MaiN yeh souch rahaa thaa ke kahiN meri nazar is qadar kamzour tou nahiN hougaiee ke aap jaise jagmagate houe sitaare ko maiN dekh nahiN paarahaa hooN. Aap ne meri ghalaTfehmi door kardi aur apni hii is meHfil meiN tashreef laakar mujhe baseerat ATaa farmaayi.
Is se baRhkar Urdubandhan ke liye iAzaaz kii baat aur kyaa housakti hei!. Ham sab URDUBANDHAN se juRe houe loag aapka tah-e-dil se isteqbaal karte heiN. Ummeed ke aap apni takhleeqaat se is meHfil kii raunaq baRhaate rahenge. Shukriya.
aapko is maHfil meN dekh kar mujhe baRii Khushii huii aur maiN aapii tashreef_aavorii ke liye teh-e-dil se shukr_guzaar huuN. ham sabhii ko aapse seekhne ke mavaaq'e yaqeenan Haasil hoNge. aapkii taKhleeqaat aur nigaarishaat ka shiddat se intezaar rahegaa.
merii aapse iltijaa hai ki agar aap apnii VO 2 dil_kash aur Haseen nazmeN yahaaN hamaare liye pesh kar sakeN to ham sab aapke aabhaarii hoNge.
#1. vo jis meN aapne "beemaar dil ko zer e nashtar-e-jarrah kiyaa thaa" lolz
#2 vo nazm jise aapne apnii moor_chashmii kii aamad par kahii thii
yeh donoN nazmeN mere dil ko bahot 'azeez haiN. maiN ne ise apne computer par maHfooz bhii kiyaa thaa magar mera vo computer aaN_jahaanii ho gayaa.
Aap ko iss bazm meN daikh kar bohat khushi howee. Aap ko dil kee ghairayooN se khush aamadeed kehtee hooN iss yaqeen ke saat ke aap apne khoobsoorat kalaam se iss bazm kee rounqeN qaim-o-dahem rakheNge. :)
vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii qudrat hai
kabhii ham un ko kabhii apne ghar ko dekhate hai.n
(hope maine sher sahii likha hai )
wow Raj Kumar sahab aap ko yahan dekh kar behad musarrat hui hai...dil ki gehraaiyon se KHUSHAAMADEED ...ummeed hai aap aate rahenge aur mehfil ko apni tehreeron se nawaazte rahenge :D
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai