faroGh-e-Husn-e-zeba kee darakhshanee naheeN jatee! Guza-27

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

faroGh-e-Husn-e-zeba kee darakhshanee naheeN jatee! Guza-27

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Yaran-e-meHfil aadaab! :-)

Guzarish 27 ke liye abh~ee abh~ee chand aor she'er maozooN huwe haiN. mulaHiZ^ah farmaiye.

beHer=beHer-e-hazaj mucamman salim
=slll....slll....slll....slll
=1222....1222....1222....1222
mufaaee'lun,4 baar

Ghazal

1,

faroGh-e-Husn-e-zeba kee darakhshanee naheeN jatee!
butaan-e-khushnuma ke rukh kee tabaanee naheeN jatee!

2,

naheeN jatee jigar kee sho'lah afshanee naheeN jatee!
mire kafir ada kee Hashr samaanee naheeN jatee!

3,

shaheedan-e-wafa ke khuN se holee kh~elne walo!
jahaaN se yoN yeh rasm-e-chaak damanee naheeN jatee!

4,

dawa lao mira dard-e-jigar baRh~ta hee jata hai!
faqat^ pand-o-naSeeHat se pareshanee naheeN jatee!

5,

mujh~e zakhmee kiya hai khanjar-e-bedaad ne aese
rag-e-jaaN se mire khuN kee farawanee naheeN jatee!

6,

ilahee maiN to is ummeed par peeta raha barsooN!
keh maY peene se maYkash kee musalmanee naheeN jatee!
(yeh she'er M.Khawar SaHib ke liye hai) :-)

7,

ta'ajub hai mujh~e barbaad kar ke rakh~ diya lekin!
tiree zulf-e-pareshaaN kee pareshanee naheeN jatee!

8,

maiN dunya se ch~upa rakh~ta hooN is nayaab daolat ko!
mataa'-e-dard kee mujh~ se negehbanee naheeN jatee!

9,

bani Adam se hotee hai khat^a sarzad woh jis kee
talafee ho to jatee hai pashemanee naheeN jatee!

10,

taSawwur meN Muz^affar hamkalamee tujh~ se karta hooN
tu HaeraaN hai miree khu-e-Ghazal khwanee naheeN jatee!

Muz^affar A Muz^affar

Attachments
muzaffar photo.jpg
muzaffar photo.jpg (25.04 KiB) Viewed 541 times
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Sat Apr 21, 2007 11:56 pm, edited 4 times in total.
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

Muzaffar SaaHib !

aadaab a'rZ hay

sab se pahlay to aap ko muntazim-e-'aalaa ban.nay par bahut bahut mubaarak ho ,ummeed hay keh aap is maHfil ki falaah-o-bahbood ke liye muaccar kirdaar adaa karaiN gay- Ghazal aap ki paRhee majmoo'ee t'or par yeh aik ausat' darjay ki kaawish hay -zameen numaayaaN hay magar khayaal zair-e-zameen nazar aataa hay (mujh kam nazar ko)-aap se hamaaree tawaqqo' ziyaadah hay

bahar Haal is mushkil zameen meN itnay she'r ho ga.ay,, yeh amr bhi laaiq-e-taHseen aur aap ki kuhnah mashqee kaa a'kkaas hay ,,

meN hasb-e-'aadat u'zr samait aayaa hooN:

jo guzraa is zameeN se hay, koi ustaad thaa meraa
tabhee meN bhi kahooN yeh khaak kyooN Chaanee naheeN jaatee

aap ke khulooS kaa shukr.guzaar hooN keh mujh naa.hinjaar ko bhi mushaai're ki da'wat day diyaa kartay heN

yasir
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

yasir shah wrote:Muzaffar SaaHib !

moHtaram Yasir Shah SaHib aadaab-o-tasleemaat! :rose

"sukhan meN sehel naheeN jaaN nikaal kar rakh~na
yeh zindagee hai hamaree sambh~aal kar rakh~na"

mubarak baad ke liye aap ka shukrguzaar hooN. khush raheeN.

khuda ka baRa kaRam hai keh aap ko meree she'eree kawish majmu'ee t^aor par aosat^ darajah kee lagee. mujh~e to Dar th~a keh kaheeN aap ise teesare ya choth~e darajah meN nah dh~akel deeN. agarcheh mere nazdeek to yeh is kisee qabil bh~ee naheeN. :-)

moHtaram Yasir bh~aee waZ^eH rahe keh Ghazal chand maZ^ameen-e-makhSooS ka ahat^ah kiye howe hotee hai.(agarcheh ab jadeed Ghazal kee yeh kaefiyat naheeN) yeh koee ::safar namah:: naheeN hotee. keh har maoR par rudaad-e-safar ka tafSeelee zikr meHeZ^ zeb-e-dastaaN ke liye raqam kiye jae. Ghazal to bayaan-e-dil-e-naSaboor, Gham-e-janaaN, fikr-e-chaak-e-damaN, kheyaal-e-rafu-e-garebaN, shikayat-e-shab-e-hijraaN, shikayat-e-daostaaN, qiSSah-e-be behr-e-zamanah, banaam-e-daostee makr-o-fareb waGhaerah ko apne rawayatee aor ijmalee rang-o-usloob meN bayaan karne ka naam hai.

agarcheh maiN aap kee raye se muttafiq hooN (kheyaal ke zer-e-zameeN hone ke barah meN)to aap azrah-e-karam isee zameeN meN kam-o-besh 9 asha'aar aese kehne kee zeHmat gawarah kijiye jin meN kheyaal-o-nudrat-e-bayaaN aafaqee ho. :-)

faqeer ne to maah-e-rawaaN ke mushae'rah ke liye yeh dusree Ghazal keh dee hai. donooN GhazlooN ke asha'aar mila kar 20/22 ban jate haiN. raqim Ghazal t^afreeH-e-t^aba' ke liye naheeN kehta balkeh Z^arurat-e-t^aba' ke liye kehta hooN. lekin dusree t^araf aap se har maah t^aba' aazmaee ke liye multamis rehta hooN aor is maah bh~ee hooN. aap kee sard mehree ka mujh~e hargiz shikwah naheeN aor hona bh~ee naheeN chahiye.

lekin is baar aap se khuSuSee t^aor par darkhuwaast^ guzaar hooN keh aap is baat mushae'rah meN Z^aroor shamil hooN.

aap ne Guzarish#26 ke liye bh~ee isee rang meN iz^aar-e-kheyaal kiya th~a. agar cheh yeh mere liye HaoSlah sikan to nah th~a lekin himmat afza bh~ee nah th~a. aor usee maah-e-rawaaN ke mushae'rah#26 ke liye khadim kee darkhuwast^ par aap ne do (2) she'er kehe aor yeh keh kar qalam rakh~ diya keh,

{"aap ki farmaaish peh a'mal ke iraaday ke baawajood tabee'at ne ziyaadah saath nah diyaa, bas yeh do she'r ho sakay, aap ki nazr kartaa hooN"}

aor aap ke woh asha'aar bh~ee likh~e deta hooN.

"Dagmagaanaa, laRKhaRaanaa ChoR day
aisaa kar too mairaa shaanah ChoR day

ai dil-e-badbakht usay ab bhool jaa
raat din aaNsoo bahaanaa ChoR day"

http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=4239

kiya aHqar ne aap ke in asha'aar par kh~ol kar bila mubaalGhah dad nah dee th~ee???mujh~e Dar hai keh kaheeN maiN apnee kam maae'igee ke baae'ic aap ke is andaaz-e-tanqeed-o-tabSirah ko aap kee tang z^arfee se nah ta'abeer kar baeTh~ooN.

aap ko har lamHah tanqeed-o-mashwarah ka Haq HaSil hai. aor rahe ga. lekin is silsilah meN HaoSilah afzaaee ka daman naheeN ch~oRna chahiye. aap likh~te (iz^haar-e-kheyaal karte haiN) haiN to baRee khushee hotee hai.

aakhir meN aap ka dobarah tah-e-dil se shukr guzaar hooN keh aap ne waqt nikaal kar Ghazal par apnee raYe se nawazaa.

jate jate aek baar ph~ir aap se Guzarish 27 ke liye asha'aar kehne kee darkhuwaast guzaar hooN. mujh~e ummeed hai. keh aap is baar mayoos nah hone deeN ge.

aakhir meN aek aek she'er aap ke naam kar raha hooN.(agarcheh kheyaal zameeN doz hai)

Gharoor-e-kajkulahee se hamahgeeree naheeN aatee
kisee kee kam nigahee se hamah danee naheeN jatee!

