Yaran-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!
aek tazah Ghazal ke chand she'er dekh~iye! ummeed hai keh aap pasand farmaeeN ge.
Ghazal
1,
tire muSHaf*-e-rukh ko ham dekh~te haiN!
qareeb aa ke baaGh-e-iram dekh~te haiN!
2,
tiree mashq-e-teer-e-sitam dekhte haiN
takhaeyul meN mulk-e-A'dam dekhte haiN!
3,
khuda dushman-e-jaaN ko bhee nah dikhae!
tamaashah-e-bismil jo ham dekhte haiN!
4,
safeenah-e-hastee ko nah Gharq kar de!
jo seene meN gardaab-e-Gham dekhte haiN!
5,
nah dekha zamane ne woh jaam-e-jam meN!
jo ek qat^rah-e-khuN meN ham dekhte haiN!
6,
dikhaee malaeik ne laoH-e-muqaddar!
so bedaad is par raqam dekhte haiN!
7,
muyassar kahaaN tera naqsh-e-kaf-e-paa
khud apna hee naqsh-e-qadam dekhte haiN!
8,
CharaaGh-e-seHer haiN tiree Anjuman ke
ham is bazm ko koee dam dekhte haiN!
9,
kabhee khwaab meN bhee nah socha thaa aesa!
Woh anjaam-e-ulfat jo ham dekhte haiN!
10,
AseerooN ka aHwaal kiya puchte ho!
Wohee teGh-e-ehl-e-sitam dekhte haiN!
11,
Ghaneemat thaa woh un ka waadah-e-fardaa!
magar yeh i'nayat bhee kam dekhte haiN!
12,
baRee yaad aatee hai Woh Chashm-e-Qatil
jo chaak-e-GareebaaN ko ham dekhte haiN!
13,
Nasheb-o-faraaz-e-muHabbat ko Yaro!
"nah tum dekhte ho nah ham dekhte haiN"
14,
Muz^affar nah furqat meN raoya kareeN ge!
shab-e-Gham yeh kh~a kar qasam dekh~te haiN!
*muSHaf=majaaza" rukhSaar-e-meHbob,deegar ma'noN meN woh jis meN jis meN ka'ee SaHeefe hoN.
tiree mashq-e-teer-e-sitam dekhte haiN!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
SALAM MUZAFFAR SAHEB,
aap ki ghazal jub bhi daikhtaa hooN bohat khushi hoti hai. kyooN ke paRhne walaa jaisa bhi ho daad diaye baghair naheeN reh saktaa. agar woh sukhan shanaas hai to aap ke alfaaz o tarakeeb o khyaalat us ke leeaye wajhe daad hoaN ge aor agar woh muaamlaa shanaas hai to aap ki ghazal ki lamabaai . kiyaa is batakkalufi ke leeaye m'azirat ki zaroorat hai?
leejiaye aateN haiN aap ki ghazal ki taraf to wohi khoobSoorat aor dilnahseeN raNg ke jis ki t'aareef meiN kayee baar kar chukaa hoaN har baar hi asiaa lagtaa hai jaie alfaaz aap ke saamne haath baandh ke khaRa ho jaateN haiN. mairii taraf se aisi shaandaar ghazal par mubarak baad qabool kijiaye. . aap ke do ashaar par mujhe bhi kuch waarid huwaa hai. kyaa ijaazat hai
1,
tire muSHaf*-e-rukh ko ham dekh~te haiN!
qareeb aa ke baaGh-e-iram dekh~te haiN!
waise mairay zah meiN ye shakl hai,
tiraa muShaf e rukh jo ham dekhte haiN
qareeb aa ke baagh e irma dekhte haiN.
2,
tiree mashq-e-teer-e-sitam dekhte haiN
takhaeyul meN mulk-e-Adam dekhte haiN!
is par bhi aik khyaal waarid huwaa hai.
takhayyul meiN teer e sitam dekhte haiN
Haqeeqat meN mulk e 'adam daikhteN haiN.
ghuloo to hai. laikin sha'irii hai naa. chaltaa hai.
aap ki ghazal par SARWAR SB ka tabSiraa bhi bohat aham hai. mujhe umeed hai ke aap us se mustafeed ho chukay hoaN ge.
dar zail ash'aar zaroorat se zydaa pasand aa-aye.
5,
nah dekha zamane ne woh jaam-e-jam meN!
jo ek qatrah-e-khuN meN ham dekhte haiN!
7,
muyassar kahaaN tera naqsh-e-kaf-e-paa
khud apna hee naqsh-e-qadam dekhte haiN!
8,
CharaaGh-e-seHer haiN tiree Anjuman ke
ham is bazm ko koee dam dekhte haiN!
13,
Nasheb-o-faraaz-e-muHabbat ko Yaro!
"nah tum dekhte ho nah ham dekhte haiN"
aap ka mukhliS,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.

Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com