat ka shukriyaa.Sarwar Raz wrote:janaab Muhammad K. SaaHeb:aadaab!muhammad_19k wrote:Janab Mohtaram o Makkram Sarwar SaHeb,