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
yasir shah wrote:Muzaffar SaaHib !

aadaab a'rZ hay

sab se pahlay to aap ko muntazim-e-'aalaa ban.nay par bahut bahut mubaarak ho ,ummeed hay keh aap is maHfil ki falaah-o-bahbood ke liye muaccar kirdaar adaa karaiN gay- Ghazal aap ki paRhee majmoo'ee t'or par yeh aik ausat' darjay ki kaawish hay -zameen numaayaaN hay magar khayaal zair-e-zameen nazar aataa hay (mujh kam nazar ko)-aap se hamaaree tawaqqo' ziyaadah hay

bahar Haal is mushkil zameen meN itnay she'r ho ga.ay,, yeh amr bhi laaiq-e-taHseen aur aap ki kuhnah mashqee kaa a'kkaas hay ,,

meN hasb-e-'aadat u'zr samait aayaa hooN:

jo guzraa is zameeN se hay, koi ustaad thaa meraa
tabhee meN bhi kahooN yeh khaak kyooN Chaanee naheeN jaatee

aap ke khulooS kaa shukr.guzaar hooN keh mujh naa.hinjaar ko bhi mushaai're ki da'wat day diyaa kartay heN

yasir

moHtaram Yasir Shah SaHib aadaab-o-tasleemaat! :rose

"sukhan meN sehel naheeN jaaN nikaal kar rakh~na
yeh zindagee hai hamaree sambh~aal kar rakh~na"

mubarak baad ke liye aap ka shukrguzaar hooN. khush raheeN.

khuda ka baRa kaRam hai keh aap ko meree she'eree kawish majmu'ee t^aor par aosat^ darajah kee lagee. mujh~e to Dar th~a keh kaheeN aap ise teesare ya choth~e darajah meN nah dh~akel deeN. agarcheh mere nazdeek to yeh is kisee qabil bh~ee naheeN. :-)

moHtaram Yasir bh~aee waZ^eH rahe keh Ghazal chand maZ^ameen-e-makhSooS ka ahat^ah kiye howe hotee hai.(agarcheh ab jadeed Ghazal kee yeh kaefiyat naheeN) yeh koee ::safar namah:: naheeN hotee. keh har maoR par rudaad-e-safar ka tafSeelee zikr meHeZ^ zeb-e-dastaaN ke liye raqam kiye jae. Ghazal to bayaan-e-dil-e-naSaboor, Gham-e-janaaN, fikr-e-chaak-e-damaN, kheyaal-e-rafu-e-garebaN, shikayat-e-shab-e-hijraaN, shikwah-e-daostaaN, qiSSah-e-be behr-e-zamanah, banaam-e-daostee makr-o-barbaadee-e-gulistaaN, shiddat-e-beHer-e-bekaraaN, GharZ^ qiSSah-e-dil-e-natawaaN ko dastaaN dar dastaaN apne rawayatee aor ijmalee rang-o-usloob meN bayaan karne ka naam hai.

agarcheh maiN aap kee raye se muttafiq hooN (kheyaal ke zer-e-zameeN hone ke barah meN)to aap azrah-e-karam isee zameeN meN kam-o-besh 9 asha'aar aese kehne kee zeHmat gawarah kijiye jin meN kheyaal-o-nudrat-e-bayaaN aafaqee ho. :-)

faqeer ne to maah-e-rawaaN ke mushae'rah ke liye yeh dusree Ghazal keh dee hai. donooN GhazlooN ke asha'aar mila kar 20/22 ban jate haiN. raqim Ghazal t^afreeH-e-t^aba' ke liye naheeN kehta balkeh Z^arurat-e-t^aba' ke liye kehta hooN. lekin dusree t^araf aap se har maah t^aba' aazmaee ke liye multamis rehta hooN aor is maah bh~ee hooN. aap kee sard mehree ka mujh~e hargiz shikwah naheeN aor hona bh~ee naheeN chahiye.

lekin is baar aap se khuSuSee t^aor par darkhuwaast^ guzaar hooN keh aap is baat mushae'rah meN Z^aroor shamil hooN.

aap ne Guzarish#26 ke liye bh~ee isee rang meN iz^aar-e-kheyaal kiya th~a. agar cheh yeh mere liye HaoSlah sikan to nah th~a lekin himmat afza bh~ee nah th~a. aor usee maah-e-rawaaN ke mushae'rah#26 ke liye khadim kee darkhuwast^ par aap ne do (2) she'er kehe aor yeh keh kar qalam rakh~ diya keh,

{"aap ki farmaaish peh a'mal ke iraaday ke baawajood tabee'at ne ziyaadah saath nah diyaa, bas yeh do she'r ho sakay, aap ki nazr kartaa hooN"}

aor aap ke woh asha'aar bh~ee likh~e deta hooN.

