Yaaraan-e-meHfil-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat! :rose
TarHee miSra' bara-e'-Guzarish#28 tareekh May 1/5/07 pesh-e-khidmat hai.
"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"
Shae'ir: rae'ees-ul-muttaGhazzaleen Jigar Muraad Aabadi
beHer kee is shakl ka naam hai. beHer-e-mutaqarib mucamman saalim.
=fa oo'lun.......fa oo'lun......fa oo'lun......fa oo'lun
=//0/0.....//0/0......//0/0.....//0/0
=sll........sll.......sll.......sll
=122.....122.....122....122
Qawafi: aa, jaa, kh~a, paa, ga, waGhaerah.
radeef: rahe haiN.
Ummeed hai. keh Hasb-e-ma'amool diye gae miSra' par sabh~ee daost t^aba' aazmaa kar shukriyah ada karne ka sunehree maoqa' faraham kareeN ge.aap kee shirkat mushae'ire kee kaamyabee kee Z^amanat hai.
i'lawah azeeN guzashtah mah ke mushae'irah kee shaandaar kamyabee par intezamiyah tamaam shua'ra aor shaae'iraat ko mubarak baad aor shukriyah ka paeGhaam detee hai.
muttamanni-e-shirkat
Intezamiyah Urdubandhan.
TarHee miSra' Guzarish#28 pesh-e-khidmat hai!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact: