Page 1 of 1

ek ghazal

Posted: Wed Apr 18, 2007 4:22 am
by khudrath ali khan
na woh jaan rahi na woh dil raha na hi dil ki phir woh lugi rahi
na sukoon raha na junoon raha na khayal-e-khana dari rahi

na malal-e-ishq-e-buthan raha na sawal-e-soz-nehan raha
jo raha so deeda-e-thur raha jo rahi so daman thuri rahi

na hi ghum tera na hi justuju na hi soz-e-ghum na hi aarzoo
na woh baath tujh mein teri rahi na woh baat mujh mein meri rahi

na weqar-e-aah-e-seher raha na mizaj-e-shaam-e-alam raha
na hi dusht-e-saaya-e-ghum raha na hi jaan ki phir woh kuni rahi

na khayal-e-thunha sufur rah na malal-e-khauf-o-khatar raha
na junoon-e-shauq-e-nazar raha na khayal-e-be khubari rahi

Posted: Wed Apr 18, 2007 10:19 am
by sbashwar
Mohtaram Janaab khudrath Ali Khan Sahib
:salaam:

:mash: Aapka andaaz-e-bayaan. Meri daad aur mubarakbaad qubool farmaye.

Posted: Wed Apr 18, 2007 1:37 pm
by khudrath ali khan
mukarrami sbashwar sahed shukrya himmat afzai ka....khudrath ali khan

Posted: Wed Apr 18, 2007 2:46 pm
by muhammad_19k
Janab Qudrat Ali Khan SaHeb,

Urdu Bandhan meiN aap ko khush amdeed kehtaa hooN. aap ki ghazal bohat achchhi aor mairi pasandeeda beHr meiN hai. aisi khoobSoorat koshish par bhalaa daad na di jaa-aye kiaa kia jaa-aye? daad qabool kijiaye.

na woh jaan rahi na woh dil raha na hi dil ki phir woh lugi rahi
na sukoon raha na junoon raha na khayal-e-khana dari rahi-------------sha'er pasand aayaa.

na malal-e-ishq-e-buthan raha na sawal-e-soz-nehan raha
jo raha so deeda-e-thur raha jo rahi so daman thuri rahi ----------------bohat khoob. "daman" se shayed aap ki muraad "daamaaN" hai.


na hi ghum tera na hi justuju na hi soz-e-ghum na hi aarzoo
na woh baath tujh mein teri rahi na woh baat mujh mein meri rahi ---- bohat khoob janab. ye sha'er paRh kar dhayaan Iqbaal ki taraf jaataa hai.

na weqar-e-aah-e-seher raha na mizaj-e-shaam-e-alam raha
na hi dusht-e-saaya-e-ghum raha na hi jaan ki phir woh kuni rahi ---- jaaN kuni ke turkray qaabil e ghor haiN. sha'er achchha hai.

na khayal-e-thunha sufur rah na malal-e-khauf-o-khatar raha
na junoon-e-shauq-e-nazar raha na khayal-e-be khubari rahi
--- khubari? ye lafz samajh naheeN aayaa. kia be khabri kehna chah rahay haiN aap?


aik baar phir daad qabool fama-iaye,

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Re: ek ghazal

Posted: Sat Apr 21, 2007 3:38 pm
by jawaid badauni
khudrath ali khan wrote:na woh jaan rahi na woh dil raha na hi dil ki phir woh lugi rahi
na sukoon raha na junoon raha na khayal-e-khana dari rahi

na malal-e-ishq-e-buthan raha na sawal-e-soz-nehan raha
jo raha so deeda-e-thur raha jo rahi so daman thuri rahi

na hi ghum tera na hi justuju na hi soz-e-ghum na hi aarzoo
na woh baath tujh mein teri rahi na woh baat mujh mein meri rahi

na weqar-e-aah-e-seher raha na mizaj-e-shaam-e-alam raha
na hi dusht-e-saaya-e-ghum raha na hi jaan ki phir woh kuni rahi

na khayal-e-thunha sufur rah na malal-e-khauf-o-khatar raha
na junoon-e-shauq-e-nazar raha na khayal-e-be khubari rahi



MoHtarmee Khudrath Ali Khan SaaHab,
aadaab.o.taslemaat

Hamare U.P. men is lafz ko Qudrat kaha jata hai magar mujhe tou
wohee likhna hai jaisa aap ne tahreer farmaya hai. Aap se nacheez ki yeh pahlee mulaaqaat hai. MaiN uRdubandhan per aap ka istaqbaal
karta hooN. Ummid hai aate jaate raheNge aur apne kalam.e balaGhatnizaam se bazm ki raunaq meN izafah farmate raheNge.

Aapki muKhtaSar lekin niahayat murassah aur behud Haseen Ghazal nazar nawaaz huuwi. Meri janib se daad.o.taHseen qubool farmaaiyega.

Maqtey ke misAraa.e oolaH meN aap "raha" ki jagah "rah" "typ'e kar gaye haiN. Isay "edit" se durust kar lijiyega. Aisee "typo" ki GhaltiyaaN akSar ho hi jatee haiN.

Khulooskaar,

Jawaid Badauni
Muscat-Oman