tiree mashq-e-teer-e-sitam dekhte haiN!
Posted: Fri May 04, 2007 10:35 pm
Yaran-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!
aek tazah Ghazal ke chand she'er dekh~iye! ummeed hai keh aap pasand farmaeeN ge.
Ghazal
1,
tire muSHaf*-e-rukh ko ham dekh~te haiN!
qareeb aa ke baaGh-e-iram dekh~te haiN!
2,
tiree mashq-e-teer-e-sitam dekhte haiN
takhaeyul meN mulk-e-A'dam dekhte haiN!
3,
khuda dushman-e-jaaN ko bhee nah dikhae!
tamaashah-e-bismil jo ham dekhte haiN!
4,
safeenah-e-hastee ko nah Gharq kar de!
jo seene meN gardaab-e-Gham dekhte haiN!
5,
nah dekha zamane ne woh jaam-e-jam meN!
jo ek qat^rah-e-khuN meN ham dekhte haiN!
6,
dikhaee malaeik ne laoH-e-muqaddar!
so bedaad is par raqam dekhte haiN!
7,
muyassar kahaaN tera naqsh-e-kaf-e-paa
khud apna hee naqsh-e-qadam dekhte haiN!
8,
CharaaGh-e-seHer haiN tiree Anjuman ke
ham is bazm ko koee dam dekhte haiN!
9,
kabhee khwaab meN bhee nah socha thaa aesa!
Woh anjaam-e-ulfat jo ham dekhte haiN!
10,
AseerooN ka aHwaal kiya puchte ho!
Wohee teGh-e-ehl-e-sitam dekhte haiN!
11,
Ghaneemat thaa woh un ka waadah-e-fardaa!
magar yeh i'nayat bhee kam dekhte haiN!
12,
baRee yaad aatee hai Woh Chashm-e-Qatil
jo chaak-e-GareebaaN ko ham dekhte haiN!
13,
Nasheb-o-faraaz-e-muHabbat ko Yaro!
"nah tum dekhte ho nah ham dekhte haiN"
14,
Muz^affar nah furqat meN raoya kareeN ge!
shab-e-Gham yeh kh~a kar qasam dekh~te haiN!
*muSHaf=majaaza" rukhSaar-e-meHbob,deegar ma'noN meN woh jis meN jis meN ka'ee SaHeefe hoN.