"Dagmagaanaa, laRKhaRaanaa ChoR day
aisaa kar too mairaa shaanah ChoR day

ai dil-e-badbakht usay ab bhool jaa
raat din aaNsoo bahaanaa ChoR day"

http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=4239

kiya aHqar ne aap ke in asha'aar par kh~ol kar bila mubaalGhah dad nah dee th~ee???mujh~e Dar hai keh kaheeN maiN apnee kam maae'igee ke baae'ic aap ke is andaaz-e-tanqeed-o-tabSirah ko aap kee tang z^arfee se nah ta'abeer kar baeTh~ooN.

aap ko har lamHah tanqeed-o-mashwarah ka Haq HaSil hai. aor rahe ga. lekin is silsilah meN HaoSilah afzaaee ka daman naheeN ch~oRna chahiye. aap likh~te (iz^haar-e-kheyaal karte haiN) haiN to baRee khushee hotee hai.

aakhir meN aap ka dobarah tah-e-dil se shukr guzaar hooN keh aap ne waqt nikaal kar Ghazal par apnee raYe se nawazaa.

jate jate aek baar ph~ir aap se Guzarish 27 ke liye asha'aar kehne kee darkhuwaast guzaar hooN. mujh~e ummeed hai. keh aap is baar mayoos nah hone deeN ge.

aakhir meN aek aek she'er aap ke naam kar raha hooN.(agarcheh kheyaal zameeN doz hai)

Gharoor-e-kajkulahee se hamahgeeree naheeN aatee
kisee kee kam nigahee se hamah danee naheeN jatee!

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar

janaab Muzaffar SaaHib !

takhleeqee raa.ay ke jawaab meN zaatee HamloN kaa nah to aap ke paas koi jawaaz hay aur nah mere paas jawaab ,, kyooNkeh nah aap mujhay zaatee taur peh jaantay heN nah hi mujhay aap ki zaat meN dilchaspee hay albattah hamaaraa sarokaar hay to
faqat us "takhleeqkaar" se hay jo taHreer se jhalaktaa hay -

meree shaan meN t'aweel hajw liKhiye,, aap ko ijaazat hay laiken aik martabah meree raa.ay peh ThanDay dil-o-dimaaGh se Zaroor sochiye gaa- :-)

yasir
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Yasir bh~aee aadaab! :-)

Yaad aawaree ke liye minnat kash hooN. maiN aap par hargiz zatee Hamlah naheeN kar raha. aor nah kar sakta hooN. aor nah hee is aqdaam kee Z^arurat hai. maiN hameshah hee aap kee baat ko Dh~anDe dimaaGh se sochta hooN. aap mere bh~aee jaese haiN. aap kh~ul kar likh~eeN. lekin us waqt baRee mayoosi see hotee hai jab koee daost HaoSilah tooR deta hai. ya Ghaer shao'oree t^aor par aesa kar beTh~ta hai.

Yasir bh~aee aap to jante haiN keh ham sab seekh~ne ke liye hee kehte haiN. naee bat kahaaN se laeeN. wohee kaheeN ge jo meHsoos karte haiN. macala" agar kisee ko rah chalte Daku looT leeN to wo yahee kahe ga naa keh mujhe DakuooN ne looT liya. kiyooN keh yahee sach aor aSl baat hai. isee t^arH koee gir jae to kiya woh apnee baat ko naee shakl dene kee soche ga ya apne dard ka iz^haar Saaf aor waZ^eH rang meN kar de ga.

Saif-ud-deen Saif ka she'er hai.
"Sirf andaaz-e-bayaaN rang badal deta hai
warnah dunya meN koe baat naee baat naheeN!

khaer maiN Sirf yeh chahata hooN keh mere liye apne dil meN koee baat nah rakh~eeN. aor mujh~e aap kee HoaSilah afzaee kee Z^arurat hai.

aap bh~ee shae'ir haiN aor Hassaas haiN aor maiN bh~e.....is liye takneekee umoor par to baat kee ja saktee hai. lekin kheyaal -o-maZ^moon to har kisee ka apna apna hee hota hai. jo us par guzartee hai woh apne rang meN kehta hai. aap khud hee dekh~eeN keh jadeediyat ke chakkar meN Ghazal ka naya rang kiya bana diya geya hai.
aSl rang to wohee hai jo qadeem se chala araha hai. khaer!

aap se dobarah Guzarish 27 ke liye multamis hooN keh aap kee Ghazal ka shiddat se intez^aar hai. aap ke kalam se yaqeena" meHfil kee raonaq meN gu naa gooN iZ^afah ho ga.

Sala-e-a'aam* hai Yasir khudara ik Ghazal keh do
ta'ajub hai Guzarish* kiyoN miree manee naheN jatee?

Sala-e-a'aam=a'aam da'awat.
Guzarish=Guzarish27,darkhuwast^

zeyadah Hadd-e-adab!
Muz^affar
Post Reply